SHAWORDS

jo makaan thaa laa-makaan hone lagaa hai — Khalid Raheem

HomeKhalid RaheemGhazal
"jo makaan thaa laa-makaan hone lagaa hai ab zamin par aasmaan hone lagaa hai daastaan divaar-o-dar kahne lage hain aadmi to be-zabaan hone lagaa hai zindagi ke saath chal kar dekhiye to haadisa kyaa kyaa yahaan hone lagaa hai be-sabab kuchh log mujh se mil rahe hain vaqt shaayad mehrbaan hone lagaa hai main nikal aaya huun jis ki rahguzar se mere andar vo nihaan hone lagaa hai dhund ki divaar hai manzar-ba-manzar raasta phir be-nishaan hone lagaa hai aandhiyon ki zad mein aa pahunchaa hai insaan gard mein gum kaarvaan hone lagaa hai paDh rahe hain log chehre ki tamaazat haal chehre se bayaan hone lagaa hai yaad us ki chal rahi hai saath 'khaalid' vo mataaa-e-jism-o-jaan hone lagaa hai"
Urdu

جو مکاں تھا لا مکاں ہونے لگا ہے اب زمیں پر آسماں ہونے لگا ہے داستاں دیوار و در کہنے لگے ہیں آدمی تو بے زباں ہونے لگا ہے زندگی کے ساتھ چل کر دیکھیے تو حادثہ کیا کیا یہاں ہونے لگا ہے بے سبب کچھ لوگ مجھ سے مل رہے ہیں وقت شاید مہرباں ہونے لگا ہے میں نکل آیا ہوں جس کی رہ گزر سے میرے اندر وہ نہاں ہونے لگا ہے دھند کی دیوار ہے منظر بہ منظر راستہ پھر بے نشاں ہونے لگا ہے آندھیوں کی زد میں آ پہنچا ہے انساں گرد میں گم کارواں ہونے لگا ہے پڑھ رہے ہیں لوگ چہرے کی تمازت حال چہرے سے بیاں ہونے لگا ہے یاد اس کی چل رہی ہے ساتھ خالدؔ وہ متاع جسم و جاں ہونے لگا ہے

Hindi

जो मकाँ था ला-मकाँ होने लगा है अब ज़मीं पर आसमाँ होने लगा है दास्ताँ दीवार-ओ-दर कहने लगे हैं आदमी तो बे-ज़बाँ होने लगा है ज़िंदगी के साथ चल कर देखिए तो हादिसा क्या क्या यहाँ होने लगा है बे-सबब कुछ लोग मुझ से मिल रहे हैं वक़्त शायद मेहरबाँ होने लगा है मैं निकल आया हूँ जिस की रहगुज़र से मेरे अंदर वो निहाँ होने लगा है धुंद की दीवार है मंज़र-ब-मंज़र रास्ता फिर बे-निशाँ होने लगा है आँधियों की ज़द में आ पहुँचा है इंसाँ गर्द में गुम कारवाँ होने लगा है पढ़ रहे हैं लोग चेहरे की तमाज़त हाल चेहरे से बयाँ होने लगा है याद उस की चल रही है साथ 'ख़ालिद' वो मताअ'-ए-जिस्म-ओ-जाँ होने लगा है

jo makāñ thā lā-makāñ hone lagā hai
Khalid Raheem
Khalid Raheem
Khalid Raheem
poet25 quotes

More by Khalid Raheem

View all →
Quote
"dariyaa ke dhaDakte siine tak saahil ki du'aa le jaaungaa haalaat ki lahron par ik din main khud ko bahaa le jaaungaa main apne andhere kamre mein parchhaain ugaane ki khaatir suraj ki shu'aa'on ko apni muTThi mein chhupaa le jaaungaa khvaabon ke dar-o-divaar pe bhi chehre ki lakirein phaileingi yaadon ke mahakte saayon ko aankhon mein basaa le jaaungaa ai baad-e-havaadis teri qasam main haar na maanungaa tujh se main apni hatheli mein rakh kar ik aur diyaa le jaaungaa haq-goi agar hai jurm to phir le jaao salibon tak mujh ko suuli ke laTakte phandon tak main apni sadaa le jaaungaa kyaa soch rahe ho ai logo ab pheink ke patthar toD bhi do varna main badan ke shishe ko phir aaj bachaa le jaaungaa 'khaalid' main kisi ke kuche se naakaam umidon ko le kar ik roz badan se lipTaae zakhmon ki ridaa le jaaungaa"
Khalid RaheemKhalid Raheem
Quote
"abhi raushan hui hain mere ghar ki battiyaan mujh se havaa phir le na jaae chhin kar parchhaaiyaan mujh se karun aankhon se nam miTTi khalaaon phuul raste mein taqaazaa kar rahi hain khvaahishon ki bastiyaan mujh se ye roz-o-shab ke hangaame dar-o-divaar ke andar bataaun kyaa sulajhti hi nahin ab gutthiyaan mujh se kisi se muskuraa kar baat kar letaa huun main jab bhi na jaane kyon khafaa rahti hain teri khiDkiyaan mujh se ye tanhaai kaa mausam bhi dabe paanv guzar jaataa agar yaadein kisi ki baanT letin talkhiyaan mujh se vo barfile badan ke saath milne jab bhi aataa hai churaa letaa hai mere khuun ki sab garmiyaan mujh se parinda ek din uD jaaegaa TuTegi Tahni bhi yahi kahti hain phulon ki bikharti patiyaan mujh se akelaa main jo ghar lauTaa to phir kaise bataaungaa khudaai kaa sabab puchheingi jab tanhaaiyaan mujh se"
Khalid RaheemKhalid Raheem
Quote
"hans hans ke bolne ki fazaa kaun le gayaa aangan se shor-o-ghul ki sadaa kaun le gayaa piine lagi hain zahr-e-tafakkur sharaaratein bachchon se bhole-pan ki adaa kaun le gayaa sach bolne ki saari rivaayat kahaan gai virse mein jo mili thi fazaa kaun le gayaa de ke shajar shajar ko udaasi ki tez dhuup shaakhon se pattiyon ki ridaa kaun le gayaa aasudgi ki khoj mein niklaa huun su-e-dasht shahron ki pur-sukun fazaa kaun le gayaa baarud rakh ke mere darichon ke aas paas sarsabz vaadiyon ki havaa kaun le gayaa mehnat-kashon ko bhuuk hi khairaat mein mili razzaaq ban ke rizq-e-vafaa kaun le gayaa"
Khalid RaheemKhalid Raheem
Quote
"ibtidaa aur intihaa kaa silsila koi na thaa tu hi thaa har ahd mein tere sivaa koi na thaa aasmaan kaa jab zamin se raabta koi na thaa eDiyaan ragDi gai thiin moajiza koi na thaa vaqt aisaa thaa ki apnaa aasraa koi na thaa ye gali apni thi lekin aashnaa koi na thaa khvaahishon ki sar-bulandi le ke jaati bhi kahaan daaera thaa parbaton kaa raasta koi na thaa zehn-o-dil ki duriyaan mahfuz thiin apni jagah aur logon ne ye samjhaa faasla koi na thaa shahr-e-pur-aashob ki tamsil thi apni hayaat dil-shikan is se ziyaada vaaqia koi na thaa apni apni dhun mein the 'khaalid' sabhi mahv-e-safar manzil-e-maqsad ki jaanib qaafila koi na thaa"
Khalid RaheemKhalid Raheem
Quote
"taarik zindagi ko banaane lagaa hai vo suraj se raushni ko churaane lagaa hai vo likh likh ke mere naam aziyyat ke dasht-o-dar jaagir mere gham ki baDhaane lagaa hai vo ehsaas ki salib liye chal rahaa huun main dasht-e-junun mein shor machaane lagaa hai vo mujh se hi le ke mere saliqe ki raushni tahzib ki zabaan sikhaane lagaa hai vo takhliq-e-kaaenaat kaa gar main sabab rahaa phir kyuun miraa vaqaar ghaTaane lagaa hai vo parvardigaar meri shahaadat qubul kar talvaar le ke saamne aane lagaa hai vo 'khaalid' main us ke haath ki tahrir thaa magar harf-e-ghalat samajh ke miTaane lagaa hai vo"
Khalid RaheemKhalid Raheem
Quote
"apni naa-karda-gunaahi kaa sila bhi rakh le dil ke khaane mein zaraa khauf-e-khudaa bhi rakh le tujh ko le jaaegi sannaaTe mein ik roz hayaat apne kaanon ke liye sang-e-sadaa bhi rakh le bujh na jaae kahin ehsaas ke shoalon kaa mizaaj munjamid vaqt hai thoDi si havaa bhi rakh le faasla aur baDhaa degi anaa ki dahliz darmiyaan zina-e-ikhlaas-e-vafaa bhi rakh le zindagi dasht-e-tilismaat ki jaanib hai ravaan kuchh to hamraah buzurgon ki duaa bhi rakh le roz kaa milnaa giraan-baar-e-taalluq na bane be-sabab us se kabhi khud ko judaa bhi rakh le"
Khalid RaheemKhalid Raheem

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar