SHAWORDS

ye ishq alam gham zanjirein — Abdus Sattar Akhtar Ansari

"ye ishq alam gham zanjirein ik khvaab ki laakhon taabirein aankhon se utarti si dil mein kis chaand ki hain ye tasvirein sinon mein andheron ki jhaanko hain laakhon machalti tanvirein dekhi hain mohabbat mein ham ne aankhon se badalti taqdirein hai un kaa nasiba jud-o-karam hain apnaa muqaddar taazirein ab aks tumhaaraa hai dil mein kis kaam ki mere tasvirein hai dil ke lahu ki ghammaazi 'akhtar' ye tumhaari tahrirein"
Urdu

یہ عشق الم غم زنجیریں اک خواب کی لاکھوں تعبیریں آنکھوں سے اترتی سی دل میں کس چاند کی ہیں یہ تصویریں سینوں میں اندھیروں کی جھانکو ہیں لاکھوں مچلتی تنویریں دیکھی ہیں محبت میں ہم نے آنکھوں سے بدلتی تقدیریں ہے ان کا نصیبہ جود و کرم ہیں اپنا مقدر تعزیریں اب عکس تمہارا ہے دل میں کس کام کی میرے تصویریں ہے دل کے لہو کی غمازی اخترؔ یہ تمہاری تحریریں

Hindi

ये इश्क़ अलम ग़म ज़ंजीरें इक ख़्वाब की लाखों ता'बीरें आँखों से उतरती सी दिल में किस चाँद की हैं ये तस्वीरें सीनों में अँधेरों की झाँको हैं लाखों मचलती तनवीरें देखी हैं मोहब्बत में हम ने आँखों से बदलती तक़दीरें है उन का नसीबा जूद-ओ-करम हैं अपना मुक़द्दर ताज़ीरें अब अक्स तुम्हारा है दिल में किस काम की मेरे तस्वीरें है दिल के लहू की ग़म्माज़ी 'अख़्तर' ये तुम्हारी तहरीरें

ye ishq alam ġham zanjīreñ
Abdus Sattar Akhtar Ansari
Abdus Sattar Akhtar Ansari
Abdus Sattar Akhtar Ansari
poet4 quotes

More by Abdus Sattar Akhtar Ansari

View all →
Quote
"nasib apne yahaan tum se bahra-var na hue tamaam umr kabhi markaz-e-nazar na hue tamaam umr hamaari kuchh is tarah guzri tumhaari yaad se ik lamha be-khabar na hue vo kaun se hain maraahil rah-e-mohabbat mein junun-e-ishq-o-mohabbat se bhi jo sar na hue tumhaari yaadon ke naghmon ki guunj ke sadqe udaas dil ke hamaare kabhi guhar na hue hamaare khvaab salaamat tasavvuraat ba-khair nazar se duur hamaari vo raat bhar na hue pahunchte le ke use manzil-e-mohabbat par nasib aise zamaane ko raahbar na hue jo zabt-e-gham ke bhi qaabil na ho sake 'akhtar' vahi to ashk ke qatre hue guhar na hue"
Abdus Sattar Akhtar AnsariAbdus Sattar Akhtar Ansari
Quote
"naaz hote na kahin husn ke ghamze hote ham na hote to kahaan pyaar ke charche hote aaj nazron mein tiri ham jo zamaane hote kal fazaaon mein bikharte hue naghme hote saae zulfon ke agar aap ke mahke hote phuul kaandhon pe liye apne janaaze hote ham jo hote tiri yaadon mein yaqinan shaamil gauhar-e-ashk tiri aankh se barse hote daaman-e-dil pe unhein ham to sajaae rakhte misl-e-khanjar na agar aap ke jumle hote uf ye taarik fazaaon ka sulagtaa jaadu kaash bikhre tiri yaadon ke ujaale hote bad-nasibon pe kabhi yuun na baraste 'akhtar' aatish-e-gham mein agar aap bhi taDpe hote"
Abdus Sattar Akhtar AnsariAbdus Sattar Akhtar Ansari

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud