SHAWORDS

tire chaand jaise rukh par ye nishaan-e-dard kyuun hain — Aleem Usmani

HomeAleem UsmaniGhazal
"tire chaand jaise rukh par ye nishaan-e-dard kyuun hain tire surkh aarizon ke ye gulaab zard kyuun hain tujhe kyaa huaa hai aakhir mujhe kam se kam bataa to tiri saans tez kyuun hai tire haath sard kyuun hain tujhe naa-pasand jo the vahi be-viqaar rahte jo aziiz the tujhe vo tire dar ki gard kyuun hain vo kitaab laao jis mein hai bayaan shaan-e-qaumi mire daur ki ye qaumein ba-giraft-e-fard kyuun hain mujhe shak guzar rahaa hai tiri chaara-saaziyon par ai masih-e-vaqt batlaa ye dilon mein dard kyuun hain jinhein yaad the fasaane bahut apne baazuon ke ai 'alim' muzmahil se vo dam-e-nabard kyuun hain"
Urdu

ترے چاند جیسے رخ پر یہ نشان درد کیوں ہیں ترے سرخ عارضوں کے یہ گلاب زرد کیوں ہیں تجھے کیا ہوا ہے آخر مجھے کم سے کم بتا تو تری سانس تیز کیوں ہے ترے ہاتھ سرد کیوں ہیں تجھے ناپسند جو تھے وہی بے وقار رہتے جو عزیز تھے تجھے وہ ترے در کی گرد کیوں ہیں وہ کتاب لاؤ جس میں ہے بیان شان قومی مرے دور کی یہ قومیں بہ گرفت فرد کیوں ہیں مجھے شک گزر رہا ہے تری چارہ سازیوں پر اے مسیح وقت بتلا یہ دلوں میں درد کیوں ہیں جنہیں یاد تھے فسانے بہت اپنے بازوؤں کے اے علیمؔ مضمحل سے وہ دم نبرد کیوں ہیں

Hindi

तिरे चाँद जैसे रुख़ पर ये निशान-ए-दर्द क्यूँ हैं तिरे सुर्ख़ आरिज़ों के ये गुलाब ज़र्द क्यूँ हैं तुझे क्या हुआ है आख़िर मुझे कम से कम बता तो तिरी साँस तेज़ क्यूँ है तिरे हाथ सर्द क्यूँ हैं तुझे ना-पसंद जो थे वही बे-विक़ार रहते जो अज़ीज़ थे तुझे वो तिरे दर की गर्द क्यूँ हैं वो किताब लाओ जिस में है बयान शान-ए-क़ौमी मिरे दौर की ये क़ौमें ब-गिरफ़्त-ए-फ़र्द क्यूँ हैं मुझे शक गुज़र रहा है तिरी चारा-साज़ियों पर ऐ मसीह-ए-वक़्त बतला ये दिलों में दर्द क्यूँ हैं जिन्हें याद थे फ़साने बहुत अपने बाज़ुओं के ऐ 'अलीम' मुज़्महिल से वो दम-ए-नबर्द क्यूँ हैं

tire chāñd jaise ruḳh par ye nishān-e-dard kyuuñ haiñ
Aleem Usmani
Aleem Usmani
Aleem Usmani
poet15 quotes

More by Aleem Usmani

View all →
Quote
"deti hain thapkiyaan tiri parchhaaiyaan mujhe rashk-e-bahisht hain miri tanhaaiyaan mujhe mere nasib mein sahi aah-o-fughaan magar ab to sunaai deti hain shahnaaiyaan mujhe kitne uruuj par hai mire ishq kaa vaqaar haasil hain ku-e-yaar ki rusvaaiyaan mujhe maail hai chashm-e-mast idhar lag rahaa hai ab aavaaz deingi jhiil ki gahraaiyaan mujhe qaaem hai mere dard kaa ab tak vahi bharam ab bhi salaam karti hain purvaaiyaan mujhe is daur-e-sarkashi ki kashaakash ke darmiyaan lagti hai pur-sukun jabin-saaiyaan mujhe jo the kharaab vo to bulandi pe hain 'alim' pasti mein le gaiin miri achchhaaiyaan mujhe"
Aleem UsmaniAleem Usmani
Quote
"charaagh shaam se aakhir jalaaein kis ke liye koi na aaegaa aankhein bichhaaein kis ke liye khinchaa khinchaa nazar aataa hai ham se har aanchal sitaare toD ke laaein to laaein kis ke liye nahin hai koi hamein zindagi kaa shauq magar ham apni jaan se jaaein to jaaein kis ke liye sitam uThaane kaa maqsad bhi koi hotaa hai ham aasmaan se shartein lagaaein kis ke liye khilaaf ham nahin akhtar-shumaariyon ke magar savaal ye hai ki nindein ganvaaein kis ke liye vafaa ik aag hai bachchon kaa koi khel nahin ham apnaa muft mein daaman jalaaein kis ke liye sharaab ham pe hamesha se hai haraam 'alim' pata nahin ye uThi hain ghaTaaein kis ke liye"
Aleem UsmaniAleem Usmani
Quote
"baada-khaane ki rivaayat ko nibhaanaa chaahiye jaam agar khaali bhi ho gardish mein aanaa chaahiye aaj aanaa hai unhein lekin na aanaa chaahiye vaa'da-e-fardaa usulan bhuul jaanaa chaahiye tark karnaa chaahiye hargiz na rasm-e-intizaar muntazir ko umr bhar sham'ein jalaanaa chaahiye jazb kar lete hain achchhi suraton ko aaine aainon se kyaa tumhein aankhein milaanaa chaahiye mere us ke biich jo haalaat ki divaar hai mujh ko us divaar mein ik dar banaanaa chaahiye phir karam-aagin tabassum mein hai poshida sitam hosh-mandon ko paheli buujh jaanaa chaahiye gardish-e-haalaat se maayus honaa kufr hai umr bhar insaan ko qismat aazmaanaa chaahiye meri ghazlein hongi kal naa-mahramon ke darmiyaan us ki khushbu meri ghazlon mein na aanaa chaahiye ham to qaail hi nahin mahdud-e-ulfat ke 'alim' ham ko ulfat ke liye saaraa zamaana chaahiye"
Aleem UsmaniAleem Usmani
Quote
"vaqt-e-aakhir jo baalin par aajaaiyo yaad rakhiyo bahut nekiyaan paaiyo mere laaeq jo ho mujh ko batlaaiyo jaan haazir hai kuchh aur farmaaiyo ek Dar mujh ko arz-e-tamannaa mein hai tum pasine pasine na ho jaaiyo ham duaa amn ki maangte hain magar aap bhi apni paael ko samjhaaiyo ham ko bhi kuchh lakiron ki pahchaan hai aap apni hatheli idhar laaiyo haal-e-dil ham sunaate hain hanste ho tum ham nahin bolte tum se ab jaaiyo miir ke rang mein likh ke ghazlein 'alim' dhire dhire na tum miir ban jaaiyo"
Aleem UsmaniAleem Usmani
Quote
"jis din se uTh ke ham tiri mahfil se aae hain lagtaa hai laakhon kos ki manzil se aae hain mil kar gale ham apne hi qaatil se aae hain kyaa saaf bach ke maut ki manzil se aae hain raahein hain aashiqi ki nihaayat hi pur-khatar tere huzur ham baDi mushkil se aae hain zulfon ke pech-o-kham mein paDein ham to kyaa paDein ham tang khud hi apne masaail se aae hain bazm-e-butaan mein shaikh sukun ke khayaal se daaman chhuDaa ke zikr-o-navaafil se aae hain ye haq parastiyaan miri marhun-e-kufr hain ye din to faiz-e-sohbat-e-baatil se aae hain kuchh vahshiyon pe rang bahaaron se the 'alim' kuchh ehtimaam tauq-o-salaasil se aae hain"
Aleem UsmaniAleem Usmani
Quote
"vo arz-e-gham pe mashvara-e-ikhtisaar de kuuze mein kaise koi samundar utaar de duniyaa ho aakhirat ho vo sab ko sanvaar de taufiq-e-ishq jis ko bhi parvardigaar de phir daavat-e-karam nigah-e-shoala-baar de allaah mustaqil mujhe sabr-o-qaraar de jis phuul kaa bhi dekhiye daaman hai taar taar kitnaa baDaa sabaq hamein fasl bahaar de dard-e-jigar shikasta-dili be-qaraariyaan kyaa kyaa na lutf mujh ko tiraa intizaar de vaaiz use bataao na jannat ke tum maze khuld-e-barin kaa lutf jise ku-e-yaar de kangan udhar kalaai mein ghumaa to yuun lagaa aavaaz mujh ko gardish-e-lail-o-nahaar de chehre pe vo sajaae hai maasumiyat kaa nuur ab kaun us ko zahmat-e-bos-o-kanaar de main huun shahid-e-raah-e-mohabbat magar 'alim' meraa ghalat pata miri lauh-e-mazaar de"
Aleem UsmaniAleem Usmani

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi