SHAWORDS

mariz-e-gham ke sahaaro koi to baat karo — Shakeb Jalali

HomeShakeb JalaliGhazal
"mariz-e-gham ke sahaaro koi to baat karo udaas chaand sitaaro koi to baat karo kahaan hai Duub chukaa ab to Dubne vaalaa shikasta-dil se kinaaro koi to baat karo mire nasib ko barbaadiyon se nisbat hai luTi hui si bahaaro koi to baat karo kahaan gayaa vo tumhaaraa bulandiyon kaa junun bujhe bujhe se sharaaro koi to baat karo isi tarah se ajab kyaa jo kuchh sukun mile gham-e-firaaq ke maaro koi to baat karo tumhaaraa gham bhi miTaati hain mastiyaan ki nahin sharaab-e-naab ke maaro koi to baat karo tumhaari khaak uDaataa nahin 'shakeb' to kyaa udaas raah-guzaaro koi to baat karo"
Urdu

مریض غم کے سہارو کوئی تو بات کرو اداس چاند ستارو کوئی تو بات کرو کہاں ہے ڈوب چکا اب تو ڈوبنے والا شکستہ دل سے کنارو کوئی تو بات کرو مرے نصیب کو بربادیوں سے نسبت ہے لٹی ہوئی سی بہارو کوئی تو بات کرو کہاں گیا وہ تمہارا بلندیوں کا جنون بجھے بجھے سے شرارو کوئی تو بات کرو اسی طرح سے عجب کیا جو کچھ سکون ملے غم فراق کے مارو کوئی تو بات کرو تمہارا غم بھی مٹاتی ہیں مستیاں کہ نہیں شراب ناب کے مارو کوئی تو بات کرو تمہاری خاک اڑاتا نہیں شکیبؔ تو کیا اداس راہ گزارو کوئی تو بات کرو

Hindi

मरीज़-ए-ग़म के सहारो कोई तो बात करो उदास चाँद सितारो कोई तो बात करो कहाँ है डूब चुका अब तो डूबने वाला शिकस्ता-दिल से किनारो कोई तो बात करो मिरे नसीब को बर्बादियों से निस्बत है लुटी हुई सी बहारो कोई तो बात करो कहाँ गया वो तुम्हारा बुलंदियों का जुनून बुझे बुझे से शरारो कोई तो बात करो इसी तरह से अजब क्या जो कुछ सुकून मिले ग़म-ए-फ़िराक़ के मारो कोई तो बात करो तुम्हारा ग़म भी मिटाती हैं मस्तियाँ कि नहीं शराब-ए-नाब के मारो कोई तो बात करो तुम्हारी ख़ाक उड़ाता नहीं 'शकेब' तो क्या उदास राह-गुज़ारो कोई तो बात करो

marīz-e-ġham ke sahāro koī to baat karo
Shakeb Jalali
Shakeb Jalali
Shakeb Jalali
poet66 quotes

More by Shakeb Jalali

View all →
Quote
"khamoshi bol uTThe har nazar paighaam ho jaae ye sannaaTaa agar had se baDhe kohraam ho jaae sitaare mishalein le kar mujhe bhi DhunDne niklein main rasta bhuul jaaun jangalon mein shaam ho jaae main vo aadam-gazida huun jo tanhaai ke sahraa mein khud apni chaap sun kar larza-bar-andaam ho jaae misaal aisi hai is daur-e-khirad ke hosh-mandon ki na ho daaman mein zarra aur sahraa naam ho jaae 'shakeb' apne taaaruf ke liye ye baat kaafi hai ham us se bach ke chalte hain jo rasta aam ho jaae"
Shakeb JalaliShakeb Jalali
Quote
"kanaar-e-aab khaDaa khud se kah rahaa hai koi gumaan guzartaa hai ye shakhs dusraa hai koi havaa ne toD ke patta zamin pe pheinkaa hai ki shab ki jhiil mein patthar giraa diyaa hai koi baTaa sake hain paDosi kisi kaa dard kabhi yahi bahut hai ki chehre se aashnaa hai koi darakht-e-raah bataaein hilaa hilaa kar haath ki qaafile se musaafir bichhaD gayaa hai koi chhuDaa ke haath bahut duur bah gayaa hai chaand kisi ke saath samundar mein Dubtaa hai koi ye aasmaan se TuuTaa huaa sitaara hai ki dasht-e-shab mein bhaTakti hui sadaa hai koi makaan aur nahin hai badal gayaa hai makin ufuq vahi hai magar chaand dusraa hai koi fasil-e-jism pe taaza lahu ke chhinTe hain hudud-e-vaqt se aage nikal gayaa hai koi 'shakeb' diip se lahraa rahe hain palkon par dayaar-e-chashm mein kyaa aaj rat-jagaa hai koi"
Shakeb JalaliShakeb Jalali
Quote
"vahaan ki raushniyon ne bhi zulm Dhaae bahut main us gali mein akelaa thaa aur saae bahut kisi ke sar pe kabhi TuuT kar giraa hi nahin is aasmaan ne havaa mein qadam jamaae bahut na jaane rut kaa tasarruf thaa yaa nazar kaa fareb kali vahi thi magar rang jhilmilaae bahut havaa kaa rukh hi achaanak badal gayaa varna mahak ke qaafile sahraa ki samt aae bahut ye kaaenaat hai meri hi khaak kaa zarra main apne dasht se guzraa to bhed paae bahut jo motiyon ki talab ne kabhi udaas kiyaa to ham bhi raah se kankar sameT laae bahut bas ek raat Thaharnaa hai kyaa gila kiije musaafiron ko ghanimat hai ye saraae bahut jami rahegi nigaahon pe tirgi din bhar ki raat khvaab mein taare utar ke aae bahut 'shakeb' kaisi uDaan ab vo par hi TuuT gae ki zer-e-daam jab aae the phaDphaDaae bahut"
Shakeb JalaliShakeb Jalali
Quote
"mujh se milne shab-e-gham aur to kaun aaegaa meraa saaya hai jo divaar pe jam jaaegaa Thahro Thahro mire asnaam-e-khayaali Thahro meraa dil gosha-e-tanhaai mein ghabraaegaa log dete rahe kyaa kyaa na dilaase mujh ko zakhm gahraa hi sahi zakhm hai bhar jaaegaa azm pukhta hi sahi tark-e-vafaa kaa lekin muntazir huun koi aa kar mujhe samjhaaegaa aankh jhapke na kahin raah andheri hi sahi aage chal kar vo kisi moD pe mil jaaegaa dil saa anmol ratan kaun kharidegaa 'shakeb' jab bikegaa to ye be-daam hi bik jaaegaa"
Shakeb JalaliShakeb Jalali
Quote
"aag ke darmiyaan se niklaa main bhi kis imtihaan se niklaa phir havaa se sulag uThe patte phir dhuaan gulsitaan se niklaa jab bhi niklaa sitaara-e-ummid kohr ke darmiyaan se niklaa chaandni jhaankti hai galiyon mein koi saaya makaan se niklaa ek shoala phir ik dhuein ki lakir aur kyaa khaak-daan se niklaa chaand jis aasmaan mein Duubaa kab usi aasmaan se niklaa ye guhar jis ko aaftaab kahein kis andhere ki kaan se niklaa shukr hai us ne bevafaai ki main kaDe imtihaan se niklaa log dushman hue usi ke 'shakeb' kaam jis mehrbaan se niklaa"
Shakeb JalaliShakeb Jalali
Quote
"ham-jins agar mile na koi aasmaan par behtar hai khaak Daaliye aisi uDaan par aa kar giraa thaa koi parinda lahu mein tar tasvir apni chhoD gayaa hai chaTaan par puchho samundaron se kabhi khaak kaa pata dekho havaa kaa naqsh kabhi baadbaan par yaaro main is nazar ki bulandi ko kyaa karun saaya bhi apnaa dekhtaa huun aasmaan par kitne hi zakhm hain mire ik zakhm mein chhupe kitne hi tiir aane lage ik nishaan par jal-thal hui tamaam zamin aas-paas ki paani ki buund bhi na giri saaebaan par malbus khush-numaa hain magar jism khokhle chhilke saje hon jaise phalon ki dukaan par saaya nahin thaa niind kaa aankhon mein duur tak bikhre the raushni ke nagin aasmaan par haq baat aa ke ruk si gai thi kabhi 'shakeb' chhaale paDe hue hain abhi tak zabaan par"
Shakeb JalaliShakeb Jalali

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud