SHAWORDS

umr kaT jaaegi aazmaate hue — Khan Rizwan

HomeKhan RizwanGhazal
"umr kaT jaaegi aazmaate hue kis ko maalum thaa dil lagaate hue zindagi zindagi ab rahi hi kahaan ziist kahti hai ye muskuraate hue ab to ye bhi nahin yaad mujh ko rahaa us ko dekhaa thaa kab muskuraate hue ye siyah raat bhi kaT gai shukr hai apne maulaa ko ro kar manaate hue kaun guzraa hai ye aandhiyon ki tarah shama-e-raah-e-vafaa ko bujhaate hue"
Urdu

عمر کٹ جائے گی آزماتے ہوئے کس کو معلوم تھا دل لگاتے ہوئے زندگی زندگی اب رہی ہی کہاں زیست کہتی ہے یہ مسکراتے ہوئے اب تو یہ بھی نہیں یاد مجھ کو رہا اس کو دیکھا تھا کب مسکراتے ہوئے یہ سیہ رات بھی کٹ گئی شکر ہے اپنے مولا کو رو کر مناتے ہوئے کون گزرا ہے یہ آندھیوں کی طرح شمع راہ وفا کو بجھاتے ہوئے

Hindi

उम्र कट जाएगी आज़माते हुए किस को मालूम था दिल लगाते हुए ज़िंदगी ज़िंदगी अब रही ही कहाँ ज़ीस्त कहती है ये मुस्कुराते हुए अब तो ये भी नहीं याद मुझ को रहा उस को देखा था कब मुस्कुराते हुए ये सियह रात भी कट गई शुक्र है अपने मौला को रो कर मनाते हुए कौन गुज़रा है ये आँधियों की तरह शम्अ-ए-राह-ए-वफ़ा को बुझाते हुए

umr kaT jā.egī āzmāte hue
Khan Rizwan
Khan Rizwan
Khan Rizwan
poet30 quotes

More by Khan Rizwan

View all →
Quote
"zamin se aasmaan tak koi istiaara nahin kisi ke ham nahin hain aur koi hamaaraa nahin bhanvar-badan se kuchh is tarah ham ulajh baiThe nikal ke jaaein kidhar koi bhi kinaaraa nahin usi ko khvaab-e-havas mein hain dekhti aankhein hamaare paas koi aur maah-paara nahin vo chaahtaa hai ki ham dastaras mein us ki rahein kisi kaa ho ke rahein ye use gavaaraa nahin vajud-e-jaan ke sivaa milkiyat nahin kuchh bhi isi sabab se miraa koi goshvaaraa nahin chalo ki karte hain takhliq ik nai duniyaa koi nasib kaa apne yahaan sitaara nahin"
Khan RizwanKhan Rizwan

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar