SHAWORDS

saaqi sharaab laa ki tabiat udaas hai — Abdul Hamid Adam

"saaqi sharaab laa ki tabiat udaas hai mutrib rubaab uThaa ki tabiat udaas hai ruk ruk ke saaz chheD ki dil mutmain nahin tham tham ke mai pilaa ki tabiat udaas hai chubhti hai qalb o jaan mein sitaaron ki raushni ai chaand Duub jaa ki tabiat udaas hai mujh se nazar na pher ki barham hai zindagi mujh se nazar milaa ki tabiat udaas hai shaayad tire labon ki chaTak se ho ji bahaal ai dost muskuraa ki tabiat udaas hai hai husn kaa fusun bhi ilaaj-e-fasurdagi rukh se naqaab uThaa ki tabiat udaas hai main ne kabhi ye zid to nahin ki par aaj shab ai mah-jabin na jaa ki tabiat udaas hai imshab gurez-o-ram kaa nahin hai koi mahal aaghosh mein dar aa ki tabiat udaas hai kaifiyyat-e-sukut se baDhtaa hai aur gham qissa koi sunaa ki tabiat udaas hai yunhi durust hogi tabiat tiri 'adam' kam-bakht bhuul jaa ki tabiat udaas hai tauba to kar chukaa huun magar phir bhi ai 'adam' thoDaa saa zahr laa ki tabiat udaas hai"
Urdu

ساقی شراب لا کہ طبیعت اداس ہے مطرب رباب اٹھا کہ طبیعت اداس ہے رک رک کے ساز چھیڑ کہ دل مطمئن نہیں تھم تھم کے مے پلا کہ طبیعت اداس ہے چبھتی ہے قلب و جاں میں ستاروں کی روشنی اے چاند ڈوب جا کہ طبیعت اداس ہے مجھ سے نظر نہ پھیر کہ برہم ہے زندگی مجھ سے نظر ملا کہ طبیعت اداس ہے شاید ترے لبوں کی چٹک سے ہو جی بحال اے دوست مسکرا کہ طبیعت اداس ہے ہے حسن کا فسوں بھی علاج فسردگی رخ سے نقاب اٹھا کہ طبیعت اداس ہے میں نے کبھی یہ ضد تو نہیں کی پر آج شب اے مہ جبیں نہ جا کہ طبیعت اداس ہے امشب گریز و رم کا نہیں ہے کوئی محل آغوش میں در آ کہ طبیعت اداس ہے کیفیت سکوت سے بڑھتا ہے اور غم قصہ کوئی سنا کہ طبیعت اداس ہے یوں ہی درست ہوگی طبیعت تری عدمؔ کمبخت بھول جا کہ طبیعت اداس ہے توبہ تو کر چکا ہوں مگر پھر بھی اے عدمؔ تھوڑا سا زہر لا کہ طبیعت اداس ہے

Hindi

साक़ी शराब ला कि तबीअ'त उदास है मुतरिब रुबाब उठा कि तबीअ'त उदास है रुक रुक के साज़ छेड़ कि दिल मुतमइन नहीं थम थम के मय पिला कि तबीअ'त उदास है चुभती है क़ल्ब ओ जाँ में सितारों की रौशनी ऐ चाँद डूब जा कि तबीअ'त उदास है मुझ से नज़र न फेर कि बरहम है ज़िंदगी मुझ से नज़र मिला कि तबीअ'त उदास है शायद तिरे लबों की चटक से हो जी बहाल ऐ दोस्त मुस्कुरा कि तबीअ'त उदास है है हुस्न का फ़ुसूँ भी इलाज-ए-फ़सुर्दगी रुख़ से नक़ाब उठा कि तबीअ'त उदास है मैं ने कभी ये ज़िद तो नहीं की पर आज शब ऐ मह-जबीं न जा कि तबीअ'त उदास है इमशब गुरेज़-ओ-रम का नहीं है कोई महल आग़ोश में दर आ कि तबीअ'त उदास है कैफ़िय्यत-ए-सुकूत से बढ़ता है और ग़म क़िस्सा कोई सुना कि तबीअ'त उदास है यूँही दुरुस्त होगी तबीअ'त तिरी 'अदम' कम-बख़्त भूल जा कि तबीअ'त उदास है तौबा तो कर चुका हूँ मगर फिर भी ऐ 'अदम' थोड़ा सा ज़हर ला कि तबीअ'त उदास है

saaqī sharāb lā ki tabī.at udaas hai
Abdul Hamid Adam
Abdul Hamid Adam
Abdul Hamid Adam
poet192 quotes

More by Abdul Hamid Adam

View all →
Quote
"gunaah-e-jurat-e-tadbir kar rahaa huun main ye kis qimaash ki taqsir kar rahaa huun main main jaantaa huun alaamat hai zoaf himmat ki jise nasib se taabir kar rahaa huun main abhi tadabbur-o-tadbir kaa nahin mauqaa abhi himaayat-e-taqdir kar rahaa huun main hujum-e-hashr mein kholungaa adl kaa daftar abhi to faisle tahrir kar rahaa huun main javaab dene ki aadat nahin khudaa ko agar to kyaa parastish-e-tasvir kar rahaa huun main tabaah ho ke haqaaeq ke khurdure-pan se tasavvuraat ki taamir kar rahaa huun main khudaa ke aage 'adam' zikr-e-azmat-e-insaan ghalat maqaam pe taqrir kar rahaa huun main"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"ek dilkash zahr se labrez paimaane kaa naam zindagi kyaa hai khushi se jal ke mar jaane kaa naam 'aql hai bil-maslahat be-ai'tamaadi ki ravish 'ishq hai be-saakhta imaan le aane kaa naam aagahi kyaa hai musalsal khud-farebi kaa chalan raushni kyaa hai fareb-e-mustaqil khaane kaa naam khaamushi uryaani-e-mafhum kaa taabish-kada guftugu maa'shuq ko malbus pahnaane kaa naam ab mujhe daar-o-rasan ki samt muDne dijiye aap ne khud to chunaa thaa mere afsaane kaa naam khvaahishon ki ibtidaa ghunche chaTakhne ki sadaa khvaahishon ki intihaa phulon ke murjhaane kaa naam dost-daari kaa ye pairaaya bhi kyaa dilchasp hai le rahe hain saamne mere vo begaane kaa naam hain 'adam' ke zikr par kyon aap itne pur-ghazab sham' ke hamraah aa jaataa hai parvaane kaa naam"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi