"har ik zarre se hai taabaani-e-shams-o-qamar paidaa har ik aaine se hai surat-e-aaina-gar paidaa zamaana band kar detaa hai jis par ik dar-e-ishrat to is ke vaaste karti hai fitrat laakh dar paidaa gadaaon ki nazar mein khaak hai tauqir-e-sultaani fusun-e-ishq kar detaa hai zarron mein nazar paidaa nahin kuchh duur ye bhi surmaa qaumon ki fitrat se shikastein khaa ke bhi kar lete hain fath-o-zafar paidaa junun ko chaahiyein be-khauf-o-aaali-zarf divaane har ik divaar mein zindaan ki ho sakte hain dar paidaa haqiqat mein khizaan taamir hai fasl-e-bahaari ki ki dard-e-sar se hoti hai davaa-e-dard-e-sar paidaa"
koi parda miyaan-e-ishq haail ho nahin saktaa — Baldev Raaj
"koi parda miyaan-e-ishq haail ho nahin saktaa ye had hai to bhi ab madd-e-muqaabil ho nahin saktaa tiraa ahd-e-mohabbat TuuT kar ahd-e-mohabbat hai magar dil TuuT jaataa hai to phir dil ho nahin saktaa mohabbat mein parastish kaa maqaam unchaa sahi lekin ye gham insaan ki fitrat mein shaamil ho nahin saktaa mire azm-e-safar mein ye tiraa husn-e-sukun-afzaa charaagh-e-raah ban saktaa hai manzil ho nahin saktaa giraayaa hai nazar ki us bulandi se mujhe tu ne main ab apni nigaahon ke bhi qaabil ho nahin saktaa"
کوئی پردہ میان عشق حائل ہو نہیں سکتا یہ حد ہے تو بھی اب مد مقابل ہو نہیں سکتا ترا عہد محبت ٹوٹ کر عہد محبت ہے مگر دل ٹوٹ جاتا ہے تو پھر دل ہو نہیں سکتا محبت میں پرستش کا مقام اونچا سہی لیکن یہ غم انسان کی فطرت میں شامل ہو نہیں سکتا مرے عزم سفر میں یہ ترا حسن سکون افزا چراغ راہ بن سکتا ہے منزل ہو نہیں سکتا گرایا ہے نظر کی اس بلندی سے مجھے تو نے میں اب اپنی نگاہوں کے بھی قابل ہو نہیں سکتا
कोई पर्दा मियान-ए-इश्क़ हाइल हो नहीं सकता ये हद है तो भी अब मद्द-ए-मुक़ाबिल हो नहीं सकता तिरा अहद-ए-मोहब्बत टूट कर अहद-ए-मोहब्बत है मगर दिल टूट जाता है तो फिर दिल हो नहीं सकता मोहब्बत में परस्तिश का मक़ाम ऊँचा सही लेकिन ये ग़म इंसान की फ़ितरत में शामिल हो नहीं सकता मिरे अज़्म-ए-सफ़र में ये तिरा हुस्न-ए-सुकून-अफ़ज़ा चराग़-ए-राह बन सकता है मंज़िल हो नहीं सकता गिराया है नज़र की उस बुलंदी से मुझे तू ने मैं अब अपनी निगाहों के भी क़ाबिल हो नहीं सकता
More by Baldev Raaj
View all →"ab miri nigaahon mein auj hai na pasti hai ek sail-e-mad-hoshi ik hujum-e-masti hai ai nigaah-e-naa-mahram ishq ki vo basti hai jis qadar ujaDti hai us qadar hi basti hai aashiqi-o-mahbubi aaine ke do rukh hain husn ek baada hai ishq ek masti hai jazba-e-ibaadat ko rakh jazaa se begaana varna haq-parasti bhi ik havas-parasti hai dil ki paaemaali kaa gham to kuchh nahin lekin aisi pur-fazaa basti mushkilon se basti hai dida-var koi dekhe shaan-e-pir-e-mai-khaana is khudi ke chehre se be-khudi barasti hai himmaton ke bal uTTho khud-ravi ke bal niklo laghzishon ke bal chalnaa nang-e-mai-parasti hai aadmi ke chehre par bandagi nahin rahti varna khud-parasti bhi ik khudaa-parasti hai"
"zindagi hai ishq meri ruuh khuddaari miri vaa-e-majburi miri sad-haif mukhtaari miri garche tum ho haasil-e-hasti magar ai jaan-e-zist daulat-e-didaar se baDh kar hai naadaari miri tum ko nazron se ba-majburi giraa saktaa to huun jaane phir kyaa rang dikhlaae ye mukhtaari miri ishq ne kar di hai mujh par qismat dil aashkaar kyaa jhukegi ab tumhaare dar pe khuddaari miri zarra zarra saans letaa maan ko aataa hai nazar meri hasti talkh kar degi ye bedaari miri"
"gardish mein hai zamin bhi kyaa aasmaan ke saath duniyaa badal gai nigah-e-mehrbaan ke saath dohraanaa anjuman mein samajh soch ke use teri bhi daastaan hai miri daastaan ke saath ab main huun aur kunj-e-qafas ki musibatein vo aashiyaan ki baat gai aashiyaan ke saath betaabiyon se rabt thaa bechainiyon se kaam guzre hain aise din bhi us aaraam-jaan ke saath roz-e-azal vahi to faqat mustahiq na thaa kuchh gardishein hamein bhi milin aasmaan ke saath gham ko tire bhulaa na sakaa do-jahaan kaa gham teraa bhi gham rahaa hai gham-e-do-jahaan ke saath ummid hi nahin to guzar jaaegi yunhi ik mehrbaan ke saath ki naa-mehrbaan ke saath ye soz-o-saaz-e-ishq gham-e-jaavedaan sahi de umr-e-jaavedaan bhi gham-e-jaavedaan ke saath manzil kaa kyaa yaqin ho bataae koi mujhe jab rahguzaar bhi hai ravaan kaarvaan ke saath"
"khizaan kaa koi vajud hai na chaman mein rang-e-bahaar hai jise jaantaa hai tu kaarvaan vo tiri nazar kaa ghubaar hai na jamaal mein hain lataafatein na lataafaton mein hai be-khudi ye junun-e-ishq kaa bhuut hai jo bashar ke sar pe savaar hai mujhe be-niyaaz-e-alam na kar mujhe be-nasib-e-sitam na kar mire gham ki lazzat-e-jaavedaan miri zindagi ki bahaar hai ye nahin nashaat kaa zamzama ise gosh-e-hosh se sun zaraa mire saaz-e-dil ki sadaa nahin miri be-kasi ki pukaar hai mujhe zindagi ki duaa na de mujhe aisi sakht sazaa na de mujhe dekh aa ke qarib-tar miraa har nafas mujhe baar hai hai khabar asiir rihaa hue hain farogh daur-e-bahaar mein chalo 'raaj ham bhi chale chalein ki chaman mein urs-e-bahaar hai"
"aaj hai isaar kaa jazba jo parvaanon ke paas thi kabhi ye daulat-e-bedaar insaanon ke paas 'aql hai ik aastin kaa saanp farzaanon ke paas be-khudi kitni baDi daulat hai divaanon ke paas kis ki hai duniyaa ye aakhir saahab-e-khaana hai kaun mezbaan dekhaa nahin koi bhi mehmaanon ke paas azmat-e-divaangi kaa shor farzaanon mein hai hai ghanimat ye bhi rah jaae jo divaanon ke paas sham' raushan ho gai aa jaao jalne ke liye ye khabar jaataa hai le kar kaun parvaanon ke paas gaahe aabaadi ke siine tak chale aate hain dasht gaahe aabaadi pahunch jaati hai viraanon ke paas ashk-e-hasrat soz-e-gham dard-e-mohabbat daagh-e-dil kyaa nahin sab kuchh hai tere khasta saamaanon ke paas tum na gar aate to khinch jaate sanam-khaane vahin tum ne khud tauhin ki aa kar sanam-khaanon ke paas naakhudaa kashti ke rukh ko moD langar kaaT de mujh ko saahil saa nazar aataa hai tufaanon ke paas dekhein ab begaane karte hain ishaara kis taraf mujh ko apnon ne to pahunchaayaa hai begaanon ke paas 'raaj' jaane kis tarah karte hain sajde barhaman main to ban jaataa huun but jaa kar sanam-khaanon ke paas"
More on Safar
View all →"vo chiir ke aakaash zamin par utar aayaa jaltaa huaa suraj miri aankhon mein dar aayaa lahron ne kai baar mire dar pe di dastak phir saath mujhe lene samundar idhar aayaa vo ziist ke us paar ki thaah lene gayaa thaa par lauT ke ab tak na miraa ham-safar aayaa fursat ho to ye jism bhi miTTi mein dabaa do lo phir main zamaan aur makaan se idhar aayaa"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"kis tayaqqun talak gae ham log phir bhi ai dil bhaTak gae ham log misl-e-dariyaa mili thi sairaabi misl-e-saahil bilak gae ham log yunhi ik din safar kiyaa aaghaaz yunhi ik roz thak gae ham log ehtimaaman hue the ham-aaghosh ehtiyaatan bahak gae ham log ek khushbu chaman mein laai thi aur sahraa talak gae ham log nuur thaa yaa vo ik badan thaa 'samir' us ko chhu kar chamak gae ham log"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"