"bech kar aankhein kamaai raushni ye hamein kis samt laai raushni apnaa suraj khud banaa leinge magar ham nahin leinge paraai raushni ki nigahbaani diye ki raat din khun-e-dil sinchaa banaai raushni un ke aane ki khabar jab bhi mili ham ne raste mein bichaai raushni unghti dam toDti ik raat mein teri aankhon ne dikhaai raushni nilgun ko surkh ham ne kar diyaa kal ufuq par yuun ghumaai raushni 'ishq ne yuun khaal-o-khad chamkaa diye jaise rag-rag mein samaai raushni apne man ko hi TaTolaa raat din apne andar hi jagaai raushni ek taaraa bhar liyaa thaa maang mein aur daaman mein chhupaai raushni toD kar sapnon ki saari bastiyaan kis ne malbe se uThaai raushni 'ilm ke badle jahaalat mol li haae tum ne bech khaai raushni jab hui nazr-e-karam us chaand ki raushni mein phir nahaai raushni sach sunaa hai shaa'iri ilhaam hai she'r ne dil mein jagaai raushni ham ne 'ambar' aane vaalon ke liye kitni mushkil se bachaai raushni"
vahshat-e-jaan kaa silsila bolaa — Farhana Ambar
"vahshat-e-jaan kaa silsila bolaa chup rahi main to aaina bolaa log pal bhar mein bhuul jaate hain ek manzil se raasta bolaa hashr ke din miri shafaa'at ko un ki nisbat kaa vaasta bolaa lafz jab be-zabaan hone lage dil se phir dil kaa raabta bolaa main ne urdu mein baat ki jab bhi sab zabaanon kaa zaaiqa bolaa manzilein paas aa gaiin chal kar jab musaafir kaa hausla bolaa ham ko gumraah kar gayaa rahbar biich raste mein qaafila bolaa dil se jaati nahin hai yaad tiri sainkaDon baar takhliya bolaa vo kisi roz chhoD jaaegaa baar-haa dil se vasvasa bolaa sab radifon ko maat di 'ambar' aisaa bharpur qaafiya bolaa"
وحشت جاں کا سلسلہ بولا چپ رہی میں تو آئنہ بولا لوگ پل بھر میں بھول جاتے ہیں ایک منزل سے راستہ بولا حشر کے دن مری شفاعت کو ان کی نسبت کا واسطہ بولا لفظ جب بے زبان ہونے لگے دل سے پھر دل کا رابطہ بولا میں نے اردو میں بات کی جب بھی سب زبانوں کا ذائقہ بولا منزلیں پاس آ گئیں چل کر جب مسافر کا حوصلہ بولا ہم کو گمراہ کر گیا رہبر بیچ رستے میں قافلہ بولا دل سے جاتی نہیں ہے یاد تری سینکڑوں بار تخلیہ بولا وہ کسی روز چھوڑ جائے گا بارہا دل سے وسوسہ بولا سب ردیفوں کو مات دی امبرؔ ایسا بھرپور قافیہ بولا
वहशत-ए-जाँ का सिलसिला बोला चुप रही मैं तो आइना बोला लोग पल भर में भूल जाते हैं एक मंज़िल से रास्ता बोला हश्र के दिन मिरी शफ़ा'अत को उन की निस्बत का वास्ता बोला लफ़्ज़ जब बे-ज़बान होने लगे दिल से फिर दिल का राब्ता बोला मैं ने उर्दू में बात की जब भी सब ज़बानों का ज़ाइक़ा बोला मंज़िलें पास आ गईं चल कर जब मुसाफ़िर का हौसला बोला हम को गुमराह कर गया रहबर बीच रस्ते में क़ाफ़िला बोला दिल से जाती नहीं है याद तिरी सैंकड़ों बार तख़लिया बोला वो किसी रोज़ छोड़ जाएगा बार-हा दिल से वसवसा बोला सब रदीफ़ों को मात दी 'अम्बर' ऐसा भरपूर क़ाफ़िया बोला

More by Farhana Ambar
View all →"'ishq teraa hai ru-baru ba-khudaa ho gai main to surkh-ru ba-khudaa us ko paayaa to chain aayaa hai jis ki rahti thi justuju ba-khudaa 'ishq ne zindagi banaa Daali 'ishq mere hai chaar-su ba-khudaa raaj karte hain masnad-e-dil par ik mohabbat aur ek tu ba-khudaa us jagah par sukun miltaa hai ho jahaan teri guftugu ba-khudaa bai’at-e-ishq ho gai jab se dil ye rahtaa hai baa-vazu ba-khudaa tere ash'aar hon amar 'ambar' hai yahi dil ki aarzu ba-khudaa"
"‘ain se 'ishq miim madhoshi chhaai rahti hai niim madhoshi tere chhune se hosh kho baiThi ab hai mujh mein muqim madhoshi ye khumaari kisi nazar ki hai kaise Taale hakim madhoshi mujh mein aisaa nayaa to kuchh bhi nahin dukh puraane qadim madhoshi tere kuche se ho ke aai hai laai baad-e-nasim madhoshi meri tanhaai hai miri ham-raaz aur meri nadim madhoshi apni ulfat ki bakhsh 'ambar' ko mere maulaa karim madhoshi"
"jo bhi kahnaa hai sab kahungi main ab na boli to kab kahungi main haalat-e-zaar apni kahni hai paas baiThoge tab kahungi main chaand ban kar falak pe chamkegaa she'r jo nisf shab kahungi main khauf-e-duniyaa nikaal kar dil se jo na kah paai ab kahungi mein tere dil tak zarur pahunchegi baat she'ron mein jab kahungi main main rivaayaat ki amiin Thahri jo lagegaa 'ajab kahungi main itni kam-zarf to nahin 'ambar' khud hi apni talab kahungi main"
"tere darbaar mein paDe hue hain lafz be-kaar mein paDe hue hain muflisi khaa gai makinon ko ranj ghar-baar mein paDe hue hain un ko duniyaa-jahaan se kyaa matlab jo tire pyaar mein paDe hue hain hai mohabbat ko 'umr thoDi aur log takraar mein paDe hue hain jin ko dekhaa thaa qasr-e-shaahi mein aaj baazaar mein paDe hue hain ham ne aankhon se kah diyaa sab kuchh aap izhaar mein paDe hue hain rif'aton ke jo raaz hain saare takhta-e-daar mein paDe hue hain baadshaahi hai meri Thokar par taaj inkaar mein paDe hue hain log khushiyaan manaaein apnon mein ham ki aazaar mein paDe hue hain ham ne me'yaar she'r ko bakhshaa log miqdaar mein paDe hue hain saat sur saaz naghmagi 'ambar' teri guftaar mein paDe hue hain"
"tujh ko dekhe to haan nikaltaa hai din bhi varna kahaan nikaltaa hai pyaas jab eDiyaan ragaDti hai ek chashma vahaan nikaltaa hai shaam Dhalte hi dil se yaadon kaa halkaa halkaa dhuaan nikaltaa hai aazmaane ke baa'd duniyaa mein har ta'alluq gumaan nikaltaa hai thaamti huun agar zamin ko main haath se aasmaan nikaltaa hai jaane kyon ek sar-phiraa kirdaar chhoD kar daastaan nikaltaa hai dekh kar un ko bazm mein 'ambar' haath se dil yahaan nikaltaa hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"