SHAWORDS

saudaa-e-ishq-e-khaam to har ik bashar mein hai — Azam Jalalabadi

"saudaa-e-ishq-e-khaam to har ik bashar mein hai majnun saa zabt-o-josh-o-junun kis ke sar mein hai ik main hi madah-go nahin sarkaar aap kaa charchaa tumhaare husn kaa har ek ghar mein hai allaah re nur-e-mushaf-e-rukhsaar ki damak ye taab ye chamak kahaan laal-o-guhar mein hai ghaayal kiye hazaar to laakhon jalaa diye kyaa baat un ki nigah-e-jaadu-asar mein hai naahaq hi koste ho jo rindon ko shaikh ji dekhaa bhi rashk-e-hur koi umr bhar mein hai khanjar chhupaa liye hain jo mizhgaan ki aaD mein ham par ayaan hai sab jo tumhaari nazar mein hai bismil hue raqib to ham tilmilaa uThe saare jahaan kaa dard hamaare jigar mein hai khaana-kharaab-e-ishq ne duniyaa se kho diyaa is par bhi aaj tak vahi khafaqaan sar mein hai 'aazam' bajaa hai sim-tanon kaa ghurur-e-husn qudrat hai un ki baat mein jaadu nazar mein hai"
Urdu

سودائے عشق خام تو ہر اک بشر میں ہے مجنوں سا ضبط و جوش و جنوں کس کے سر میں ہے اک میں ہی مدح گو نہیں سرکار آپ کا چرچا تمہارے حسن کا ہر ایک گھر میں ہے اللہ رے نور مصحف رخسار کی دمک یہ تاب یہ چمک کہاں لعل و گہر میں ہے گھائل کیے ہزار تو لاکھوں جلا دئے کیا بات ان کی نگۂ جادو اثر میں ہے ناحق ہی کوستے ہو جو رندوں کو شیخ جی دیکھا بھی رشک حور کوئی عمر بھر میں ہے خنجر چھپا لیے ہیں جو مژگاں کی آڑ میں ہم پر عیاں ہے سب جو تمہاری نظر میں ہے بسمل ہوئے رقیب تو ہم تلملا اٹھے سارے جہاں کا درد ہمارے جگر میں ہے خانہ خراب عشق نے دنیا سے کھو دیا اس پر بھی آج تک وہی خفقان سر میں ہے اعظمؔ بجا ہے سیم تنوں کا غرور حسن قدرت ہے ان کی بات میں جادو نظر میں ہے

Hindi

सौदा-ए-इश्क़-ए-ख़ाम तो हर इक बशर में है मजनूँ सा ज़ब्त-ओ-जोश-ओ-जुनूँ किस के सर में है इक मैं ही मदह-गो नहीं सरकार आप का चर्चा तुम्हारे हुस्न का हर एक घर में है अल्लाह रे नूर-ए-मुसहफ़-ए-रुख़्सार की दमक ये ताब ये चमक कहाँ लाल-ओ-गुहर में है घायल किए हज़ार तो लाखों जला दिए क्या बात उन की निगह-ए-जादू-असर में है नाहक़ ही कोसते हो जो रिंदों को शैख़ जी देखा भी रश्क-ए-हूर कोई उम्र भर में है ख़ंजर छुपा लिए हैं जो मिज़्गाँ की आड़ में हम पर अयाँ है सब जो तुम्हारी नज़र में है बिस्मिल हुए रक़ीब तो हम तिलमिला उठे सारे जहाँ का दर्द हमारे जिगर में है ख़ाना-ख़राब-ए-इश्क़ ने दुनिया से खो दिया इस पर भी आज तक वही ख़फ़क़ान सर में है 'आज़म' बजा है सीम-तनों का ग़ुरूर-ए-हुस्न क़ुदरत है उन की बात में जादू नज़र में है

saudā-e-ishq-e-ḳhām to har ik bashar meñ hai
A
Azam Jalalabadi
Azam Jalalabadi
poet9 quotes

More by Azam Jalalabadi

View all →
Quote
"qismat ki baat kar na muqaddar ki baat kar husn-e-amal ki husn-e-tadabbur ki baat kar kar apne ghar ki baat to auqaat apni dekh daaraa ki baat kar na sikandar ki baat kar kyaa gham jo maal-o-zar se nahin faizyaab tu shikva na kar kisi se muqaddar ki baat kar jo kuchh milaa hai tujh ko muqaddar ki den hai aql-o-hunar na husn-e-tadabbur ki baat kar shaair hai agar sher ki qimat na kar vasul apnaa hunar na bech sukhan-var ki baat kar yaktaa ho be-misaal ho laakhon mein ek ho aise hi kisi mard-e-dilaavar ki baat kar kis makhmase mein paD gayaa 'aazam' tu aaj-kal vahm-o-gumaan ko chhoD hunar-var ki baat kar"
A
Azam Jalalabadi
Quote
"taa-ba-aflaak agar apni rasaai hoti kuchh taajjub nahin qabze mein khudaai hoti naasehaa ham ko tabiat pe jo qaabu hotaa dil si daulat sar-e-baazaar ganvaai hoti maut ne mujh ko faraamosh kiyaa khuub kiyaa aap ne aankh na ai kaash churaai hoti meri miTTi ko Thikaane jo lagaayaa thaa tujhe su-e-but-khaana ye kam-bakht uDaai hoti sab ko tum saaghar-e-zarrin mein pilaate ho sharaab hamein talchhaT hi shikore mein pilaai hoti raat din shaikh-e-haram kalima buton kaa paDhtaa but-kade mein jo kabhi us ki rasaai hoti bhulte ham na kabhi baad-e-sabaa kaa ehsaan kaakul-e-yaar ki khushbu jo sunghaai hoti puchhtaa main bhi mizaaj aap kaa shokhi se yunhi choT dil ki jo kahin aap ne khaai hoti thaa azal se dil-e-'aazam' mein koi aur makin us mein kyaa ishq hasinaan ki samaai hoti"
A
Azam Jalalabadi
Quote
"shabaab aayaa taDapne aur taDpaane kaa vaqt aayaa agar sach puchhiye be-maut mar jaane kaa vaqt aayaa abhi ji bhar ke pi lo phir na jaane kis pe kyaa guzre qarib ab shaikh-ji ke vaaz farmaane kaa vaqt aayaa unhein paas-e-hayaa Thahraa to apne paanv larzaan hain hamaari juraton kaa un ke sharmaane kaa vaqt aayaa ghaTaa chhaai barasne ko hain bundein abr-e-nisaan se nahin piite jo naadaan un ko samjhaane kaa vaqt aayaa na ho jaae kahin phir aap se tum tum se tu 'aazam' hudud-e-aql se baahar nikal jaane kaa vaqt aayaa"
A
Azam Jalalabadi
Quote
"un ki nigaah-e-naaz kaa mastaana ho gayaa main hosh mein kuchh aur bhi divaana ho gayaa zaahid kaa khauf aur na kuchh mohtasib kaa Dar ab to mizaaj-e-shaikh bhi rindaana ho gayaa marne ke baad khul gaiin saari haqiqatein jo zindagi mein raaz thaa afsaana ho gayaa yaadein gaiin vo shauq vo armaan luT gae aabaad thaa jo dil kabhi viraana ho gayaa majnun ke baad puchhtaa thaa kaun najd ko aabaad mere dam se ye viraana ho gayaa aulaad-e-nek-bakht ki 'aazam' se puchhiye jo apne ghar mein aap hi begaana ho gayaa"
A
Azam Jalalabadi
Quote
"hindu na ban sakaa main musalmaan na ban sakaa giitaa suni na haafiz-e-quraan na ban sakaa main dard-e-sar to ban gayaa har ek ke liye lekin kisi ke dard kaa darmaan na ban sakaa masnad-nashin na ban sakaa ye aur baat thi sad haif tere dar kaa bhi darbaan na ban sakaa khud mein samaa ke khud ko hi kartaa rahaa salaam apne sivaa kisi kaa sanaa-khvaan na ban sakaa kitne hi shaad-kaam bashar se khudaa hue main bad-nasib aaj tak insaan na ban sakaa kaanTaa to ban gayaa main kisi khaarzaar mein lekin kabhi gul-e-chamanistaan na ban sakaa sher-o-sukhan mein yuun to guzaari tamaam umr is par bhi 'aazam' ek sukhan-daan na ban sakaa"
A
Azam Jalalabadi
Quote
"raat-din josh-e-junun se kaam honaa chaahiye ishq ki duniyaa mein apnaa naam honaa chaahiye miT na jaae is jahaan se ishq kaa naam-o-nishaan kuchh to paas-e-hasrat-e-naakaam honaa chaahiye gul-rukhon ki baat chhoDo vo khizaan-dida hain phuul fasl-e-gul kaa zikr subh-o-shaam honaa chaahiye zindagi miTti hai miT jaae adaa-e-farz mein farz ki takmil par anjaam honaa chaahiye chal diye sab dost aur ahbaab tanhaa chhoD kar ab to majburan ghariq-e-jaam honaa chaahiye chaaraagar se ho nahin saktaa gharibi kaa ilaaj ab gharibon hi kaa qatl-e-aam honaa chaahiye ye bhi hai koi hukumat jis ki laaThi us ki bhains jaante ho is kaa jo anjaam honaa chaahiye azm-o-himmat ho to ban jaataa hai 'aazam' har koi shart ye hai aadmi khush-kaam honaa chaahiye"
A
Azam Jalalabadi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat