SHAWORDS

sab charaaghon ki hidaayaat kaa matlab samjhe — Komal Joya

HomeKomal JoyaGhazal
"sab charaaghon ki hidaayaat kaa matlab samjhe chaand ruThaa to siyah raat kaa matlab samjhe us pe utre the mohabbat ke sahife lekin ek kaafir kahaan tauraat kaa matlab samjhe kaun rah rah ke vafaaon ko nibhaanaa sikhe kaun farsuda rivaayaat kaa matlab samjhe is se pahle to du'aaon pe yaqin thaa kam-kam tu ne chhoDaa to munaajaat kaa matlab samjhe jab vo bhar bhar ke luTaataa rahaa auron pe khulus ham tahi-dast 'inaayaat kaa matlab samjhe ab kisi aur taraf baat ghumaane vaale main samajhti huun tiri baat kaa matlab samjhe tujh ko bhi chhoD ke jaae tiraa apnaa koi tu bhi ik roz mukaafaat kaa matlab samjhe"
Urdu

سب چراغوں کی ہدایات کا مطلب سمجھے چاند روٹھا تو سیہ رات کا مطلب سمجھے اس پہ اترے تھے محبت کے صحیفے لیکن ایک کافر کہاں تورات کا مطلب سمجھے کون رہ رہ کے وفاؤں کو نبھانا سیکھے کون فرسودہ روایات کا مطلب سمجھے اس سے پہلے تو دعاؤں پہ یقیں تھا کم کم تو نے چھوڑا تو مناجات کا مطلب سمجھے جب وہ بھر بھر کے لٹاتا رہا اوروں پہ خلوص ہم تہی دست عنایات کا مطلب سمجھے اب کسی اور طرف بات گھمانے والے میں سمجھتی ہوں تری بات کا مطلب سمجھے تجھ کو بھی چھوڑ کے جائے ترا اپنا کوئی تو بھی اک روز مکافات کا مطلب سمجھے

Hindi

सब चराग़ों की हिदायात का मतलब समझे चाँद रूठा तो सियह रात का मतलब समझे उस पे उतरे थे मोहब्बत के सहीफ़े लेकिन एक काफ़िर कहाँ तौरात का मतलब समझे कौन रह रह के वफ़ाओं को निभाना सीखे कौन फ़र्सूदा रिवायात का मतलब समझे इस से पहले तो दु'आओं पे यक़ीं था कम-कम तू ने छोड़ा तो मुनाजात का मतलब समझे जब वो भर भर के लुटाता रहा औरों पे ख़ुलूस हम तही-दस्त 'इनायात का मतलब समझे अब किसी और तरफ़ बात घुमाने वाले मैं समझती हूँ तिरी बात का मतलब समझे तुझ को भी छोड़ के जाए तिरा अपना कोई तू भी इक रोज़ मुकाफ़ात का मतलब समझे

sab charāġhoñ kī hidāyāt kā matlab samjhe
Komal Joya
Komal Joya
Komal Joya
poet26 quotes

More by Komal Joya

View all →
Quote
"jhagaDnaa kaahe kaa mere bhaai paDi rahegi ye baap daadaa ki sab kamaai paDi rahegi andhere kamre mein raqs karti rahegi vahshat aur ek kone mein paarsaai paDi rahegi havaa ki minnat karo ki ghar ke diye bujhe to udaas ho kar diyaa salaai paDi rahegi hamaari nazron se aur ojhal agar hue tum zamaane bhar ki ye raushnaai paDi rahegi tumhaare jaane ke baa'd kaisi mahalle-daari yaqin kar lo bani banaai paDi rahegi tumhaare haathon kaa lams kaafi hai lauT aao main Thiik ho jaaungi davaai paDi rahegi buzurg rukhsat hue hain lekin baraamde mein puraane vaqton ki chaarpaai paDi rahegi"
Komal JoyaKomal Joya
Quote
"sabhi nuqush ghalat khaal-o-khad balaa ke kharaab mujhe vo Thiik nahin kar sakaa banaa ke kharaab mujhe pasand hai har shai jo mere jaisi ho so achchhi chiiz main rakh aati huun uThaa ke kharaab bas ek baar hi kaafi hai zindagi ki khudaa phir is jahaan mein honaa hai kis ko aa ke kharaab to ik charaagh jalaa aao shab ki chaukhaT par agar mizaaj nahin lag rahe havaa ke kharaab har ek kaam mukammal tavajjoh chaahtaa hai tabhi to khud ko kiyaa khuub dil lagaa ke kharaab tazaad-e-qaul-o-'amal aur fareb lahjon mein ye log dekhne mein hi the intihaa ke kharaab main sab se khushnumaa patthar thi tujh 'imaarat kaa so tu ne khud ko kiyaa hai mujhe haTaa ke kharaab tumhaaraa dukh hai ki tum bhi banaa diye gae ho hamaaraa kyaa hai ki ham log the sadaa ke kharaab"
Komal JoyaKomal Joya
Quote
"main jis iraade se jaa rahi huun usi iraade se laD paDungi mire sipaahi ko kuchh huaa to main shaahzaade se laD paDungi ye khel shaahon ke martabe kaa hadaf baneinge hamaare mohre main bebasi mein shikast khaae hue piyaade se laD paDungi main apni basti ki kachchi galiyon se ishq karti huun yaad rakhnaa agar jo achchhaa buraa kahegaa amir-zaade se laD paDungi asir-e-naqsh-o-nigaar mujh se nahin sambhaltaa ye chaak-e-hasti main thak gai to bikharti miTTi se aur buraade se laD paDungi ye sabr kab tak nibhaae jaaun main khud se nazrein churaae jaaun jo shaam-e-hijraan ne jaan khaai har ek vaade se laD paDungi"
Komal JoyaKomal Joya
Quote
"'ishq gar haath chhuDaae to chhuDaane denaa kaar-e-vahshat pe magar aanch na aane denaa yuun bhi aaghaaz mein har kaam bhalaa lagtaa hai avval avval hai ise hijr manaane denaa apne bachche ko na nafrat kaa paDhaa denaa sabaq haath dushman se milaae to milaane denaa ye bhi kam-zarf mohabbat kaa vatira hai miyaan jab nae zakhm ki khvaahish ho puraane denaa jis ne daaman miraa dukh dard se bhar Daalaa hai mere maulaa use khushiyon ke khazaane denaa 'izzat-e-nafs se baDh kar to koi chiiz nahin jo tumhein chhoD ke jaae use jaane denaa"
Komal JoyaKomal Joya
Quote
"main sochti huun ki ai rab furaat kyon nahin ki kushaada ham pe zamin-e-hayaat kyon nahin ki kisi ne puchhaa hai ghabraa ke jaane vaalon se basar saraae mein ik aur raat kyon nahin ki bas itni baat pe munsif sazaaein detaa rahaa qubul shahr ke logon ne maat kyon nahin ki bandhe the haath hamaare so ham se mat puchho uThaa ke haath du’aa-e-najaat kyon nahin ki miraa to zakhm hi naasur ban gayaa tu ne 'ilaaj karte hue ehtiyaat kyon nahin ki mire qabile ke sardaar vo munaafiq hain zabaan kaaT ke kahte hain baat kyon nahin ki"
Komal JoyaKomal Joya

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri