"jab jab us ko yaar manaanaa paDtaa hai surkh labaada oDh ke jaanaa paDtaa hai tum meri sochon par qabza rakhte ho tum se mujh ko 'ishq nibhaanaa paDhtaa hai ham jaison ko vahshat tab apnaati hai ik chaukhaT pe shish jhukaanaa paDtaa hai vo jab phuul se vajd mein jaa Takraati hai phir gulshan ko hosh mein laanaa paDhtaa hai us laDki ke 'saajid' 'saajid' kahne par ab college bhi vaqt pe jaanaa paDtaa hai"
khiDki se zaraa jhaank le ik baar mere yaar — Ali Sajid
"khiDki se zaraa jhaank le ik baar mere yaar hai kaun tire dar pe talabgaar mere yaar ik giit sar-e-shaam lataa ji ki sharan mein aur us pe tire paanv ki jhankaar mere yaar honTon se gavaaraa nahin aankhon se lagaa le hai zehni kashaakash mein teraa yaar mere yaar ik shaam zaraa bhar kisi darvesh ki jholi ye bhi hain tiri zulf ke haqdaar mere yaar mumkin nahin ban jaaun kisi dar kaa savaali rahtaa hai najaf mein miraa sardaar mere yaar sab laash miri qabr mein rakhne pe tule hain bas ek sadaa thi ki mere yaar mere yaar milti na ho roTi jise do vaqt ki 'saajid' vo kaise kare ishq pe guftaar mire yaar"
کھڑکی سے ذرا جھانک لے اک بار میرے یار ہے کون ترے در پہ طلب گار میرے یار اک گیت سر شام لتا جی کی شرن میں اور اس پہ ترے پاؤں کی جھنکار میرے یار ہونٹوں سے گوارا نہیں آنکھوں سے لگا لے ہے ذہنی کشاکش میں تیرا یار میرے یار اک شام ذرا بھر کسی درویش کی جھولی یہ بھی ہیں تری زلف کے حق دار میرے یار ممکن نہیں بن جاؤں کسی در کا سوالی رہتا ہے نجف میں مرا سردار میرے یار سب لاش مری قبر میں رکھنے پہ تلے ہیں بس ایک صدا تھی کہ میرے یار میرے یار ملتی نہ ہو روٹی جسے دو وقت کی ساجدؔ وہ کیسے کرے عشق پہ گفتار مرے یار
खिड़की से ज़रा झाँक ले इक बार मेरे यार है कौन तिरे दर पे तलबगार मेरे यार इक गीत सर-ए-शाम लता जी की शरण में और उस पे तिरे पाँव की झंकार मेरे यार होंटों से गवारा नहीं आँखों से लगा ले है ज़ेहनी कशाकश में तेरा यार मेरे यार इक शाम ज़रा भर किसी दरवेश की झोली ये भी हैं तिरी ज़ुल्फ़ के हक़दार मेरे यार मुमकिन नहीं बन जाऊँ किसी दर का सवाली रहता है नजफ़ में मिरा सरदार मेरे यार सब लाश मिरी क़ब्र में रखने पे तुले हैं बस एक सदा थी कि मेरे यार मेरे यार मिलती न हो रोटी जिसे दो वक़्त की 'साजिद' वो कैसे करे इश्क़ पे गुफ़्तार मिरे यार

More by Ali Sajid
View all →"kamre ki jab se tirgi baDhti chali gai zakhmon se apni dosti baDhti chali gai chaaron taraf se khud mein lagaai gai thi aag chaaron taraf hi raushni baDhti chali gai main jitnaa tere jism ko paDhtaa chalaa gayaa khud se phir utni aagahi baDhti chali gai 'saajid' hamaare gaanv mein dariyaa ke baavajud kyaa raaz hai jo tishnagi baDhti chali gai"
"jab 'aks miraa shor machaane mein lag gayaa kamre se main bhi khud ko bhagaane mein lag gayaa almaariyon se chikh rahe hain tumhaare khat phir huun havaa mein un ko jalaane mein lag gayaa is baar main ne khvaab mein tasvir phaaD di is baar main bhi us ko bhulaane mein lag gayaa ik choT mere jism ko khaane mein lag gai ik khvaab meri aankh chabaane mein lag gayaa"
"sabaa ne kaan mein aa kar kahaa mile hi nahin hasin log tire gaanv mein rahe hi nahin hamein kyaa 'ilm ki kyaa shai hai aabla-paai ham apne kamre se baahar kabhi gae hi nahin hamein bachaane pe raazi thaa ik jahaan magar phir ek moD vo aayaa ki ham bache hi nahin tamaam shahr ne mil-jul ke kar liye taqsim ye haadsaat mire yaar jab Tale hi nahin mujhe giraane pe aandhi kaa zor thaa kitnaa mere lagaae hue peD to gire hi nahin"
"jab mire nazdik suraj mein kami paidaa hui phir andheron ke shahar mein raushni paidaa hui jab sadaa-e-kun lagaa kar vo zaraa faarigh huaa phir khudaa ki shaan mein ye shaairi paidaa hui main ne lafzon ko pilaai hai tiri jhuTi sharaab tab kahin ghazlon mein apni chaashni paidaa hui do musaafir phaand baiThe ajnabiyyat kaa mazaar dekhte hi dekhte phir dosti paidaa hui meraa rishta kuchh na thaa vahshat tire ajdaad se phir mire ghar kyon ye lailaa si pari paidaa hui"
"kab kis ko mayassar hai ye rutba ye amaari phulon ki kaTori mein hai shabnam ki savaari aankhon mein jalaae gae phir khvaab tumhaare siine se kharochi gai phir yaad tumhaari ai laaDli bachchi meri baabaa tere sadqe sau rang mire ghar mein tu le kar hai padhaari sab ilm-o-adab le gayaa 'saajid' kaa gharaanaa baiThe rahe kaasa liye masnad pe bhikaari"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"