"ajiib tarah kaa ik gham hai jaan se lipTaa huaa bagulaa jaise koi baadbaan se lipTaa huaa main likhne baiThun to kaaghaz hi bhiig jaataa hai vo shakhs yuun hai miri daastaan se lipTaa huaa talab sukun mein kartaa huun be-sukuni se ki meraa suud hai mere ziyaan se lipTaa huaa main niind mein huun magar khvaab kis tarah dekhun miraa shuur hai mere gumaan se lipTaa huaa agarche niind mujhe ab bhi aa hi jaati hai magar vo niind ki sotaa thaa maan se lipTaa huaa baghair puchhe mujhe raasta bataataa hai koi to hai ki mire kaarvaan se lipTaa huaa"
nae baras bhi jo melaa lagaayaa jaanaa hai — Ejaz Haidar
"nae baras bhi jo melaa lagaayaa jaanaa hai gae dinon ko hi is mein bulaayaa jaanaa hai puraane ghar ko nayaa gar banaayaa jaanaa hai zaruratan use pahle giraayaa jaanaa hai mujhe pata hai ki pahle hansaayaa jaanaa hai aur us ke baad bahut hi rulaayaa jaanaa hai jahaan pe jaanaa mire bas ki baat hai hi nahin main jaantaa huun vahin par bulaayaa jaanaa hai baDe hi shauq se baiThaa huaa huun mahfil mein zarur mujh ko yahaan se uThaayaa jaanaa hai bhaTak rahe hain jo kuchh log aate jaate hue unhein bhi raasta aakhir dikhaayaa jaanaa hai adheD umr ke nisyaan kaa masala hai yahi vo yaad aataa hai jis ko bhulaayaa jaanaa hai"
نئے برس بھی جو میلا لگایا جانا ہے گئے دنوں کو ہی اس میں بلایا جانا ہے پرانے گھر کو نیا گر بنایا جانا ہے ضرورتاً اسے پہلے گرایا جانا ہے مجھے پتہ ہے کہ پہلے ہنسایا جانا ہے اور اس کے بعد بہت ہی رلایا جانا ہے جہاں پہ جانا مرے بس کی بات ہے ہی نہیں میں جانتا ہوں وہیں پر بلایا جانا ہے بڑے ہی شوق سے بیٹھا ہوا ہوں محفل میں ضرور مجھ کو یہاں سے اٹھایا جانا ہے بھٹک رہے ہیں جو کچھ لوگ آتے جاتے ہوئے انہیں بھی راستہ آخر دکھایا جانا ہے ادھیڑ عمر کے نسیاں کا مسئلہ ہے یہی وہ یاد آتا ہے جس کو بھلایا جانا ہے
नए बरस भी जो मेला लगाया जाना है गए दिनों को ही इस में बुलाया जाना है पुराने घर को नया गर बनाया जाना है ज़रूरतन उसे पहले गिराया जाना है मुझे पता है कि पहले हँसाया जाना है और उस के बाद बहुत ही रुलाया जाना है जहाँ पे जाना मिरे बस की बात है ही नहीं मैं जानता हूँ वहीं पर बुलाया जाना है बड़े ही शौक़ से बैठा हुआ हूँ महफ़िल में ज़रूर मुझ को यहाँ से उठाया जाना है भटक रहे हैं जो कुछ लोग आते जाते हुए उन्हें भी रास्ता आख़िर दिखाया जाना है अधेड़ उम्र के निस्याँ का मसअला है यही वो याद आता है जिस को भुलाया जाना है

More by Ejaz Haidar
View all →"vahin pe gham hai jahaan par khushi paDi hui hai aur un ke biich mein bhi dushmani paDi hui hai nimaT luun us se to sochungaa apne baare mein abhi to mere gale zindagi paDi hui hai nigaah mujh pe karegaa zarur dasht-e-junun zaraa si khaak mire sar mein bhi paDi hui hai jo baat ho na saki us ki baat ki jaae vo baat jo ki abhi an-kahi paDi hui hai main is liye bhi nahin kholtaa vo almaari puraane kapDon mein divaangi paDi hui hai"
"taaj mein ho bhi saktaa hai hiiraa kho bhi saktaa hai jaage bhaag to maan na kar bakht hai so bhi saktaa hai aankh mein rahne vaale sun ashk Dubo bhi saktaa hai vo qahhaar bhi hai lekin banda ro bhi saktaa hai jis mein kaaTne kaa dam ho vo hi bo bhi saktaa hai kaun kisi kaa hai 'ejaaz' kyaa koi ho bhi saktaa hai"
"baat jhuTi asar khayaali hai sarfaroshi kaa sar khayaali hai kaT gai khvaab TuTne mein umr yaani saaraa safar khayaali hai bhaai-chaara khulus aashti amn hai sabhi kuchh magar khayaali hai jalte rahnaa charaagh-e-shab mire saath hijr bhaari sahar khayaali hai aate jaate rahaa karo is par dil mein ik rahguzar khayaali hai nange paaon koi nahin aataa ab to har dopahar khayaali hai"
"hijr-e-paiham hai kyaa kiyaa jaae mustaqil gham hai kyaa kiyaa jaae ek tasvir saamne hai magar aankh pur-nam hai kyaa kiyaa jaae us ki aadat hai der kar denaa zindagi kam hai kyaa kiyaa jaae saunp detaa havaa ko khaak apni par abhi nam hai kyaa kiyaa jaae kaisaa jhagDaa hai mere andar ye shor har dam hai kyaa kiyaa jaae main huun tanhaa aur aap ke haq mein ek aalam hai kyaa kiyaa jaae jhuuT kaa aur adl kaa 'haidar' rabt-e-baaham hai kyaa kiyaa jaae"
"khushi ki baat thi lekin mujhe rulaa gai hai kahaan se baat chali thi kahaan tak aa gai hai miraa khudaa to yaqinan bharam rakhegaa miraa main jaantaa huun ki us tak miri duaa gai hai main aam taur pe chaltaa huun us se aage magar kahin kahin mire aage miri anaa gai hai main apne naam ki takhti nahin lagaataa kahin miraa pata miri be-maaegi bataa gai hai sanbhal ke baiTh tu masnad pe saahib-e-mansab kisi ki jaan kisi ki yahaan qabaa gai hai tujhe ye zoam faqat tu thaa raunaq-e-mahfil jaras ki guunj tire baad jaa-ba-jaa gai hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"