SHAWORDS

tauba kaa takalluf kaun kare haalaat ki niyyat Thiik nahin — Abdul Hamid Adam

"tauba kaa takalluf kaun kare haalaat ki niyyat Thiik nahin rahmat kaa iraada bigDaa hai barsaat ki niyyat Thiik nahin ai shama bachaanaa daaman ko ismat se mohabbat arzaan hai aaluda-nazar parvaanon ke jazbaat ki niyyat Thiik nahin kal qata taalluq kar lenaa is vaqt to duniyaa meri hai ye raat ki qasmein jhuTi hain ye raat ki niyyat Thiik nahin aisaa nazar aataa hai jaise ye shai mujhe paagal kar degi thoDi si tavajjoh bar-haq hai bohtaat ki niyyat Thiik nahin raftaar-e-zamaana kaa lahja saffaak dikhaai detaa hai bar-vaqt koi tadbir karo aafaat ki niyyat Thiik nahin mai-khaane ki rasm-o-raah mein bhi ho jaae na shaamil khoT kahein khuddaam fareb-aamaada hain khidmaat ki niyyat Thiik nahin thoDaa saa kaDaa gar dil ko karun aadaat badal to sakti hain par asl musibat to ye hai aadaat ki niyyat Thiik nahin Dartaa huun 'adam' phir aaj kahin shoala na uThe bijli na gire barbat ki tabiat uljhi hai naghmaat ki niyyat Thiik nahin"
Urdu

توبہ کا تکلف کون کرے حالات کی نیت ٹھیک نہیں رحمت کا ارادہ بگڑا ہے برسات کی نیت ٹھیک نہیں اے شمع بچانا دامن کو عصمت سے محبت ارزاں ہے آلودہ نظر پروانوں کے جذبات کی نیت ٹھیک نہیں کل قطع تعلق کر لینا اس وقت تو دنیا میری ہے یہ رات کی قسمیں جھوٹی ہیں یہ رات کی نیت ٹھیک نہیں ایسا نظر آتا ہے جیسے یہ شے مجھے پاگل کر دے گی تھوڑی سی توجہ برحق ہے بہتات کی نیت ٹھیک نہیں رفتار زمانہ کا لہجہ سفاک دکھائی دیتا ہے بر وقت کوئی تدبیر کرو آفات کی نیت ٹھیک نہیں مے خانے کی رسم و راہ میں بھی ہو جائے نہ شامل کھوٹ کہیں خدام فریب آمادہ ہیں خدمات کی نیت ٹھیک نہیں تھوڑا سا کڑا گر دل کو کروں عادات بدل تو سکتی ہیں پر اصل مصیبت تو یہ ہے عادات کی نیت ٹھیک نہیں ڈرتا ہوں عدمؔ پھر آج کہیں شعلہ نہ اٹھے بجلی نہ گرے بربط کی طبیعت الجھی ہے نغمات کی نیت ٹھیک نہیں

Hindi

तौबा का तकल्लुफ़ कौन करे हालात की निय्यत ठीक नहीं रहमत का इरादा बिगड़ा है बरसात की निय्यत ठीक नहीं ऐ शम्अ बचाना दामन को इस्मत से मोहब्बत अर्ज़ां है आलूदा-नज़र परवानों के जज़्बात की निय्यत ठीक नहीं कल क़त्अ तअ'ल्लुक़ कर लेना इस वक़्त तो दुनिया मेरी है ये रात की क़स्में झूटी हैं ये रात की निय्यत ठीक नहीं ऐसा नज़र आता है जैसे ये शय मुझे पागल कर देगी थोड़ी सी तवज्जोह बर-हक़ है बोहतात की निय्यत ठीक नहीं रफ़्तार-ए-ज़माना का लहजा सफ़्फ़ाक दिखाई देता है बर-वक़्त कोई तदबीर करो आफ़ात की निय्यत ठीक नहीं मय-ख़ाने की रस्म-ओ-राह में भी हो जाए न शामिल खोट कहें ख़ुद्दाम फ़रेब-आमादा हैं ख़िदमात की निय्यत ठीक नहीं थोड़ा सा कड़ा गर दिल को करूँ आदात बदल तो सकती हैं पर अस्ल मुसीबत तो ये है आदात की निय्यत ठीक नहीं डरता हूँ 'अदम' फिर आज कहीं शो'ला न उठे बिजली न गिरे बरबत की तबीअ'त उलझी है नग़्मात की निय्यत ठीक नहीं

tauba kā takalluf kaun kare hālāt kī niyyat Thiik nahīñ
Abdul Hamid Adam
Abdul Hamid Adam
Abdul Hamid Adam
poet192 quotes

More by Abdul Hamid Adam

View all →
Quote
"gunaah-e-jurat-e-tadbir kar rahaa huun main ye kis qimaash ki taqsir kar rahaa huun main main jaantaa huun alaamat hai zoaf himmat ki jise nasib se taabir kar rahaa huun main abhi tadabbur-o-tadbir kaa nahin mauqaa abhi himaayat-e-taqdir kar rahaa huun main hujum-e-hashr mein kholungaa adl kaa daftar abhi to faisle tahrir kar rahaa huun main javaab dene ki aadat nahin khudaa ko agar to kyaa parastish-e-tasvir kar rahaa huun main tabaah ho ke haqaaeq ke khurdure-pan se tasavvuraat ki taamir kar rahaa huun main khudaa ke aage 'adam' zikr-e-azmat-e-insaan ghalat maqaam pe taqrir kar rahaa huun main"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"ek dilkash zahr se labrez paimaane kaa naam zindagi kyaa hai khushi se jal ke mar jaane kaa naam 'aql hai bil-maslahat be-ai'tamaadi ki ravish 'ishq hai be-saakhta imaan le aane kaa naam aagahi kyaa hai musalsal khud-farebi kaa chalan raushni kyaa hai fareb-e-mustaqil khaane kaa naam khaamushi uryaani-e-mafhum kaa taabish-kada guftugu maa'shuq ko malbus pahnaane kaa naam ab mujhe daar-o-rasan ki samt muDne dijiye aap ne khud to chunaa thaa mere afsaane kaa naam khvaahishon ki ibtidaa ghunche chaTakhne ki sadaa khvaahishon ki intihaa phulon ke murjhaane kaa naam dost-daari kaa ye pairaaya bhi kyaa dilchasp hai le rahe hain saamne mere vo begaane kaa naam hain 'adam' ke zikr par kyon aap itne pur-ghazab sham' ke hamraah aa jaataa hai parvaane kaa naam"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar