SHAWORDS

bech kar aankhein kamaai raushni — Farhana Ambar

HomeFarhana AmbarGhazal
"bech kar aankhein kamaai raushni ye hamein kis samt laai raushni apnaa suraj khud banaa leinge magar ham nahin leinge paraai raushni ki nigahbaani diye ki raat din khun-e-dil sinchaa banaai raushni un ke aane ki khabar jab bhi mili ham ne raste mein bichaai raushni unghti dam toDti ik raat mein teri aankhon ne dikhaai raushni nilgun ko surkh ham ne kar diyaa kal ufuq par yuun ghumaai raushni 'ishq ne yuun khaal-o-khad chamkaa diye jaise rag-rag mein samaai raushni apne man ko hi TaTolaa raat din apne andar hi jagaai raushni ek taaraa bhar liyaa thaa maang mein aur daaman mein chhupaai raushni toD kar sapnon ki saari bastiyaan kis ne malbe se uThaai raushni 'ilm ke badle jahaalat mol li haae tum ne bech khaai raushni jab hui nazr-e-karam us chaand ki raushni mein phir nahaai raushni sach sunaa hai shaa'iri ilhaam hai she'r ne dil mein jagaai raushni ham ne 'ambar' aane vaalon ke liye kitni mushkil se bachaai raushni"
Urdu

بیچ کر آنکھیں کمائی روشنی یہ ہمیں کس سمت لائی روشنی اپنا سورج خود بنا لیں گے مگر ہم نہیں لیں گے پرائی روشنی کی نگہبانی دیے کی رات دن خون دل سینچا بنائی روشنی ان کے آنے کی خبر جب بھی ملی ہم نے رستے میں بچھائی روشنی اونگھتی دم توڑتی اک رات میں تیری آنکھوں نے دکھائی روشنی نیلگوں کو سرخ ہم نے کر دیا کل افق پر یوں گھمائی روشنی عشق نے یوں خال و خد چمکا دئے جیسے رگ رگ میں سمائی روشنی اپنے من کو ہی ٹٹولا رات دن اپنے اندر ہی جگائی روشنی ایک تارا بھر لیا تھا مانگ میں اور دامن میں چھپائی روشنی توڑ کر سپنوں کی ساری بستیاں کس نے ملبے سے اٹھائی روشنی علم کے بدلے جہالت مول لی ہائے تم نے بیچ کھائی روشنی جب ہوئی نظر کرم اس چاند کی روشنی میں پھر نہائی روشنی سچ سنا ہے شاعری الہام ہے شعر نے دل میں جگائی روشنی ہم نے عنبرؔ آنے والوں کے لیے کتنی مشکل سے بچائی روشنی

Hindi

बेच कर आँखें कमाई रौशनी ये हमें किस सम्त लाई रौशनी अपना सूरज ख़ुद बना लेंगे मगर हम नहीं लेंगे पराई रौशनी की निगहबानी दिये की रात दिन ख़ून-ए-दिल सींचा बनाई रौशनी उन के आने की ख़बर जब भी मिली हम ने रस्ते में बिछाई रौशनी ऊँघती दम तोड़ती इक रात में तेरी आँखों ने दिखाई रौशनी नीलगूँ को सुर्ख़ हम ने कर दिया कल उफ़ुक़ पर यूँ घुमाई रौशनी 'इश्क़ ने यूँ ख़ाल-ओ-ख़द चमका दिए जैसे रग-रग में समाई रौशनी अपने मन को ही टटोला रात दिन अपने अंदर ही जगाई रौशनी एक तारा भर लिया था माँग में और दामन में छुपाई रौशनी तोड़ कर सपनों की सारी बस्तियाँ किस ने मलबे से उठाई रौशनी 'इल्म के बदले जहालत मोल ली हाए तुम ने बेच खाई रौशनी जब हुई नज़र-ए-करम उस चाँद की रौशनी में फिर नहाई रौशनी सच सुना है शा'इरी इल्हाम है शे'र ने दिल में जगाई रौशनी हम ने 'अम्बर' आने वालों के लिए कितनी मुश्किल से बचाई रौशनी

bech kar āñkheñ kamā.ī raushnī
Farhana Ambar
Farhana Ambar
Farhana Ambar
poet18 quotes

More by Farhana Ambar

View all →
Quote
"tere darbaar mein paDe hue hain lafz be-kaar mein paDe hue hain muflisi khaa gai makinon ko ranj ghar-baar mein paDe hue hain un ko duniyaa-jahaan se kyaa matlab jo tire pyaar mein paDe hue hain hai mohabbat ko 'umr thoDi aur log takraar mein paDe hue hain jin ko dekhaa thaa qasr-e-shaahi mein aaj baazaar mein paDe hue hain ham ne aankhon se kah diyaa sab kuchh aap izhaar mein paDe hue hain rif'aton ke jo raaz hain saare takhta-e-daar mein paDe hue hain baadshaahi hai meri Thokar par taaj inkaar mein paDe hue hain log khushiyaan manaaein apnon mein ham ki aazaar mein paDe hue hain ham ne me'yaar she'r ko bakhshaa log miqdaar mein paDe hue hain saat sur saaz naghmagi 'ambar' teri guftaar mein paDe hue hain"
Farhana AmbarFarhana Ambar
Quote
"phir pasina jabin se niklaa saanp jab aastin se niklaa laDte laDte hi mar gae saare jab khazaana zamin se niklaa silsila apni khush-numaai kaa aap se ik hasin se niklaa mujh ko hairat nahin hui kuchh bhi dost jab haasidin se niklaa dhund phir chhaT gai manaazir se khauf jab naazirin se niklaa log shak kar rahe the ghairon par ghar kaa qissa makin se niklaa manzilein paas aa gaiin chal kar jab musaafir yaqin se niklaa lafz-e-shohrat kaa asl maa'ni to ek gosha-nashin se niklaa raaz donon ke thaa jo sinon mein aaj kaise vo tiin se niklaa"
Farhana AmbarFarhana Ambar

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri