SHAWORDS

rulaayaa jis ne mujh ko ashk-e-farhat — Azeem Malik

HomeAzeem MalikGhazal
"rulaayaa jis ne mujh ko ashk-e-farhat vo zikr-e-gham thaa yaa zikr-e-mohabbat na jaane ishq mein kuchh khaas kyaa hai bhali lagne lagi hai apni surat hamesha zehn ne rokaa hai mujh ko magar dil kar hi detaa hai baghaavat main mil kar baat karnaa chaahtaa huun nikaalo to kabhi thoDi si fursat jidhar se ji kare aa jaao ghar mein na hai divaar koi naan koi chhat 'azim' ik baar dekho phir palaT kar bulaati hai raqibon ki rifaaqat"
Urdu

رلایا جس نے مجھ کو اشک فرحت وہ ذکر غم تھا یا ذکر محبت نہ جانے عشق میں کچھ خاص کیا ہے بھلی لگنے لگی ہے اپنی صورت ہمیشہ ذہن نے روکا ہے مجھ کو مگر دل کر ہی دیتا ہے بغاوت میں مل کر بات کرنا چاہتا ہوں نکالو تو کبھی تھوڑی سی فرصت جدھر سے جی کرے آ جاؤ گھر میں نہ ہے دیوار کوئی ناں کوئی چھت عظیمؔ اک بار دیکھو پھر پلٹ کر بلاتی ہے رقیبوں کی رفاقت

Hindi

रुलाया जिस ने मुझ को अश्क-ए-फ़रहत वो ज़िक्र-ए-ग़म था या ज़िक्र-ए-मोहब्बत न जाने इश्क़ में कुछ ख़ास क्या है भली लगने लगी है अपनी सूरत हमेशा ज़ह्न ने रोका है मुझ को मगर दिल कर ही देता है बग़ावत मैं मिल कर बात करना चाहता हूँ निकालो तो कभी थोड़ी सी फ़ुर्सत जिधर से जी करे आ जाओ घर में न है दीवार कोई नाँ कोई छत 'अज़ीम' इक बार देखो फिर पलट कर बुलाती है रक़ीबों की रिफ़ाक़त

rulāyā jis ne mujh ko ashk-e-farhat
Azeem Malik
Azeem Malik
Azeem Malik
poet6 quotes

More by Azeem Malik

View all →
Quote
"un ke dar pe aankh bichhaae baiThe hain be-matlab ki aas lagaae baiThe hain saare aashiq sar ke bal aur do-zaanu gahri soch mein ghota khaae baiThe hain mat jaa un ke dar divaane pankh pasaar vo yaadon ki shama jalaae baiThe hain qurbaani kaa shauq agar hai be-shak jaa vo khanjar par dhaar lagaae baiThe hain un ki ghazlein un ki nazmein chhoDo yaar ustaadon ke sher churaae baiThe hain khel shaairi kaa un ke sang laa-haasil vo sar par divaan uThaae baiThe hain naa-mumkin hai ho paae didaar un kaa vo palkon ko aaD lagaae baiThe hain pyaar ke raste mat jaanaa o malik 'azim' ranj-o-gham sab ghaat lagaae baiThe hain"
Azeem MalikAzeem Malik
Quote
"gham se jab bhi aashnaai ho gai ye jo duniyaa thi paraai ho gai ab dilon ke darmiyaan divaar hai ye khataa to mere bhaai ho gai vaqt ke haakim kaa TuTegaa sitam aaj mujh se lab-kushaai ho gai sun ke bhi vo sun na paayaa muddaaa muft meri jag-hansaai ho gai aankh se puchhaa pata teraa kabhi dil ki jaanib rahnumaai ho gai main khudaa ke ghar mein jaa ke chhup gayaa maut ki phir bhi rasaai ho gai aaine ke saamne aayaa jo main har gunah ki ru-numaai ho gai main hi bas tanhaa khaDaa thaa ik taraf dusri jaanib khudaai ho gai"
Azeem MalikAzeem Malik

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud