SHAWORDS

tinke kaa haath aayaa sahaaraa ghalat ghalat — Nabeel Ahmad Nabeel

"tinke kaa haath aayaa sahaaraa ghalat ghalat mauj-e-talab ne paayaa kinaaraa ghalat ghalat sail-e-balaa mein Duub rahaa thaa main jis ghaDi duniyaa ke saath us ne pukaaraa ghalat ghalat ham log ji rahe hain tire shahr mein abhi kiije na indiraaj hamaaraa ghalat ghalat chaltaa hai dushmanon ki tarah mere saath jo us ne kiyaa hai mujh ko gavaaraa ghalat ghalat koi bhi chiiz rahni nahin taa-abad yahaan naqsha hai is jahaan kaa saaraa ghalat ghalat shaakh-e-talab ko paani diyaa hai lahu nahin ham ne har ek gul ko nikhaaraa ghalat ghalat raaton kaa iztiraab nahin yuun bhi jaa sakaa ubhraa hai zulmaton mein sitaara ghalat ghalat ik ik varaq mein khauf kaa mazmun hai miyaan hai ziist kaa har ek shumaara ghalat ghalat dhokaa diyaa hai aaine ko us ne is tarah zulfon ko us ne rukh pe sanvaaraa ghalat ghalat ilzaam de ke daana-e-gandum kaa ai 'nabil' us ne mujhe zamin pe utaaraa ghalat ghalat"
Urdu

تنکے کا ہاتھ آیا سہارا غلط غلط موج طلب نے پایا کنارا غلط غلط سیل بلا میں ڈوب رہا تھا میں جس گھڑی دنیا کے ساتھ اس نے پکارا غلط غلط ہم لوگ جی رہے ہیں ترے شہر میں ابھی کیجے نہ اندراج ہمارا غلط غلط چلتا ہے دشمنوں کی طرح میرے ساتھ جو اس نے کیا ہے مجھ کو گوارا غلط غلط کوئی بھی چیز رہنی نہیں تا ابد یہاں نقشہ ہے اس جہان کا سارا غلط غلط شاخ طلب کو پانی دیا ہے لہو نہیں ہم نے ہر ایک گل کو نکھارا غلط غلط راتوں کا اضطراب نہیں یوں بھی جا سکا ابھرا ہے ظلمتوں میں ستارہ غلط غلط اک اک ورق میں خوف کا مضمون ہے میاں ہے زیست کا ہر ایک شمارہ غلط غلط دھوکا دیا ہے آئنے کو اس نے اس طرح زلفوں کو اس نے رخ پہ سنوارا غلط غلط الزام دے کے دانۂ گندم کا اے نبیلؔ اس نے مجھے زمیں پہ اتارا غلط غلط

Hindi

तिनके का हाथ आया सहारा ग़लत ग़लत मौज-ए-तलब ने पाया किनारा ग़लत ग़लत सैल-ए-बला में डूब रहा था मैं जिस घड़ी दुनिया के साथ उस ने पुकारा ग़लत ग़लत हम लोग जी रहे हैं तिरे शहर में अभी कीजे न इंदिराज हमारा ग़लत ग़लत चलता है दुश्मनों की तरह मेरे साथ जो उस ने किया है मुझ को गवारा ग़लत ग़लत कोई भी चीज़ रहनी नहीं ता-अबद यहाँ नक़्शा है इस जहान का सारा ग़लत ग़लत शाख़-ए-तलब को पानी दिया है लहू नहीं हम ने हर एक गुल को निखारा ग़लत ग़लत रातों का इज़्तिराब नहीं यूँ भी जा सका उभरा है ज़ुल्मतों में सितारा ग़लत ग़लत इक इक वरक़ में ख़ौफ़ का मज़मून है मियाँ है ज़ीस्त का हर एक शुमारा ग़लत ग़लत धोका दिया है आइने को उस ने इस तरह ज़ुल्फ़ों को उस ने रुख़ पे सँवारा ग़लत ग़लत इल्ज़ाम दे के दाना-ए-गंदुम का ऐ 'नबील' उस ने मुझे ज़मीं पे उतारा ग़लत ग़लत

tinke kā haath aayā sahārā ġhalat ġhalat
Nabeel Ahmad Nabeel
Nabeel Ahmad Nabeel
Nabeel Ahmad Nabeel
poet42 quotes

More by Nabeel Ahmad Nabeel

View all →
Quote
"aisi uljhan ho kabhi aisi bhi rusvaai ho dil ke har zakhm mein dariyaaon ki gahraai ho ishq mein aise kisi ki bhi na rusvaai ho har-qadam paanv mein zanjir nazar aai ho is tarah yaad tiri dil mein chali aai ho jis tarah koi kali shaakh pe muskaai ho yuun guzarte hain tire hijr mein din-raat mire jaan pe jaise kisi shakhs ke ban aai ho diid se pyaas bujhe chashm-e-tamannaa ki kabhi husn-e-zebaa se dil-e-zaar ki zebaai ho tu qarib aayaa to aisaa mujhe mahsus huaa teri khushbu miri saanson mein simaT aai ho aise bojhal hain tire baad mohabbat ke qadam jaise laDki kisi dehaat ki ghabraai ho ek arsa huaa manzar nahin dekhaa koi husn-e-zebaa se miri aankh mein raanaai ho mil bhi saktaa hai hamein manzil-e-hasti kaa suraagh vaqt ne paanv mein zanjir na pahnaai ho is tarah dekhtaa hai mujh ko vo ik shakhs yahaan jis tarah ek zamaane ki shanaasaai ho raaste aise chamak uThte hain rafta rafta muntazir jaise nazar raah mein phailaai ho kaash aisaa bhi koi lamha mayassar aa jaae ishq ki baat bane gham ki paziraai ho aise siine mein pareshaan hai dil kaa honaa har taraf dhuul ho har or mein tanhaai ho dil bhi jaltaa ho judaai mein sharaare ki tarah giili lakDi ki tarah jaan bhi sulgaai ho gulshan-e-zist mein raqsaan ho bahaaron kaa samaan tere aanchal se har ik shaakh hi rangvaai ho husn ko ishq ke aa jaaein jo aadaab kabhi aankh shaidaai na ho dil na tamannaai ho arsa-e-zist mein aisaa na koi lamha milaa kisi saaat ne kali pyaar ki mahkaai ho daaere aise banaati hai yahaan qaus-e-quzah hu-ba-hu jaise kisi shokh ki angDaai ho zindagi aise kaTi taana-o-dushnaam ke saath meraa honaa bhi mire gham kaa shanaasaai ho chain aataa hai tamannaa ko na armaan ko sakun jab mohabbat ki kali khauf se murjhaai ho bech ke khud ko bhi khushiyaan na kharidi jaaein teri duniyaa mein na aisi kabhi mahngaai ho mujh ko gul-rang bahaaron se yahi lagtaa hai jaise parvaa tiri khushbu ko liye aai ho dekh kar rang bahaaron ke mujhe lagtaa hai jaise chunari kisi doshiza ne phailaai ho phuul ki tarah sabhi daagh mahakne lag jaaein kaash aisaa bhi kahin tarz-e-masihaai ho kaisaa manzar ho ki sar phoDte divaanon ke sang ho haath mein aur saamne harjaai ho hai mizaaj apnaa alag apni tabiat hai judaa kaise is daur ke logon se shanaasaai ho vo sukhan-var jo sukhan-var hain haqiqi saahab aise logon kaa kabhi jashn-e-paziraai ho zakhm us shokh ne is baar lagaayaa vo 'nabil' jaise biphre hue dariyaaon ki gahraai ho chaae kaa cup ho 'nabil' aur kisi ki yaadein raat kaa pichhlaa pahar aalam-e-tanhaai ho aisi haalat mein nazar aayaa hai vo aaj 'nabil' jaise sheron mein koi qaafiya-paimaai ho"
Nabeel Ahmad NabeelNabeel Ahmad Nabeel
Quote
"hai jo bigDi hui surat miri bimaari ki pyaar mein mujh se kisi shakhs ne ghaddaari ki har taraf khun-kharaaba kiyaa logon ne bapaa sher takhliq kiye main ne ghazal jaari ki har-nafas siine mein patthar ki tarah lagtaa hai zindagi mujh pe sitam-kesh ne yuun bhaari ki ye alag baat ki har lahza pareshaan main huun main ne sachchaai ki is par bhi taraf-daari ki main ne har baar haqiqat ki nazar se dekhaa us ne har baar mire saath adaakaari ki phuul ki misl mahak uTThegaa qarya qarya apne is des ki jab ham ne kamaan-daari ki qaafile vaalon ko manzil na mili barson se ye bhi khubi hai tiri qaafila-saalaari ki zindagi apne bharose pe guzaari main ne vaaris-e-takht ne kab meri nigah-daari ki is se badlegaa mire shahr kaa saaraa manzar lahar jo uTThi mire shahr mein bedaari ki rashk aataa hai hamein apne muqaddar pe 'nabil' aal-e-ahmad ki sadaa ham ne azaa-daari ki"
Nabeel Ahmad NabeelNabeel Ahmad Nabeel
Quote
"sau uljhanon ke beach guzaaraa gayaa mujhe jab bhi tiri talab mein sanvaaraa gayaa mujhe kam ho sakaa na phir bhi miraa martaba agar pasti mein aasmaan se utaaraa gayaa mujhe suljhi na ek baar kahin zulf-e-zindagi garche hazaar baar sanvaaraa gayaa mujhe apne mafaad ke liye maidaan-e-jang mein jiitaa gayaa kabhi kabhi haaraa gayaa mujhe dhoyaa gayaa badan miraa ashkon ke aab se mere lahu ke saath nikhaaraa gayaa mujhe phir bhi ravaan-davaan huun main mauj-e-hayaat mein sau baar garche dahr mein maaraa gayaa mujhe rakh kar chalungaa jaan hatheli pe main 'nabil' maqtal se jis ghaDi bhi pukaaraa gayaa mujhe"
Nabeel Ahmad NabeelNabeel Ahmad Nabeel
Quote
"duur kuchh ahl-e-junun ki be-qaraari kijiye ho sake to un ki thoDi gham-gusaari kijiye jin ke bistar se nahin jaati koi silvaT kabhi un ki aankhon mein vafaa ke khvaab jaari kijiye 'ishq ki qismat yahi hai 'ishq kaa mansab yahi jaagiye shab-bhar yunhi akhtar-shumaari kijiye nochiye zakhm-e-jigar ko aankh bhar kar roiye aur kab tak hijr mein yuun aah-o-zaari kijiye bhejiye koi bulaavaa koi chiTThi bhejiye apne un pardesiyon se shahr-daari kijiye log hain tayyaar hijrat ke liye is shahr se phir koi taaza nayaa farmaan jaari kijiye phir koi taaza bapaa hone ko hai ik maa'rka nahr-e-furaat-e-karbalaa ko phir se jaari kijiye kaam aaegaa na koi mushkilon mein dekhnaa jis qadar bhi doston se vaz'-daari kijiye tishna-e-takmil Thahre baat na koi 'nabil' guftugu jitni bhi hai dil mein vo saari kijiye aaegaa kab saans varna dusraa tujh ko 'nabil' dil ke zakhmon ki na aise parda-daari kijiye"
Nabeel Ahmad NabeelNabeel Ahmad Nabeel

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud