"ajnabi saa ik sitaara huun main sayyaaron ke biich ik judaa kirdaar huun apne hi kirdaaron ke biich phir rahi huun be-sabab paagal havaa si jaa-ba-jaa dhund mein lipTe hue khaamosh kohsaaron ke biich is hisaar-e-khaak ko jab toD kar niklungi main DhunDte rah jaaoge tum mujh ko divaaron ke biich kuchh kaDe Takraao de jaati hai aksar raushni juun chamak uThti hai koi barq talvaaron ke bech shakl ye behtar hai lekin pukhtagi ke vaaste aao miTi ko rakhein kuchh der angaaron ke biich"
lo aaftaab ne sab khatm ikhtilaaf kiyaa — Aleena Itrat
"lo aaftaab ne sab khatm ikhtilaaf kiyaa dhuaan dhuaan the jo manzar sabhi ko saaf kiyaa shafaq kaa laal dupaTTaa oDhaa ke vaadi ko vajud-e-ishq kaa suraj ne e'tiraaf kiyaa kisi khayaal mein gharqaab garm saanson ne dabi hui kisi hasrat kaa inkishaaf kiyaa ik aabshaar ki shaffaaf narm halchal ne kamaal kar diyaa sang-e-badan shigaaf kiyaa ki baazgasht to jaari hai in ghaTaaon ki pa baarishon ne kahaan jaa ke e'tikaaf kiyaa ghaTaa ne chaand kaa ghunghaT sanvaarne ke liye hisaar-e-nur mein sau martaba tavaaf kiyaa tumhaare khauf se ham munh chhupaae phirte hain ye raushni se andheron ne e'tiraaf kiyaa"
لو آفتاب نے سب ختم اختلاف کیا دھواں دھواں تھے جو منظر سبھی کو صاف کیا شفق کا لال دوپٹا اوڑھا کے وادی کو وجود عشق کا سورج نے اعتراف کیا کسی خیال میں غرقاب گرم سانسوں نے دبی ہوئی کسی حسرت کا انکشاف کیا اک آبشار کی شفاف نرم ہلچل نے کمال کر دیا سنگ بدن شگاف کیا کہ بازگشت تو جاری ہے ان گھٹاؤں کی پہ بارشوں نے کہاں جا کے اعتکاف کیا گھٹا نے چاند کا گھونگھٹ سنوارنے کے لئے حصار نور میں سو مرتبہ طواف کیا تمہارے خوف سے ہم منہ چھپائے پھرتے ہیں یہ روشنی سے اندھیروں نے اعتراف کیا
लो आफ़्ताब ने सब ख़त्म इख़्तिलाफ़ किया धुआँ धुआँ थे जो मंज़र सभी को साफ़ किया शफ़क़ का लाल दुपट्टा ओढ़ा के वादी को वजूद-ए-इश्क़ का सूरज ने ए'तिराफ़ किया किसी ख़याल में ग़र्क़ाब गर्म साँसों ने दबी हुई किसी हसरत का इंकिशाफ़ किया इक आबशार की शफ़्फ़ाफ़ नर्म हलचल ने कमाल कर दिया संग-ए-बदन शिगाफ़ किया कि बाज़गश्त तो जारी है इन घटाओं की प बारिशों ने कहाँ जा के ए'तिकाफ़ किया घटा ने चाँद का घूँघट सँवारने के लिए हिसार-ए-नूर में सौ मर्तबा तवाफ़ किया तुम्हारे ख़ौफ़ से हम मुँह छुपाए फिरते हैं ये रौशनी से अँधेरों ने ए'तिराफ़ किया

More by Aleena Itrat
View all →"gunjti vaadi mein aavaaz abhi baaqi hai taar TuuTe hain to kyaa saaz abhi baaqi hai phir zamin khinch rahi hai mujhe apni jaanib main rukun kaise ki parvaaz abhi baaqi hai maut se pahle miri maut ko likhne vaale mere anjaam kaa aaghaaz abhi baaqi hai tu idhar hai ki nahin itnaa bataa de mujh ko saare parde uThe par raaz abhi baaqi hai vaqt ne gard kiyaa phuul se chehron kaa jamaal par adaa baaqi hai andaaz abhi baaqi hai"
"jiit ki aur na haar ki zid hai dil ko shaayad qaraar ki zid hai koi bhi to nahin taaaqub mein jaane kis se faraar ki zid hai ham se kuchh kah rahe hain sannaaTe par hamein intizaar ki zid hai ishq chaahe ki lab ko jaam likhe husn ko inkisaar ki zid hai baarhaa ham ne sangsaar kiyaa par use e'tibaar ki zid hai ek anjaam-e-tai-shuda ke liye phir khizaan ko bahaar ki zid hai ik baar us se kyaa milin nazrein dil ko ab baar baar ki zid hai"
"saare mausam badal gae shaayad aur ham bhi sambhal gae shaayad jhiil ko kar ke maahtaab supurd aks paa kar bahal gae shaayad ek Thahraav aa gayaa kaisaa zaaviye hi badal gae shaayad apni lau mein tapaa ke ham khud ko mom ban kar pighal gae shaayad kaanpti lau qaraar paane lagi jhonke aa kar nikal gae shaayad ham havaa se bachaa rahe the jinhein un charaaghon se jal gae shaayad ab ke barsaat mein bhi dil khush hai hijr ke khauf Tal gae shaayad saaf hone lage sabhi manzar ashk aankhon se Dhal gae shaayad baarish-e-sang jaise baarish-e-gul saare patthar pighal gae shaayad vo 'alinaa' badal gayaa thaa bahut is liye ham sambhal gae shaayad"
"khizaan ki zard si rangat badal bhi sakti hai bahaar aane ki surat nikal bhi sakti hai jalaa ke shama ab uTh uTh ke dekhnaa chhoDo vo zimmedaari se az-khud pighal bhi sakti hai hai shart subh ke raste se ho ke shaam aae to raat us ko sahar mein badal bhi sakti hai zaraa sanbhal ke jalaanaa aqidaton ke charaagh bhaDak na jaaein ki masnad ye jal bhi sakti hai abhi to chaak pe jaari hai raqs miTTi kaa abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai ye aaftaab se kah do ki faasla rakkhe tapish se barf ki divaar gal bhi sakti hai tire na aane ki tashrih kuchh zaruri nahin ki tere aate hi duniyaa badal bhi sakti hai koi zaruri nahin vo hi dil ko shaad kare 'alinaa' aap tabiat bahal bhi sakti hai"
"bhigo gai gul-e-ehsaas aaj shabnam phir badan ke gird lipaTne lagaa hai resham phir ye kis khayaal ke kundan se saj gayaa tan-man bhare hain kaasa-e-hasti mein kis ne nilam phir bahaar bundein ghaTaa khush-gavaar purvaai mire singaar ke kyaa aa gae hain mausam phir bataa rahi hain ye sargoshiyaan samundar kei ki khushk ret se dariyaa kaa hogaa sangam phir kai charaagh jo ye jal uThe hain aankhon mein suno judaai unhein kar na paae maddham phir tiri judaai ke sadme se yuun hue mohtaat na is ke baad hui phir ye aankh pur-nam phir 'alinaa' ik dafa ik aag mein tapaa thaa badan tamaam umr hui vo na aanch kam kam phir"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"