SHAWORDS

kuchh aise shab-e-hijr mein dil meraa jalaa hai — Mirza Hasan Nasir

"kuchh aise shab-e-hijr mein dil meraa jalaa hai roi hai shama haath patange ne malaa hai kaaTe na kaTegi mujhe lagtaa hai kuchh aisaa furqat ki ye shab hai yaa buri koi balaa hai dukh-dard vo muflis ke bhalaa dekhegaa kaise daulat ki chakaa-chaund mein daaim jo palaa hai har koi kavi chaah ke bhi bantaa nahin hai fitrat hi mein basti hai jo ye kaavya-kalaa hai kyon chhoD ke nij desh vatan jaae paraae 'naasir' ko vatan apnaa to jannat se bhalaa hai"
Urdu

کچھ ایسے شب ہجر میں دل میرا جلا ہے روئی ہے شمع ہاتھ پتنگے نے ملا ہے کاٹے نہ کٹے گی مجھے لگتا ہے کچھ ایسا فرقت کی یہ شب ہے یا بری کوئی بلا ہے دکھ درد وہ مفلس کے بھلا دیکھے گا کیسے دولت کی چکا چوند میں دائم جو پلا ہے ہر کوئی کوی چاہ کے بھی بنتا نہیں ہے فطرت ہی میں بستی ہے جو یہ کاویہ کلا ہے کیوں چھوڑ کے نج دیش وطن جائے پرائے ناصرؔ کو وطن اپنا تو جنت سے بھلا ہے

Hindi

कुछ ऐसे शब-ए-हिज्र में दिल मेरा जला है रोई है शम्अ' हाथ पतंगे ने मला है काटे न कटेगी मुझे लगता है कुछ ऐसा फ़ुर्क़त की ये शब है या बुरी कोई बला है दुख-दर्द वो मुफ़्लिस के भला देखेगा कैसे दौलत की चका-चौंद में दाइम जो पला है हर कोई कवी चाह के भी बनता नहीं है फ़ितरत ही में बस्ती है जो ये काव्य-कला है क्यों छोड़ के निज देश वतन जाए पराए 'नासिर' को वतन अपना तो जन्नत से भला है

kuchh aise shab-e-hijr meñ dil merā jalā hai
Mirza Hasan Nasir
Mirza Hasan Nasir
Mirza Hasan Nasir
poet7 quotes

More by Mirza Hasan Nasir

View all →

More on Sham

View all →
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"saaqi tiraa jamaal bhi meri nazar mein hai main jaantaa huun nuur jo shams-o-qamar mein hai meraa lahu bahaa ke adu mutmain nahin ab meraa khaandaan bhi us ki nazar mein hai akhbaar dekhtaa hai vo hasrat ki aankh se qaari ki zindagi kisi achchhi khabar mein hai yunhi nahin hai shaam se aankhon mein iztiraab khushbu bataa rahi hai koi rahguzar mein hai maanjhi badal badal ke miri fikr thak gai lekin miraa safina abhi tak bhanvar mein hai chhuTkaaraa paa gae hain sabhi is khayaal se insaaniyat kaa dard faqat mere sar mein hai dariyaa ke do kinaare hain milte nahin kabhi 'muztar' azal se bair yahaan khair-o-shar mein hai"
Muztar AzmiMuztar Azmi
Quote
"qismat se jis kisi ko tiraa aastaan mile us kaa mizaaj farsh-e-zamin par kahaan mile har ek ko ye rutba-e-aali kahaan mile vo khush-nasib hai jise dard-e-nihaan mile sahbaa-e-ishq maarifat-e-haq mile mujhe phir kuchh yahaan mile na mujhe kuchh vahaan mile tufaan ki zad pe rakkhi hui shama ki tarah ham log be-amaan hain hamein bhi amaan mile maa'lum ye huaa ki tiri anjuman thi vo ahl-e-zabaan bhi ham ko jahaan be-zabaan mile naadaan hisaar-e-zaat se baahar nikal ke dekh gum-karda kaaenaat kaa shaayad nishaan mile 'hamza' bhaTak rahe hain bhalaa kis dayaar mein chaliye vahaan zamin se jahaan aasmaan mile"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"nashaat-e-mai hai ki jaam-e-sharaab hai kyaa hai vo khvaab-e-husn hai yaa husn-e-khvaab hai kyaa hai nigaar-e-husn-e-ghazaalaan bahaar raahat-e-jaan sahar kaa nuur hai vo maahtaab hai kyaa hai havaa chali vahi khushbu-badan ki yaad aai ye khvaab hai ki haqiqat saraab hai kyaa hai shab-e-visaal jo guzri ki tere chehre par sabaa kaa lams hai rang-e-hijaab hai kyaa hai ye shaam-e-gham bhi nahin yaad-e-raftagaan bhi nahin ajiib si hai khalish iztiraab hai kyaa hai chaman mein nikhat-e-gul hai na ab nasim-e-bahaar dhuaan saa phailaa huaa hai sahaab hai kyaa hai charaagh ab bhi tiri rahguzar mein jaltaa hai miri vafaa kaa sila hai hisaab hai kyaa hai vo shams hai ki sitaaraa vo chaand hai ki sahar vo shakhs jaan-e-'sabaa' hai saraab hai kyaa hai"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"jin se Darte the maraasim un hadon tak aa gae aap se phir rafta rafta khud se ham uktaa gae ret par kuchh duur tak dekhe the ham ne saaf saaf phir ghubaar uThaa koi vo naqsh bhi dhundhlaa gae khud-kushi suraj ne kar li ye bataane ke liye kaale rangon ke parinde aasmaan par chhaa gae chand jugnu hain yahaan par aur musalsal tirgi saahabo ham shama le kar kis khanDar mein aa gae vo vali hai aur na baada-khvaar hai daanishvaron aap bhi ham-zaad se meraa hi dhokaa khaa gae"
Akhilesh TiwariAkhilesh Tiwari