SHAWORDS

kaun kitnaa hai madad-gaar samajh lete hain — Faraz Hasanpuri

"kaun kitnaa hai madad-gaar samajh lete hain kyunki ham lahja-e-guftaar samajh lete hain us se milte hain bahut soch samajh kar ai dost jis ki fitrat ko bas ik baar samajh lete hain aksar un logon ko naasur 'ataa hote hain har kisi ko jo vafaa-daar samajh lete hain koi majburi nahin hai tujhe aanaa hi nahin ham bahaane tire ai yaar samajh lete hain jis ne paalaa hai mohabbat ke ghane saae mein ham usi maan' ko giraan-baar samajh lete hain manzilein un se bahut duur chali jaati hain vo jo zarron ko bhi divaar samajh lete hain shaa'iri fan hai khudaa-daad 'sulemaan' miyaan log is fan ko gham-e-yaar samajh lete hain"
Urdu

کون کتنا ہے مددگار سمجھ لیتے ہیں کیونکہ ہم لہجۂ گفتار سمجھ لیتے ہیں اس سے ملتے ہیں بہت سوچ سمجھ کر اے دوست جس کی فطرت کو بس اک بار سمجھ لیتے ہیں اکثر ان لوگوں کو ناسور عطا ہوتے ہیں ہر کسی کو جو وفادار سمجھ لیتے ہیں کوئی مجبوری نہیں ہے تجھے آنا ہی نہیں ہم بہانے ترے اے یار سمجھ لیتے ہیں جس نے پالا ہے محبت کے گھنے سائے میں ہم اسی ماں کو گراں بار سمجھ لیتے ہیں منزلیں ان سے بہت دور چلی جاتی ہیں وہ جو ذروں کو بھی دیوار سمجھ لیتے ہیں شاعری فن ہے خدا داد سلیمانؔ میاں لوگ اس فن کو غم یار سمجھ لیتے ہیں

Hindi

कौन कितना है मदद-गार समझ लेते हैं क्यूँकि हम लहजा-ए-गुफ़्तार समझ लेते हैं उस से मिलते हैं बहुत सोच समझ कर ऐ दोस्त जिस की फ़ितरत को बस इक बार समझ लेते हैं अक्सर उन लोगों को नासूर 'अता होते हैं हर किसी को जो वफ़ा-दार समझ लेते हैं कोई मजबूरी नहीं है तुझे आना ही नहीं हम बहाने तिरे ऐ यार समझ लेते हैं जिस ने पाला है मोहब्बत के घने साए में हम उसी माँ' को गिराँ-बार समझ लेते हैं मंज़िलें उन से बहुत दूर चली जाती हैं वो जो ज़र्रों को भी दीवार समझ लेते हैं शा'इरी फ़न है ख़ुदा-दाद 'सुलेमान' मियाँ लोग इस फ़न को ग़म-ए-यार समझ लेते हैं

kaun kitnā hai madad-gār samajh lete haiñ
F
Faraz Hasanpuri
Faraz Hasanpuri
poet13 quotes

More by Faraz Hasanpuri

View all →
Quote
"mustaqil ranj-o-alam toD ke rakh dete hain achchhe achchhon ko ye gham toD ke rakh dete hain laakh baatil ke sitam toD ke rakh dete hain ahl-e-tauhid sanam toD ke rakh dete hain daur-e-haazir mein raqibon ki zarurat kyaa hai doston hi ke karam toD ke rakh dete hain paalaa jaataa hai baDe naaz se jin ko aksar vahi beTe to bharam toD ke rakh dete hain 'ghaalib'-o-'mir' se kahne ko bachaa hi kyaa hai phir bhi kuchh log qalam toD ke rakh dete hain in hasinon pe yaqin karnaa himaaqat hai faqat ye to har ahd-o-qasam toD ke rakh dete hain ham ne to fath ke lahraae vahaan bhi parcham hausle bhi jahaan dam toD ke rakh dete hain nindein uD jaati hain dil Dubne lagtaa hai 'faraaz' be-vafaaon ke sitam toD ke rakh dete hain"
F
Faraz Hasanpuri
Quote
"jo meraa haal hai vo us kaa haal thoDai hai use bichhaDne kaa koi malaal thoDai hai tu bevafaai pe apni na is qadar itraa fareb denaa kisi ko kamaal thoDai hai tiraa firaaq bhi aur muflisi ke sadme bhi hamaari jaan ko bas ik vabaal thoDai hai kahaan ye chaand kahaan teraa husn-o-rang-e-jamaal tire badan ki tarah us kaa Dhaal thoDai hai janaab ek ke baad ek gham milaa hai hamein hamaare vaaste ye achchhaa saal thoDai hai zamaana ho gayaa tark-e-taalluqaat hue 'faraaz' ab un se miri bol-chaal thoDai hai"
F
Faraz Hasanpuri
Quote
"vo roz nayaa fitna uThaane pe lagaa hai kam-zarf hai zaat apni dikhaane pe lagaa hai main chaahtaa huun khatm ho ye aapsi nafrat vo hai ki faqat baat baDhaane pe lagaa hai dushman ko taDaptaa huaa chhoD aaya huun main bhi har tiir miraa jaa ke nishaane pe lagaa hai haq baat ki taaid koi jurm ho jaise har shakhs mujhe aankhein dikhaane pe lagaa hai jis shakhs ki apni koi pahchaan nahin hai vo naam-o-nishaan meraa miTaane pe lagaa hai main itnaa pareshaan to khud se bhi nahin thaa jo sadma tire chhoD ke jaane pe lagaa hai naakaam thaa naakaam hai naakaam rahegaa bekaar ye dil us ko bhulaane pe lagaa hai insaaf ki ummid rakhun kis se 'sulaimaan' munsif mire qaatil ko bachaane pe lagaa hai"
F
Faraz Hasanpuri
Quote
"us taraf ahl-e-hasad hain jo bujhaate hain charaagh is taraf ham hain charaaghon se jalaate hain charaagh chain maan-baap ki aankhon ko nahin aataa hai jab talak lauT ke ghar mein nahin aate hain charaagh ye taraqqi hai ki tahzib kaa girtaa meaar aankhein is daur mein suraj se milaate hain charaagh is taraf vo bhi pareshaan hain mohabbat kar ke raat bhar ham bhi jalaate hain bujhaate hain charaagh main zaifi ke andheron mein paDaa huun apne kab talak dekho miraa saath nibhaate hain charaagh sab ki fitrat mein nahin hotaa ujaale karnaa apne ghar ko bhi kabhi aag lagaate hain charaagh ho gai khaak mohabbat ki kahaani kab ki aur ham aaj bhi maazi ke jalaate hain charaagh ham se aati nahin nafrat ki tijaarat ai 'faraaz' ham sukhan-var hain mohabbat ke jalaate hain charaagh"
F
Faraz Hasanpuri
Quote
"mohabbat kaa ye jazba marne kaa naa hai vo ab mere dil se utarne kaa naa hai kahaan us farebi ki baaton mein aae vo jo kah rahaa hai vo karne kaa naa hai tihattar girohon mein jab banT gae ham to shiraaza apnaa bikharne kaa naa hai abhi to shuruaat hai aashiqi ki abhi bhuut sar se utarne kaa naa hai tiri miThi baaton mein chipke to hai dil ye kyaa shart hai tu mukarne kaa naa hai judaai ke sadme hain bas chaar din ke kisi ke liye koi marne kaa naa hai agar bhuul saktaa bhulaa detaa ab tak tiri yaad kaa zakhm bharne kaa naa hai tu jab itni unchi uDaanein bharegaa to haasid tire par katarne kaa naa hai balaa kaa vo hushiyaar samjhe hai khud ko magar mere aage Thaharne kaa naa hai vo hai bevafaa to koi us se kah de 'faraaz' us ke sadme mein marne kaa naa hai"
F
Faraz Hasanpuri
Quote
"aansuon se hai libaas apnaa ye tar dekh liyaa kaisaa hotaa hai mohabbat kaa safar dekh liyaa tum bhi un ke hi divaanon mein gine jaaoge un ki surat ko agar ek nazar dekh liyaa muflisi teri 'inaayat hai ye teraa hai karam jo na dekhaa thaa kabhi aaj vo dar dekh liyaa ham kahin aur bhi dil apnaa lagaa lete magar koi tum saa na milaa saaraa nagar dekh liyaa raah mushkil thi par aasaan hui jaati thi main ne maan teri du'aaon kaa asar dekh liyaa meri tasvir ko siine se lagaate ho tum socho kyaa hogaa zamaane ne agar dekh liyaa dosti kaa miri anjaam na jaane kyaa ho aaj us ne miraa TuuTaa huaa ghar dekh liyaa ghair kaa naam hatheli pe likhaa hai teri main nahin huun tiraa manzur-e-nazar dekh liyaa haal-e-bad mein bhi 'faraaz' us ne na puchhaa ham ko kitni rakhtaa hai hamaari vo khabar dekh liyaa"
F
Faraz Hasanpuri

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb