SHAWORDS

maujon kaa bartaav dikhaaun dekhoge — Iqbal Aslam

HomeIqbal AslamGhazal
"maujon kaa bartaav dikhaaun dekhoge apni TuuTi naav dikhaaun dekhoge koi bhi rut ho shaakhein phulti rahti hain apnaa taaza ghaav dikhaaun dekhoge chaand se chehre par hain kaise kaise daagh aanchal to sarkaao dikhaaun dekhoge raat ke sapne din bhar khuun ugalte hain dhuup chaDhe aa jaao dikhaaun dekhoge saji-sajaai sanvari simTi zulfon mein kitnaa hai bikhraav dikhaaun dekhoge paspaai hai haar nahin hai zinda huun apnaa aakhiri daav dikhaaun dekhoge ab tak desh ki miTTi mujh se lipTi hai kyaa hogaa algaav dikhaaun dekhoge"
Urdu

موجوں کا برتاؤ دکھاؤں دیکھو گے اپنی ٹوٹی ناؤ دکھاؤں دیکھو گے کوئی بھی رت ہو شاخیں پھولتی رہتی ہیں اپنا تازہ گھاؤ دکھاؤں دیکھو گے چاند سے چہرے پر ہیں کیسے کیسے داغ آنچل تو سرکاؤ دکھاؤں دیکھو گے رات کے سپنے دن بھر خون اگلتے ہیں دھوپ چڑھے آ جاؤ دکھاؤں دیکھو گے سجی سجائی سنوری سمٹی زلفوں میں کتنا ہے بکھراؤ دکھاؤں دیکھو گے پسپائی ہے ہار نہیں ہے زندہ ہوں اپنا آخری داؤ دکھاؤں دیکھو گے اب تک دیش کی مٹی مجھ سے لپٹی ہے کیا ہوگا الگاؤ دکھاؤں دیکھو گے

Hindi

मौजों का बरताव दिखाऊँ देखोगे अपनी टूटी नाव दिखाऊँ देखोगे कोई भी रुत हो शाख़ें फूलती रहती हैं अपना ताज़ा घाव दिखाऊँ देखोगे चाँद से चेहरे पर हैं कैसे कैसे दाग़ आँचल तो सरकाओ दिखाऊँ देखोगे रात के सपने दिन भर ख़ून उगलते हैं धूप चढ़े आ जाओ दिखाऊँ देखोगे सजी-सजाई संवरी सिमटी ज़ुल्फ़ों में कितना है बिखराव दिखाऊँ देखोगे पस्पाई है हार नहीं है ज़िंदा हूँ अपना आख़िरी दाव दिखाऊँ देखोगे अब तक देश की मिट्टी मुझ से लिपटी है क्या होगा अलगाव दिखाऊँ देखोगे

maujoñ kā bartāv dikhā.ūñ dekhoge
Iqbal Aslam
Iqbal Aslam
Iqbal Aslam
poet18 quotes

More by Iqbal Aslam

View all →
Quote
"vo puraanaa shajar giraa naa bhai ik parinda thaa uD gayaa naa bhai jurm kis kaa hai kaun mujrim hai mil rahi hai mujhe sazaa naa bhai tu ne talvaar haath mein kyon li tu kabutar uDaa uDaa naa bhai main diyaa huun ki raushni baanTun tu havaa hai to aazmaa naa bhai ik zamaana thaa main zamaana thaa ab zamaana badal gayaa naa bhai teraa lashkar manaat-o-'uzzaa kaa meraa apnaa hai ik khudaa naa bhai ham ne dil mein jise basaayaa thaa aastinon mein pal rahaa naa bhai zindagi kyon sukut-e-saahil hai phir koi mauj uThaa uThaa naa bhai"
Iqbal AslamIqbal Aslam
Quote
"guunj rahaa thaa har pal har-su allaah-hu haq allaah-hu baandh liyaa main ne bhi ghungru allaah-hu haq allaah-hu haath uThaa kar bhinch liyaa aakaash ko apni muTThi mein chaand sitaare nikle jugnu allaah-hu haq allaah-hu duniyaa duniyaa kis ko DhunDe sun banjaare meri sun jhaank zaraa khud apnaa pahlu allaah-hu haq allaah-hu ik palDe mein jivan rakh de duuje mein rakh us kaa naam kyaa bole phir dekh taraazu allaah-hu haq allaah-hu baahar baahar ek khalaa hai khaamoshi sannaaTaa hai chikh uThaa andar kaa saadhu allaah-hu haq allaah-hu miTTi ke pinjre mein baiThaa teri or nihaarun main TuuTe par hain zakhmi baazu allaah-hu haq allaah-hu vo chaahe to dhuul chaTaaein panchhi haathi vaalon ko hoge tum changez halaaku allaah-hu haq allaah-hu khaak-aaluda kuchle bikhre phuul hain mere chaaron or phail rahi hai lekin khushbu allaah-hu haq allaah-hu pal-do-pal kaa jhonkaa huun bas aur miri auqaat hai kyaa uDti khaak saraktaa baalu allaah-hu haq allaah-hu band aankhon se dekh zaraa mere khaali kashkol mein dekh an-dekhe haathon kaa jaadu allaah-hu haq allaah-hu"
Iqbal AslamIqbal Aslam
Quote
"ufuq par tulu-e-sahar dekhte hain bas ik khvaab hai raat bhar dekhte hain zamin par to khaana-badoshi hai apni falak se pare apnaa ghar dekhte hain hamaari nazar aakhiri daav par hai abhi zer hain par zabar dekhte hain zabaan aur hi kuchh bayaan kar rahi hai ham ahl-e-nazar hain nazar dekhte hain bahut TuuT kar ham ne rishte nibhaae zaraa ek din toD kar dekhte hain ab aaina haathon mein rakhte nahin ham hatheli pe dastaar-o-sar dekhte hain hain 'iqbaal' kuchh aise manzar bhi jin ko nahin dekhnaa thaa magar dekhte hain"
Iqbal AslamIqbal Aslam
Quote
"Dagar Dagar hain bandishein tiraa nagar kamaal hai hain lahr lahr saazishein nadi nadi mein jaal hai ye jang bhi ajiib hai ki ham hain mubtalaa-e-jang jo aap ke hain aslahe to apni sirf Dhaal hai hai apne qaafile kaa raahzan hi apnaa rahnumaa jo tum kaho misaal hai to ham kahein zavaal hai hain manzilein bhi gum-shuda to raaste bhi kho gae ye kaisaa moD aa gayaa qadam qadam muhaal hai ajiib ik bahaao saa mire vajud mein nihaan nazar nazar khamosh hai lahu lahu ubaal hai uTho ki DhunDni hai phir vo chaandni vo raushni ye ruuh so gai hai kyon ye jism kyon niDhaal hai"
Iqbal AslamIqbal Aslam
Quote
"ho gae sahraai qismat aazmaane ke liye ghar kaa aangan chhoD aae ghar banaane ke liye ek sajda khair-o-shar ke darmiyaan thaa faisla ek pal faisal huaa saare zamaane ke liye apne ehsaasaat kyaa apni guzar-auqaat kyaa ashk piine ke liye hain zakhm khaane ke liye shaah ke mahlon mein shirin qaid ho kar rah gai ham hue farhaad bas nahrein bahaane ke liye aap ne to saari basti mein charaaghaan kar diyaa ik diyaa kaafi thaa meraa ghar jalaane ke liye thi haqiqat aur hi kuchh khush-gumaani aur kuchh us ne meraa naam likkhaa thaa miTaane ke liye ishq vaalon kaa zamaane se alag dastur hai dil ki baazi khelte hain haar jaane ke liye qaafile vaalo tumhein maalum hai raaz-e-safar raahzan rakkhe gae rasta dikhaane ke liye saare jangal mein lagi hai aag to kis se kahein ham ne kuchh tinke chune the aashiyaane ke liye"
Iqbal AslamIqbal Aslam
Quote
"ik aakhiri umiid huun ik raastaa huun main chal kar giraa huun aur sanbhal kar uThaa huun main sunti hai is tarah se miri zindagi mujhe TuuTe hue ghurur ki bikhri sadaa huun main vaabasta is qadar thaa main aangan ki dhuup se divaar jab uThaai gai gir paDaa huun main kal raat apne khvaab mein pyaasaa hi mar gayaa dariyaa tiri talaash mein jaan se gayaa huun main ik silsila thaa pusht thi khanjar thaa vaar thaa hairat-zada hain yaar ki ab tak khaDaa huun main mujh ko nikaalni thi kai surajon ki raah duniyaa samajh na paai ki kyunkar bujhaa huun main hain be-asar ye khuun ke dhabbe ye shor-o-ghul main huun zamir-e-qaum abhi so rahaa huun main dekhaa hai main ne khaak bhi sahraa bhi dasht bhi vahshat tire hudud se aage gayaa huun main vahm-o-gumaan vaalo mire paas aao to mujh se nazar milaao ki ik aaina huun main"
Iqbal AslamIqbal Aslam

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud