SHAWORDS

jab jab us ko yaar manaanaa paDtaa hai — Ali Sajid

HomeAli SajidGhazal
"jab jab us ko yaar manaanaa paDtaa hai surkh labaada oDh ke jaanaa paDtaa hai tum meri sochon par qabza rakhte ho tum se mujh ko 'ishq nibhaanaa paDhtaa hai ham jaison ko vahshat tab apnaati hai ik chaukhaT pe shish jhukaanaa paDtaa hai vo jab phuul se vajd mein jaa Takraati hai phir gulshan ko hosh mein laanaa paDhtaa hai us laDki ke 'saajid' 'saajid' kahne par ab college bhi vaqt pe jaanaa paDtaa hai"
Urdu

جب جب اس کو یار منانا پڑتا ہے سرخ لبادہ اوڑھ کے جانا پڑتا ہے تم میری سوچوں پر قبضہ رکھتے ہو تم سے مجھ کو عشق نبھانا پڑھتا ہے ہم جیسوں کو وحشت تب اپناتی ہے اک چوکھٹ پہ شیش جھکانا پڑتا ہے وہ جب پھول سے وجد میں جا ٹکراتی ہے پھر گلشن کو ہوش میں لانا پڑھتا ہے اس لڑکی کے ساجدؔ ساجدؔ کہنے پر اب کالج بھی وقت پہ جانا پڑتا ہے

Hindi

जब जब उस को यार मनाना पड़ता है सुर्ख़ लबादा ओढ़ के जाना पड़ता है तुम मेरी सोचों पर क़ब्ज़ा रखते हो तुम से मुझ को 'इश्क़ निभाना पढ़ता है हम जैसों को वहशत तब अपनाती है इक चौखट पे शीश झुकाना पड़ता है वो जब फूल से वज्द में जा टकराती है फिर गुलशन को होश में लाना पढ़ता है उस लड़की के 'साजिद' 'साजिद' कहने पर अब कॉलेज भी वक़्त पे जाना पड़ता है

jab jab us ko yaar manānā paḌtā hai
Ali Sajid
Ali Sajid
Ali Sajid
poet10 quotes

More by Ali Sajid

View all →
Quote
"khiDki se zaraa jhaank le ik baar mere yaar hai kaun tire dar pe talabgaar mere yaar ik giit sar-e-shaam lataa ji ki sharan mein aur us pe tire paanv ki jhankaar mere yaar honTon se gavaaraa nahin aankhon se lagaa le hai zehni kashaakash mein teraa yaar mere yaar ik shaam zaraa bhar kisi darvesh ki jholi ye bhi hain tiri zulf ke haqdaar mere yaar mumkin nahin ban jaaun kisi dar kaa savaali rahtaa hai najaf mein miraa sardaar mere yaar sab laash miri qabr mein rakhne pe tule hain bas ek sadaa thi ki mere yaar mere yaar milti na ho roTi jise do vaqt ki 'saajid' vo kaise kare ishq pe guftaar mire yaar"
Ali SajidAli Sajid

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud