SHAWORDS

yaad aataa hai samaan mujh ko khud-aaraai kaa — Bismil Allahabadi

"yaad aataa hai samaan mujh ko khud-aaraai kaa chaandni raat mein aalam tiri angDaai kaa aaina aaina-ruyon ko ye detaa hai sabaq kuchh samajh buujh ke daavaa karo yaktaai kaa aur bhi josh baDhaa ho gaiin maujein be-taab aks dariyaa mein paDaa jab tiri angDaai kaa mere dil mein miri aankhon mein hain teri shaklein zeb detaa nahin daavaa tujhe yaktaai kaa dil huaa zer-o-zabar aah bhi ham kar na sake rah gae dekh ke naqsha tiri angDaai kaa"
Urdu

یاد آتا ہے سماں مجھ کو خود آرائی کا چاندنی رات میں عالم تری انگڑائی کا آئنہ آئنہ رویوں کو یہ دیتا ہے سبق کچھ سمجھ بوجھ کے دعویٰ کرو یکتائی کا اور بھی جوش بڑھا ہو گئیں موجیں بے تاب عکس دریا میں پڑا جب تری انگڑائی کا میرے دل میں مری آنکھوں میں ہیں تیری شکلیں زیب دیتا نہیں دعویٰ تجھے یکتائی کا دل ہوا زیر و زبر آہ بھی ہم کر نہ سکے رہ گئے دیکھ کے نقشہ تری انگڑائی کا

Hindi

याद आता है समाँ मुझ को ख़ुद-आराई का चाँदनी रात में आलम तिरी अंगड़ाई का आइना आइना-रूयों को ये देता है सबक़ कुछ समझ बूझ के दावा करो यकताई का और भी जोश बढ़ा हो गईं मौजें बे-ताब अक्स दरिया में पड़ा जब तिरी अंगड़ाई का मेरे दिल में मिरी आँखों में हैं तेरी शक्लें ज़ेब देता नहीं दावा तुझे यकताई का दिल हुआ ज़ेर-ओ-ज़बर आह भी हम कर न सके रह गए देख के नक़्शा तिरी अंगड़ाई का

yaad aatā hai samāñ mujh ko ḳhud-ārā.ī kā
Bismil Allahabadi
Bismil Allahabadi
Bismil Allahabadi
poet26 quotes

More by Bismil Allahabadi

View all →
Quote
"jo na karnaa thaa kiyaa jo kuchh na honaa thaa huaa chaar din ki zindagi mein kyaa kahein kyaa kyaa huaa ye samajh kar ham nahin kahte kisi se raaz-e-dil is taraf niklaa zabaan se us taraf charchaa huaa bhar ke ThanDi saans liin bimaar ne jab karvaTein vo kaleja thaam kar kahne lage ye kyaa huaa suniye suniye aatish-e-gham se hue ham jal ke khaak kahiye kahiye ab kaleja aap kaa ThanDaa huaa mere chehre se ayaan hai dekh lo pahchaan lo ye na puchho dil kaa aalam dil kaa naqsha kyaa huaa"
Bismil AllahabadiBismil Allahabadi
Quote
"saaz-e-hasti kaa ajab josh nazar aataa hai ik zamaana hama-tan-gosh nazar aataa hai hasrat-e-jalva-e-didaar ho puuri kyunkar vo tasavvur mein bhi ru-posh nazar aataa hai dekhte jaao zaraa shahr-e-khamoshaan kaa samaan ki zamaana yahaan khaamosh nazar aataa hai aap ke nashtar-e-mizhgaan ko chubho letaa huun khun-e-dil mein jo kabhi josh nazar aataa hai aap hi sirf jafaa-kosh nazar aate hain saaraa aalam to vafaa-kosh nazar aataa hai mausam-e-gul na rahaa dil na rahaa ji na rahaa phir bhi vahshat kaa vahi josh nazar aataa hai shaana-e-yaar pe bikhri to nahin zulf-e-daraaz har koi khaanumaan bar-dosh nazar aataa hai jalva-e-qudrat-e-baari kaa muamma na khulaa ru-ba-ru rah ke bhi ru-posh nazar aataa hai phir zaraa khanjar-e-qaatil ko khabar de koi khun-e-'bismil' mein vahi josh nazar aataa hai"
Bismil AllahabadiBismil Allahabadi
Quote
"tum ko ye hai agar yaqin dil mein vo jalva-gar nahin DhunDhaa karo tamaam umr milne kaa umr-bhar nahin aae na aae be-khabar kyaa tujhe ye khabar nahin saans kaa e'tibaar kyaa shaam hai to sahar nahin dair ho kaaba ho ki dil kis mein vo jalva-gar nahin dekh sakun magar use itni miri nazar nahin kunj-e-qafas mein andalib muztar-o-bekas-o-gharib kahne ko baal-o-par to hain uDne ko baal-o-par nahin dil mein balaa kaa josh hai sar liye sarfarosh hai jiine kaa hosh hai kahaan marne kaa us ko Dar nahin toD rahaa hai aaj dam gham mein koi mariz-e-gham phir bhi hain aap be-khabar aap ko kuchh khabar nahin jaan gae ye mar ke ham mulk-e-adam thaa do-qadam khatm ho jald jo safar aisaa koi safar nahin parde mein aap baiTh kar rakhte hain har taraf nazar aur zabaan par ye hai shokh miri nazar nahin lab pe hai naara-e-alast jhuum rahaa hai koi mast chhaai hai aisi be-khudi apni use khabar nahin uf ye miraa nasib-e-bad jaa ke bani kahaan lahad sab ki hai rahguzar jahaan aap ki rahguzar nahin baat ye tum ne sach kahi 'bismil' be-hunar sahi ye bhi hai ik baDaa hunar is mein koi hunar nahin"
Bismil AllahabadiBismil Allahabadi
Quote
"jo kahein vo kar dikhaaein is ke ham 'aamil nahin do zabaanein kyon nahin kis vaaste do dil nahin pher lungaa main chhuri gardan par apne haath se marne vaale ke liye marnaa koi mushkil nahin kashti-e-dil gharq ho jaae na ai girdaab-e-gham har taraf dariyaa hi dariyaa hai kahin saahil nahin dil se nikle lab tak aae lab se pahunche 'arsh tak dil hi dil mein jo rahe ghuT kar vo aah-e-dil nahin rokti hai is iraade se mujhe meri umiid main samajhtaa thaa ki mar jaanaa koi mushkil nahin har nafas kahtaa hai thak thak kar ye mujh se har nafas rahrav-e-gum-karda-manzil ki koi manzil nahin kyaa karun ai khanjar-e-gham kyaa karun ai tir-e-‘ishq hain to do pahlu magar donon mein ek ik dil nahin aas tum ne toD di apne mariz-e-‘ishq ki us ke munh par kyon kahaa jiine ke ye qaabil nahin log kahte hain ki vo qaatil baDaa be-dard hai us ko bhi bismil na main kar duun to phir 'bismil' nahin"
Bismil AllahabadiBismil Allahabadi
Quote
"ye kaisi aag abhi ai sham' tere dil mein baaqi hai koi parvaana jal marne ko kyaa mahfil mein baaqi hai hazaaron uTh gae duniyaa se apni jaan de de kar magar ik bhiiD phir bhi kucha-e-qaatil mein baaqi hai hue vo mutmain kyuun sirf mere dam nikalne par abhi to ek duniyaa-e-tamannaa dil mein baaqi hai huaa thaa gharq bahr-e-ishq is andaaz se koi ki naqsha Dubne kaa dida-e-saahil mein baaqi hai qazaa se koi ye kah de ki mushtaaq-e-shahaadat huun abhi ik marne vaalaa kucha-e-qaatil mein baaqi hai kahaan fursat hujum-e-ranj-o-gham se ham jo ye jaanchein ki nikli kyaa tamannaa kyaa tamannaa dil mein baaqi hai abhi se apnaa dil thaame hue kyuun log baiThe hain abhi to hashr uThne ko tiri mahfil mein baaqi hai vahaan the jam' jitne marne vaale mar gae vo sab qazaa le-de ke bas ab kucha-e-qaatil mein baaqi hai abhi se tu ne qaatil myaan mein talvaar kyuun rakh li abhi to jaan thoDi si tan-e-'bismil' mein baaqi hai"
Bismil AllahabadiBismil Allahabadi
Quote
"mausam-e-gul mein yahi raae hai divaanon ki dhajjiyaan ab hon lagaataar garebaanon ki miT gai sham' ki tanvir vo sab raat ke saath khaak bhi ab nazar aati nahin parvaanon ki vahi vahshat vahi saudaa vahi andaaz-e-junun shakl badli nahin ab tak tire divaanon ki phuul ke badle chaDhaa jaate hain ahl-e-vahshat dhajjiyaan turbat-e-majnun pe garebaanon ki beDiyaan Daal ke zindaan mein na rakkhein ahbaab khaak uDaani hai abhi mujh ko bayaabaanon ki gul-e-sad-barg ko vo dekh ke farmaate hain khaas pahchaan hai ye chaak garebaanon ki main sanam-khaane ko masjid se chalaa jab 'bismil' ungliyaan uThne lagin mujh pe musalmaanon ki"
Bismil AllahabadiBismil Allahabadi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer