"ab is saada kahaani ko nayaa ik moD denaa thaa zaraa si baat par ahd-e-vafaa hi toD denaa thaa mahaktaa thaa badan har vaqt jis ke lams-e-khush-bu se vahi gul-dasta dahliz-e-khizaan par chhoD denaa thaa shikast-e-saaz-e-dil kaa umr bhar maatam bhi kyaa karte ki ik din hanste hanste saaz-e-jaan hi toD denaa thaa safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete bahar-surat hamein in aablon ko phoD denaa thaa ghalat-fahmi ke jhonkon se bikhar kar rah gae aakhir lahu ki aanch mein TuuTe dilon ko joD denaa thaa vo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paimaan kaa kitaab-e-zindagi ke is varaq ko moD denaa thaa banaayaa hi nahin ham ne kabhi ye soch kar 'anjum' ki gautam ki tarah ik din hamein ghar chhoD denaa thaa"
raqs-e-junun ki garmi-e-taasir dekhnaa — Anjum Irfani
"raqs-e-junun ki garmi-e-taasir dekhnaa khultaa hai kaise halqa-e-zanjir dekhnaa ghis ghis ke pattharon ko banaayaa hai aaina dekhein vo khvaab ham ko hai taabir dekhnaa harbe sab un ke un ko hi lauTaa diye gae hairat se ban gae hain vo tasvir dekhnaa likh di zabaan-e-zakhm mein rudaad-e-zindagi jismon pe us ki shokhi-e-tahrir dekhnaa ab to vajud-e-maqtal-o-zindaan pe aa bani ab beDiyaan na tauq na zanjir dekhnaa dekhe hain baiThe baiThe muqaddar ke tum ne khel uTh kar zaraa karishma-e-tadbir dekhnaa qasr-e-hayaat-e-nau ki hai baarud par binaa 'anjum' ye paaedaari-e-taamir dekhnaa"
رقص جنوں کی گرمئ تاثیر دیکھنا کھلتا ہے کیسے حلقۂ زنجیر دیکھنا گھس گھس کے پتھروں کو بنایا ہے آئنہ دیکھیں وہ خواب ہم کو ہے تعبیر دیکھنا حربے سب ان کے ان کو ہی لوٹا دئے گئے حیرت سے بن گئے ہیں وہ تصویر دیکھنا لکھ دی زبان زخم میں روداد زندگی جسموں پہ اس کی شوخیٔ تحریر دیکھنا اب تو وجود مقتل و زنداں پہ آ بنی اب بیڑیاں نہ طوق نہ زنجیر دیکھنا دیکھے ہیں بیٹھے بیٹھے مقدر کے تم نے کھیل اٹھ کر ذرا کرشمۂ تدبیر دیکھنا قصر حیات نو کی ہے بارود پر بنا انجمؔ یہ پائیدارئ تعمیر دیکھنا
रक़्स-ए-जुनूँ की गर्मी-ए-तासीर देखना खुलता है कैसे हल्क़ा-ए-ज़ंजीर देखना घिस घिस के पत्थरों को बनाया है आइना देखें वो ख़्वाब हम को है ता'बीर देखना हरबे सब उन के उन को ही लौटा दिए गए हैरत से बन गए हैं वो तस्वीर देखना लिख दी ज़बान-ए-ज़ख़्म में रूदाद-ए-ज़िंदगी जिस्मों पे उस की शोख़ी-ए-तहरीर देखना अब तो वजूद-ए-मक़्तल-ओ-ज़िंदाँ पे आ बनी अब बेड़ियाँ न तौक़ न ज़ंजीर देखना देखे हैं बैठे बैठे मुक़द्दर के तुम ने खेल उठ कर ज़रा करिश्मा-ए-तदबीर देखना क़स्र-ए-हयात-ए-नौ की है बारूद पर बिना 'अंजुम' ये पाएदारी-ए-तामीर देखना

More by Anjum Irfani
View all →"tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diyaa gayaa jo aib thaa use bhi hunar kah diyaa gayaa saaya hai pyaar kaa na mohabbat ki dhuup hai divaar ke hisaar ko ghar kah diyaa gayaa in ke har ek goshe mein sadiyaan muqim hain TuuTi imaaraton ko khanDar kah diyaa gayaa khuddaari-e-anaa hai na pindaar-e-zist hai shaanon ke saare bojh ko sar kah diyaa gayaa aangan mein har makaan ke andheron kaa raaj hai mahlon ki raushni ko sahar kah diyaa gayaa kuchh khauf-e-jaan hai aur na kuchh fikr-e-hijr-e-yaar khush-gaamiyon ko ranj-e-safar kah diyaa gayaa hairat darogh maslahat-aamez par ho kyaa be-barg jhaaDiyon ko shajar kah diyaa gayaa dekhaa kahaan hai aag ke dariyaaon kaa safar jugnu uDe to raqs-e-sharar kah diyaa gayaa kuchh ehtiraam-o-husn-e-aqidat ke josh mein har naqsh aab-e-naqsh-e-hajar kah diyaa gayaa khul jaaegaa bharam tiri mizaan-e-adl kaa do ek harf-e-jurm agar kah diyaa gayaa naa-aashnaa-e-naqsh-e-kaf-e-paa-e-aam hai vo raasta bhi raahguzar kah diyaa gayaa yuun khush hain jaise vaaqiatan ho gae khudaa majburiyon ke zer-e-asar kah diyaa gayaa 'anjum' yahaan tak aane mein kyaa kyaa guzar gai mohr-e-sar-e-mizha bhi guhar kah diyaa gayaa"
"is ne dekhaa hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah phuul pheinkaa bhi miri samt to patthar ki tarah us ke lab ko mire lab rah gae chhute chhute main bhi naakaam chalaa aayaa sikandar ki tarah rang suraj kaa sar-e-shaam huaa jaataa hai zard us kaa bhi ghar na ho viraan mire ghar ki tarah dard us ahd ki miraas hai Darnaa kaisaa dard ko oDh liyaa karte hain chaadar ki tarah log har lamha badalte hain nazariye apne zehn-e-insaan bhi tavaaif ke hai bistar ki tarah ab ki yurish mein kahin gir hi na jaae ye fasil shor rahtaa hai mire dil mein samundar ki tarah kaisaa is ahd mein paimaan-e-vafaa log ab to dost har saal badalte hain calender ki tarah lafz aate hi mire lab pe laraz jaate hain haal-e-dil sunte hain ab vo kisi afsar ki tarah vahi paabandi-e-auqaat vahi maamulaat zindagi ghar mein basar hoti hai daftar ki tarah ho gayaa khaak-nashin par ye jhukaae na jhukaa kisi sar mein bhi na saudaa ho mire sar ki tarah 'anjum' is ahd mein TuuTe hue dil ke rishte joDne par bhi hain udhDe hue collar ki tarah"
"ab kisi andhe safar ke liye tayyaar huaa chaahtaa hai ik zaraa der mein rukhsat tiraa bimaar huaa chaahtaa hai aakhiri qist bhi saanson ki chukaa degaa chukaane vaalaa zindagi qarz se tere vo subuk-baar huaa chaahtaa hai raaz-e-sar-basta samajhte rahe ab tak jise ahl-e-daanish munkashif aaj vahi raaz sar-e-daar huaa chaahtaa hai dil-e-vahshi ke bahalne kaa nahin ek bhi saamaan yahaan mahfil-e-zohd-e-mizaajaan se ye bezaar huaa chaahtaa hai dekh leni thi tujhe sina-e-aafat-zadagaan ki sakhti teraa har tir-e-hadaf-kaar hi bekaar huaa chaahtaa hai phailte shahron ke jangal mein ye ghaaron ki tarah tang makaan khuun mein vahshi-e-khvaabida bhi bedaar huaa chaahtaa hai dard-e-dil baanTtaa aayaa hai zamaane ko jo ab tak 'anjum' kuchh huaa yuun ki vahi dard se do-chaar huaa chaahtaa hai"
"fasil-e-jism pe shab-khun sharaartein teri zaraa si bhi nahin badli hain aadatein teri ye zakhm zakhm badan aur lahu lahu ye khvaab kitaab-e-jism pe utri hain aayatein teri hisaar-e-aatish-e-namrud mein ghiraa huun main ab itni sust qadam kyuun hain rahmatein teri charaag chaand shafaq shaam phuul jhiil sabaa churaain sab ne hi kuchh kuchh shabaahatein teri ye mauj mauj lahu mein tire badan kaa nasha talaash kartaa hai har lamha qurbatein teri ai rashk-e-sarv-o-sanobar-qadaan khiraam-e-naaz ki raah dekh rahi hain qayaamatein teri miri havas ke samundar mein madd-o-jazr nahin pe-zavaal na hon chaand-chaahatein teri ukhaDne vaali thi jis dam tanaab saanson ki dar aaiin khema-e-dil mein bashaaratein teri ise sambhaal, huaa jaa rahaa hai zer-o-zabar ki dil pe laai hui sab hain aafatein teri adaa huaa na kabhi mujh se ek sajda-e-shukr main kis zabaan se karungaa shikaayatein teri vo aankhon aankhon mein raaton kaa kaaTnaa teraa vo baaton baaton mein 'anjum' ibaadatein teri"
"aur kuchh yaad nahin ab se na tab se puchho meri aankhon se lahu bahtaa hai kab se puchho lamhe lamhe mein huaa jaataa huun reza reza vajh kuchh mujh se na puchho mire rab se puchho vo to suraj hai har ik baat kaa shoala hai javaab ru-ba-ru aa ke kaho yaa ki aqab se puchho yaad hai qissa-e-gham kaa mujhe har lafz abhi haal jis dard kaa jis ranj kaa jab se puchho tai havaa kaise andheron ke samundar kaa safar ghaaza-e-subh se kyaa chaadar-e-shab se puchho zakhm dekho mire talvon ke na chehre kaa ghubaar mujh pe kyaa guzri hai ye raah-e-talab se puchho kitne sahraa ki simaT aae hain siine mein mire tishnagi meri na sukhe hue lab se puchho yuun na har chehre pe ab Daalo savaali nazrein us ke kuche kaa pata tum to na sab se puchho mujh se kyaa puchhte ho saare hi lamhon kaa hisaab mil ke jis moD se ham bichhDe hain tab se puchho harf-e-haq kahne mein kyaa kyaa na hue ham pe sitam puchhnaa hi hai to bu-jahl o lahb se puchho jumbish-e-lab ki tumhein bhi hai ijaazat 'anjum' baat jo puchho bahar-haal adab se puchho"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"