SHAWORDS

vaqt se pahle darakhton pe samar aane lage — Alam Khursheed

HomeAlam KhursheedGhazal
"vaqt se pahle darakhton pe samar aane lage raat aai bhi nahin khvaab-e-sahar aane lage main ne pahlaa hi qadam rakkhaa hai dariyaa mein abhi khair-maqdam ke liye kitne bhanvar aane lage kyaa khataa ho gai sarzad main isi soch mein huun sang ke badle miri samt guhar aane lage is liye zill-e-ilaahi se khafaa hain raatein un ke aivaan mein kyuun khaak-basar aane lage aap kuchh aur hain aashiq ise kahte hain miyaan jis ko har chiiz mein mahbub nazar aane lage khair maangein kisi dushman ke liye ab 'aalam' ain mumkin hai duaaon mein asar aane lage"
Urdu

وقت سے پہلے درختوں پہ ثمر آنے لگے رات آئی بھی نہیں خواب سحر آنے لگے میں نے پہلا ہی قدم رکھا ہے دریا میں ابھی خیر مقدم کے لئے کتنے بھنور آنے لگے کیا خطا ہو گئی سرزد میں اسی سوچ میں ہوں سنگ کے بدلے مری سمت گہر آنے لگے اس لئے ظل الٰہی سے خفا ہیں راتیں ان کے ایوان میں کیوں خاک بسر آنے لگے آپ کچھ اور ہیں عاشق اسے کہتے ہیں میاں جس کو ہر چیز میں محبوب نظر آنے لگے خیر مانگیں کسی دشمن کے لئے اب عالمؔ عین ممکن ہے دعاؤں میں اثر آنے لگے

Hindi

वक़्त से पहले दरख़्तों पे समर आने लगे रात आई भी नहीं ख़्वाब-ए-सहर आने लगे मैं ने पहला ही क़दम रक्खा है दरिया में अभी ख़ैर-मक़्दम के लिए कितने भँवर आने लगे क्या ख़ता हो गई सरज़द मैं इसी सोच में हूँ संग के बदले मिरी सम्त गुहर आने लगे इस लिए ज़िल्ल-ए-इलाही से ख़फ़ा हैं रातें उन के ऐवान में क्यूँ ख़ाक-बसर आने लगे आप कुछ और हैं आशिक़ इसे कहते हैं मियाँ जिस को हर चीज़ में महबूब नज़र आने लगे ख़ैर माँगें किसी दुश्मन के लिए अब 'आलम' ऐन मुमकिन है दुआओं में असर आने लगे

vaqt se pahle daraḳhtoñ pe samar aane lage
Alam Khursheed
Alam Khursheed
Alam Khursheed
poet75 quotes

More by Alam Khursheed

View all →
Quote
"kuchh chamaktaa saa tah-e-aab nazar to aae Dubne ke liye girdaab nazar to aae koi taabir ki surat bhi nikal aaegi niind to aae kabhi khvaab nazar to aae band kamre ki fazaa kis ko bhali lagti hai mere atraaf mein mahtaab nazar to aae do ghaDi Thahrun kahin main bhi zaraa dam le luun raah mein khitta-e-shaadaab nazar to aae main shikasta huun idhar tu bhi shikasta hai udhar jang mein koi zafar-yaab nazar to aae mushkilein gher ke baiThi hain miraa ghar 'aalam' ab zaraa halqa-e-ahbaab nazar to aae"
Alam KhursheedAlam Khursheed
Quote
"hiraasaan huun siyaahi mein kami hoti nahin hai charaaghaan kar rahaa huun raushni hoti nahin hai bahut chaahaa ki aankhein band kar ke main bhi ji luun magar mujh se basar yuun zindagi hoti nahin hai lahu kaa ek ik qatra pilaataa jaa rahaa huun agarche khaak mein paidaa nami hoti nahin hai darichon ko khulaa rakhtaa huun main har-vaqt lekin havaa mein pahle jaisi taazgi hoti nahin hai main rishvat ke masaail par namaazein paDh na paayaa badi ke saath mujh se bandagi hoti nahin hai main apne ahd ki tasvir har-pal khinchtaa huun ghalat hai sochnaa ye shaairi hoti nahin hai buraa hai dushmani se aashnaa honaa bhi 'aalam' kisi se ab hamaari dosti hoti nahin hai"
Alam KhursheedAlam Khursheed
Quote
"taariki mein zinda rahnaa ham ko nahin manzur jugnu saa taabinda rahnaa ham ko nahin manzur ik pal ko hi chamkein lekin bijli si lahraaein raakh tale paainda rahnaa ham ko nahin manzur naghma chheDein saaz bajaaein apne dil kaa ham mausam kaa saa zinda rahnaa ham ko nahin manzur ham aazaad parinde saari duniyaa apni hai khitte kaa baashinda rahnaa ham ko nahin manzur dast-o-garebaan haal se hain ham fardaa raushan ho maazi mein rakhshanda rahnaa ham ko nahin manzur dil ke vasile se hi ham ne sab kuchh paayaa hai aql tiraa kaarinda rahnaa ham ko nahin manzur"
Alam KhursheedAlam Khursheed
Quote
"aur ik shahr hai kyaa shahr-e-gumaan se aage ham ko jaanaa hai bahut duur yahaan se aage gardish-e-paa kisi manzil pe Thaharti hi nahin dil magar baDhtaa nahin ku-e-butaan se aage gunjti rahti hain saahil ki sadaaein har-dam ham ne dekhaa hi nahin mauj-e-ravaan se aage muddaaa apnaa kisi shakhs pe zaahir na huaa koi jaataa hi nahin tarz-e-bayaan se aage zakhm qaael hon bhalaa chaaragari ke kaise saf-e-dushman hai saf-e-chaara-garaan se aage be-sabab ham se khafaa ho gai duniyaa 'aalam' ham ne likkhaa hai kahaan qissa-e-jaan se aage"
Alam KhursheedAlam Khursheed

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri