Quote
"aaine kaa munh bhi hairat se khulaa rah jaaegaa jo bhi dekhegaa tujhe vo dekhtaa rah jaaegaa ham ne sab kuchh taj diyaa teri rifaaqat ke liye tujh se bichhDe to hamaare paas kyaa rah jaaegaa mil sakeinge kis tarah khvaabon mein ham jab hijr se niind ho jaaegi rukhsat ratjagaa rah jaaegaa ham agar teri razaa haasil nahin kar paaeinge 'umr bhar ham se hamaaraa dil khafaa rah jaaegaa jaane vaalon ki kami puuri kabhi hoti nahin aane vaale aaeinge phir bhi khalaa rah jaaegaa murtaish aavaaz ki lahrein raheingi der tak saaz chup ho jaaeinge sail-e-sadaa rah jaaegaa 'hir' ko 'gulzaar' le jaaeinge kheDe ek din baansuri par tu dhunein hi chheDtaa rah jaaegaa"
