SHAWORDS

kam se kam aarzi nahin hogi — Ali Qaisar

HomeAli QaisarGhazal
"kam se kam aarzi nahin hogi maut itni buri nahin hogi itni chhoTi hai kaaenaat mujhe khul ke aavaargi nahin hogi diin mein jabr ko ravaa rakhnaa mazhabi khud-kushi nahin hogi sab pe tanqis kar rahaa hai vo us se ab shaairi nahin hogi hifz kar lungaa main badan us kaa jeb mein diary nahin hogi sab tamannaaein puuri karni hain tu bataa kaun si nahin hogi sab ko sab kuchh milegaa jannat mein bas vahaan zindagi nahin hogi ab jo chamkegi dekh kar us ko bhuuk vo jism ki nahin hogi vaqt muTThi mein hogaa tab tire paas haath par jab ghaDi nahin hogi kah diyaa naan vo meraa maazi thaa is pe ab baat bhi nahin hogi jhiil ki daastaan khatm hui chaand hogaa pari nahin hogi"
Urdu

کم سے کم عارضی نہیں ہوگی موت اتنی بری نہیں ہوگی اتنی چھوٹی ہے کائنات مجھے کھل کے آوارگی نہیں ہوگی دین میں جبر کو روا رکھنا مذہبی خود کشی نہیں ہوگی سب پہ تنقیص کر رہا ہے وہ اس سے اب شاعری نہیں ہوگی حفظ کر لوں گا میں بدن اس کا جیب میں ڈایری نہیں ہوگی سب تمنائیں پوری کرنی ہیں تو بتا کون سی نہیں ہوگی سب کو سب کچھ ملے گا جنت میں بس وہاں زندگی نہیں ہوگی اب جو چمکے گی دیکھ کر اس کو بھوک وہ جسم کی نہیں ہوگی وقت مٹھی میں ہوگا تب ترے پاس ہاتھ پر جب گھڑی نہیں ہوگی کہہ دیا ناں وہ میرا ماضی تھا اس پہ اب بات بھی نہیں ہوگی جھیل کی داستان ختم ہوئی چاند ہوگا پری نہیں ہوگی

Hindi

कम से कम आरज़ी नहीं होगी मौत इतनी बुरी नहीं होगी इतनी छोटी है काएनात मुझे खुल के आवारगी नहीं होगी दीन में जब्र को रवा रखना मज़हबी ख़ुद-कुशी नहीं होगी सब पे तन्क़ीस कर रहा है वो उस से अब शाइ'री नहीं होगी हिफ़्ज़ कर लूँगा मैं बदन उस का जेब में डायरी नहीं होगी सब तमन्नाएँ पूरी करनी हैं तू बता कौन सी नहीं होगी सब को सब कुछ मिलेगा जन्नत में बस वहाँ ज़िंदगी नहीं होगी अब जो चमकेगी देख कर उस को भूक वो जिस्म की नहीं होगी वक़्त मुट्ठी में होगा तब तिरे पास हाथ पर जब घड़ी नहीं होगी कह दिया नाँ वो मेरा माज़ी था इस पे अब बात भी नहीं होगी झील की दास्तान ख़त्म हुई चाँद होगा परी नहीं होगी

kam se kam aarzī nahīñ hogī
Ali Qaisar
Ali Qaisar
Ali Qaisar
poet11 quotes

More by Ali Qaisar

View all →
Quote
"main ne teri yaad bhulaa di shahzaadi taaj-mahal ko aag lagaa di shahzaadi mel dilon kaa kar ke apne maalik ne beach mein ik divaar uThaa di shahzaadi ham bhi khuub hanse duniyaa ki haalat par duniyaa ne bhi khuub sazaa di shahzaadi tere joban ne meri in aankhon ki saari punji kharch karaa di shahzaadi tujh ko kho kar khaanaa piinaa chhoD diyaa hijr ne meri bhuuk miTaa di shahzaadi jhuriyaan kyon chehre par hain kyaa batlaaun ishq ne meri umr ghaTaa di shahzaadi candle par jab aan giraa ik parvaana main ne cigarette raakh banaa di shahzaadi har surat ab tujh se duur hi rahnaa hai teraa ishq miri barbaadi shahzaadi"
Ali QaisarAli Qaisar
Quote
"darakht mujh ko nai kahaani sunaa rahe hain ki ye parinde gae dinon mein khudaa rahe hain main kuchh dinon mein khudaa se milne ko jaa rahaa huun mujhe lakiron ko paDhne vaale bataa rahe hain tamaam shahron ko dushmanon ne bachaa liyaa hai mire sipaahi bas apni jaanein bachaa rahe hain sisak rahe hain tamaam vaada nibhaane vaale ki ham ye kaisi aziyyaton ko nibhaa rahe hain kisi ne khiDki ko kholnaa hai to dekhnaa hai so ham gali mein gulon ke jhurmuT lagaa rahe hain bichhaDne vaale ne kab palaT kar ye dekhnaa hai ki gham badan ke tamaam hisson ko khaa rahe hain ye peD vaaqif hain in fusun-khez khushbuon se so ehtiraaman tamaam sar ko jhukaa rahe hain"
Ali QaisarAli Qaisar
Quote
"vo koi jaadui takhliq nazar aati hai duur se bhi mujhe nazdik nazar aati hai jis se khiltaa hai bayaabaan mein gulon kaa mausam husn-e-jaanaan mein vo tahrik nazar aati hai hai mohabbat mein ujaalaa hi ujaalaa lekin ye guphaa duur se taarik nazar aati hai aap kyon hijr ke topic pe pareshaan ho ji kyaa kahin par koi tashkik nazar aati hai nazm ho yaa ho ghazal yaa koi pyaari tasvir nasl-e-gauhar hi ki takhliq nazar aati hai aaj-kal main bhi pareshaan huun mire paper hain aaj-kal vo bhi bahut weak nazar aati hai haath phailaaun to aataa hai nazar haal miraa haath baandhun to mujhe bhiik nazar aati hai aur ab kuchh bhi nahin Thiik se dikhtaa mujh ko yaar lekin tu mujhe Thiik nazar aati hai"
Ali QaisarAli Qaisar

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi