SHAWORDS

khushi kaa ek lamha chaahiye thaa — Aamir Ata

HomeAamir AtaGhazal
"khushi kaa ek lamha chaahiye thaa ghaDi-bhar saath teraa chaahiye thaa milaa thaa main mahinon baad tum se tumhein siine se lagnaa chaahiye thaa main duniyaa ghumne bekaar niklaa tiri aankhon ko taknaa chaahiye thaa hamesha ham ne ki teri tamanna hamein kab tere jaisaa chaahiye thaa tujhe saunpaa thaa apnaa aap main ne to phir mahfuz rakhnaa chaahiye thaa use ahvaal batlaanaa hai apnaa koi zakhmi parinda chaahiye thaa tumhaare ishq ne maaraa hai jis ko mujhe vo shakhs zinda chaahiye thaa daghaa kar ke bhi kitne mutmain ho tumhein to Duub marnaa chaahiye thaa use bakhshaa gayaa phir hijr jis ko javaani mein buDhaapaa chaahiye thaa sabhi achchhe hon kab chaahaa thaa main ne mujhe ik dost achchhaa chaahiye thaa phanse hain ab vahi mushkil Dagar mein jinhein aasaan rasta chaahiye thaa koi beva ke dukh ko kyaa samajhtaa sabhon ko ghar mein hissa chaahiye thaa main samjhaa vo miri khaatir khaDi hai magar us ko to rickshaw chaahiye thaa"
Urdu

خوشی کا ایک لمحہ چاہئے تھا گھڑی بھر ساتھ تیرا چاہئے تھا ملا تھا میں مہینوں بعد تم سے تمہیں سینے سے لگنا چاہئے تھا میں دنیا گھومنے بے کار نکلا تری آنکھوں کو تکنا چاہئے تھا ہمیشہ ہم نے کی تیری تمنا ہمیں کب تیرے جیسا چاہئے تھا تجھے سونپا تھا اپنا آپ میں نے تو پھر محفوظ رکھنا چاہئے تھا اسے احوال بتلانا ہے اپنا کوئی زخمی پرندہ چاہئے تھا تمہارے عشق نے مارا ہے جس کو مجھے وہ شخص زندہ چاہئے تھا دغا کر کے بھی کتنے مطمئن ہو تمہیں تو ڈوب مرنا چاہئے تھا اسے بخشا گیا پھر ہجر جس کو جوانی میں بڑھاپا چاہئے تھا سبھی اچھے ہوں کب چاہا تھا میں نے مجھے اک دوست اچھا چاہئے تھا پھنسے ہیں اب وہی مشکل ڈگر میں جنہیں آسان رستہ چاہئے تھا کوئی بیوہ کے دکھ کو کیا سمجھتا سبھوں کو گھر میں حصہ چاہئے تھا میں سمجھا وہ مری خاطر کھڑی ہے مگر اس کو تو رکشا چاہئے تھا

Hindi

ख़ुशी का एक लम्हा चाहिए था घड़ी-भर साथ तेरा चाहिए था मिला था मैं महीनों बाद तुम से तुम्हें सीने से लगना चाहिए था मैं दुनिया घूमने बेकार निकला तिरी आँखों को तकना चाहिए था हमेशा हम ने की तेरी तमन्ना हमें कब तेरे जैसा चाहिए था तुझे सौंपा था अपना आप मैं ने तो फिर महफ़ूज़ रखना चाहिए था उसे अहवाल बतलाना है अपना कोई ज़ख़्मी परिंदा चाहिए था तुम्हारे इश्क़ ने मारा है जिस को मुझे वो शख़्स ज़िंदा चाहिए था दग़ा कर के भी कितने मुतमइन हो तुम्हें तो डूब मरना चाहिए था उसे बख़्शा गया फिर हिज्र जिस को जवानी में बुढ़ापा चाहिए था सभी अच्छे हों कब चाहा था मैं ने मुझे इक दोस्त अच्छा चाहिए था फँसे हैं अब वही मुश्किल डगर में जिन्हें आसान रस्ता चाहिए था कोई बेवा के दुख को क्या समझता सभों को घर में हिस्सा चाहिए था मैं समझा वो मिरी ख़ातिर खड़ी है मगर उस को तो रिक्शा चाहिए था

ḳhushī kā ek lamha chāhiye thā
Aamir Ata
Aamir Ata
Aamir Ata
poet21 quotes

More by Aamir Ata

View all →
Quote
"khvaab mein kar ke rihaai ke nazaare qaidi jaag kar rote rahe aaj bechaare qaidi aap ki duniyaa mein jhule ki suhulat hogi jhulte hain yahaan suuli ke sahaare qaidi jaante the ki rihaai ki koi raah nahin roz karte the par andhon ko ishaare qaidi raat ki aaD mein milti hain sazaaein kyaa kyaa shaahzaadi ko lubhaate hain kunvaare qaidi us ne zindaan ke suraakh talak band kiye kaaT lein raat na ginte hue taare qaidi hai giraftaar-e-anaa har koi taa-hadd-e-nigaah zulmat-aabaad mein ab kis ko pukaare qaidi tum to yaadon ko bhi hamraah liye jaate ho chhoD kar jaao inhein ye hain hamaare qaidi"
Aamir AtaAamir Ata
Quote
"kahin paidaa koi majnun kahin farhaad karte hain vafaa ke naam par taaza sitam ijaad karte hain kisi ke dil mein basne ke liye fariyaad karte hain magar ahl-e-jahaan zaalim hamein barbaad karte hain kai aise adhure kaam hain is ke 'alaava bhi ye khush-fahmi na rakhnaa ham tumhein hi yaad karte hain yaqin maano kisi se mashvara karte nahin hain ham murid-e-‘ishq hain aur 'ishq ko ustaad karte hain tire aane se kyaa masti chaDhi basti ke logon par parindon ko rihaa par chuum kar sayyaad karte hain 'ataa' ham ko zamaane se alag karne ki khvaahish hai vo ham karte nahin jo dusre afraad karte hain"
Aamir AtaAamir Ata
Quote
"pahle apnaayaa khaar phulon kaa tab kahin paayaa pyaar phulon kaa main bhi gulshan sameT laayaa huun us ne maangaa thaa haar phulon kaa yaad aati hai us ki mat chheDo zikr yuun baar baar phulon kaa tujh se milne ke baad ye jaanaa kaun hai dastkaar phulon kaa phail jaa ban ke khushbu gulshan mein chhin le ikhtiyaar phulon kaa tere chhune se hi to chaltaa hai aaj kal rozgaar phulon kaa de ke izhaar-e-ishq karte hain is se samjho vaqaar phulon kaa jab se aamir-'ataa' huaa aashiq chaDh gayaa hai udhaar phulon kaa"
Aamir AtaAamir Ata
Quote
"be-hijaabaana vo kal jab bar-sar-e-mahfil gae jitne murjhaae the chehre ek dam se khil gae yaar vo naazuk hai itnaa main ne us ke aane par farsh phulon kaa bichhaayaa paanv phir bhi chhil gae jaane us aavaaz mein kaisi shifaa maujud hai us ne puchhaa Thiik ho aur zakhm khud hi sil gae vo jo apni be-tuki baaton se hi mashhur hai us ki baatein sunne ko sab shahr ke 'aaqil gae sirf us ke husn ki khairaat lene ke liye ban ke shaahaan-e-zamaana bhi vahaan saail gae baiThe baiThe us ne naddi mein Duboe paanv aur dekhte hi dekhte donon kinaare mil gae apni manzil paane vaalon mein vahi kuchh log hain raund kar apni anaa jo jaanib-e-manzil gae"
Aamir AtaAamir Ata

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb