"yaad aataa hai samaan mujh ko khud-aaraai kaa chaandni raat mein aalam tiri angDaai kaa aaina aaina-ruyon ko ye detaa hai sabaq kuchh samajh buujh ke daavaa karo yaktaai kaa aur bhi josh baDhaa ho gaiin maujein be-taab aks dariyaa mein paDaa jab tiri angDaai kaa mere dil mein miri aankhon mein hain teri shaklein zeb detaa nahin daavaa tujhe yaktaai kaa dil huaa zer-o-zabar aah bhi ham kar na sake rah gae dekh ke naqsha tiri angDaai kaa"
vaqt-e-akhir maut ke aasaar dekh kar — Bismil Allahabadi
"vaqt-e-akhir maut ke aasaar dekh kar ahbaab ro diye rukh-e-bimaar dekh kar dohraate hain vo sab se fasaana kalim kaa duniyaa ko apnaa taalib-e-didaar dekh kar ek musht-e-par ke haq mein use kitni laag thi sayyaad khush hai mujh ko giraftaar dekh kar duniyaa ke be-qusur qayaamat mein baar-baar pachhtaa rahe hain shaan-e-gunahgaar dekh kar ahbaab dil ko thaam ke baalin se uTh gae baiThaa gayaa na surat-e-bimaar dekh kar zindaan-e-zauq-o-shauq mein un kaa asir-e-‘ishq chup-chaap ho gayaa dar-o-divaar dekh kar 'bismil' bhi qatl-gaah mein dam bhar na ruk sake chalti hui kisi ki vo talvaar dekh kar"
وقت اخیر موت کے آثار دیکھ کر احباب رو دئے رخ بیمار دیکھ کر دہراتے ہیں وہ سب سے فسانہ کلیم کا دنیا کو اپنا طالب دیدار دیکھ کر ایک مشت پر کے حق میں اسے کتنی لاگ تھی صیاد خوش ہے مجھ کو گرفتار دیکھ کر دنیا کے بے قصور قیامت میں بار بار پچھتا رہے ہیں شان گنہ گار دیکھ کر احباب دل کو تھام کے بالیں سے اٹھ گئے بیٹھا گیا نہ صورت بیمار دیکھ کر زندان ذوق و شوق میں ان کا اسیر عشق چپ چاپ ہو گیا در و دیوار دیکھ کر بسملؔ بھی قتل گاہ میں دم بھر نہ رک سکے چلتی ہوئی کسی کی وہ تلوار دیکھ کر
वक़्त-ए-अख़ीर मौत के आसार देख कर अहबाब रो दिए रुख़-ए-बीमार देख कर दोहराते हैं वो सब से फ़साना कलीम का दुनिया को अपना तालिब-ए-दीदार देख कर एक मुश्त-ए-पर के हक़ में उसे कितनी लाग थी सय्याद ख़ुश है मुझ को गिरफ़्तार देख कर दुनिया के बे-क़ुसूर क़यामत में बार-बार पछता रहे हैं शान-ए-गुनहगार देख कर अहबाब दिल को थाम के बालीं से उठ गए बैठा गया न सूरत-ए-बीमार देख कर ज़िंदान-ए-ज़ौक़-ओ-शौक़ में उन का असीर-ए-‘इश्क़ चुप-चाप हो गया दर-ओ-दीवार देख कर 'बिस्मिल' भी क़त्ल-गाह में दम भर न रुक सके चलती हुई किसी की वो तलवार देख कर

More by Bismil Allahabadi
View all →"jo na karnaa thaa kiyaa jo kuchh na honaa thaa huaa chaar din ki zindagi mein kyaa kahein kyaa kyaa huaa ye samajh kar ham nahin kahte kisi se raaz-e-dil is taraf niklaa zabaan se us taraf charchaa huaa bhar ke ThanDi saans liin bimaar ne jab karvaTein vo kaleja thaam kar kahne lage ye kyaa huaa suniye suniye aatish-e-gham se hue ham jal ke khaak kahiye kahiye ab kaleja aap kaa ThanDaa huaa mere chehre se ayaan hai dekh lo pahchaan lo ye na puchho dil kaa aalam dil kaa naqsha kyaa huaa"
"saaz-e-hasti kaa ajab josh nazar aataa hai ik zamaana hama-tan-gosh nazar aataa hai hasrat-e-jalva-e-didaar ho puuri kyunkar vo tasavvur mein bhi ru-posh nazar aataa hai dekhte jaao zaraa shahr-e-khamoshaan kaa samaan ki zamaana yahaan khaamosh nazar aataa hai aap ke nashtar-e-mizhgaan ko chubho letaa huun khun-e-dil mein jo kabhi josh nazar aataa hai aap hi sirf jafaa-kosh nazar aate hain saaraa aalam to vafaa-kosh nazar aataa hai mausam-e-gul na rahaa dil na rahaa ji na rahaa phir bhi vahshat kaa vahi josh nazar aataa hai shaana-e-yaar pe bikhri to nahin zulf-e-daraaz har koi khaanumaan bar-dosh nazar aataa hai jalva-e-qudrat-e-baari kaa muamma na khulaa ru-ba-ru rah ke bhi ru-posh nazar aataa hai phir zaraa khanjar-e-qaatil ko khabar de koi khun-e-'bismil' mein vahi josh nazar aataa hai"
"tum ko ye hai agar yaqin dil mein vo jalva-gar nahin DhunDhaa karo tamaam umr milne kaa umr-bhar nahin aae na aae be-khabar kyaa tujhe ye khabar nahin saans kaa e'tibaar kyaa shaam hai to sahar nahin dair ho kaaba ho ki dil kis mein vo jalva-gar nahin dekh sakun magar use itni miri nazar nahin kunj-e-qafas mein andalib muztar-o-bekas-o-gharib kahne ko baal-o-par to hain uDne ko baal-o-par nahin dil mein balaa kaa josh hai sar liye sarfarosh hai jiine kaa hosh hai kahaan marne kaa us ko Dar nahin toD rahaa hai aaj dam gham mein koi mariz-e-gham phir bhi hain aap be-khabar aap ko kuchh khabar nahin jaan gae ye mar ke ham mulk-e-adam thaa do-qadam khatm ho jald jo safar aisaa koi safar nahin parde mein aap baiTh kar rakhte hain har taraf nazar aur zabaan par ye hai shokh miri nazar nahin lab pe hai naara-e-alast jhuum rahaa hai koi mast chhaai hai aisi be-khudi apni use khabar nahin uf ye miraa nasib-e-bad jaa ke bani kahaan lahad sab ki hai rahguzar jahaan aap ki rahguzar nahin baat ye tum ne sach kahi 'bismil' be-hunar sahi ye bhi hai ik baDaa hunar is mein koi hunar nahin"
"jo kahein vo kar dikhaaein is ke ham 'aamil nahin do zabaanein kyon nahin kis vaaste do dil nahin pher lungaa main chhuri gardan par apne haath se marne vaale ke liye marnaa koi mushkil nahin kashti-e-dil gharq ho jaae na ai girdaab-e-gham har taraf dariyaa hi dariyaa hai kahin saahil nahin dil se nikle lab tak aae lab se pahunche 'arsh tak dil hi dil mein jo rahe ghuT kar vo aah-e-dil nahin rokti hai is iraade se mujhe meri umiid main samajhtaa thaa ki mar jaanaa koi mushkil nahin har nafas kahtaa hai thak thak kar ye mujh se har nafas rahrav-e-gum-karda-manzil ki koi manzil nahin kyaa karun ai khanjar-e-gham kyaa karun ai tir-e-‘ishq hain to do pahlu magar donon mein ek ik dil nahin aas tum ne toD di apne mariz-e-‘ishq ki us ke munh par kyon kahaa jiine ke ye qaabil nahin log kahte hain ki vo qaatil baDaa be-dard hai us ko bhi bismil na main kar duun to phir 'bismil' nahin"
"mausam-e-gul mein yahi raae hai divaanon ki dhajjiyaan ab hon lagaataar garebaanon ki miT gai sham' ki tanvir vo sab raat ke saath khaak bhi ab nazar aati nahin parvaanon ki vahi vahshat vahi saudaa vahi andaaz-e-junun shakl badli nahin ab tak tire divaanon ki phuul ke badle chaDhaa jaate hain ahl-e-vahshat dhajjiyaan turbat-e-majnun pe garebaanon ki beDiyaan Daal ke zindaan mein na rakkhein ahbaab khaak uDaani hai abhi mujh ko bayaabaanon ki gul-e-sad-barg ko vo dekh ke farmaate hain khaas pahchaan hai ye chaak garebaanon ki main sanam-khaane ko masjid se chalaa jab 'bismil' ungliyaan uThne lagin mujh pe musalmaanon ki"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"