"'adaavatein nasib ho ke rah gaiin mohabbatein raqib ho ke rah gaiin parind hain na aanganon mein peD hain ye bastiyaan 'ajib ho ke rah gaiin taras rahi hain yuun bahaar ko rutein gharib kaa nasib ho ke rah gaiin bas ek pal dhanak ki saari shokhiyaan mire bahut qarib ho ke rah gaiin mire dukhon kaa zikr shahr shahr hai udaasiyaan naqib ho ke rah gaiin main khud se jab bichhaD gai to bas tiri du'aaein hi habib ho ke rah gaiin rivaayaton ki qatl-gaah-e-‘ishq mein ye laDkiyaan salib ho ke rah gaiin"
ye nahin gham ki main paaband-e-gham-e-dauraan thi — Ishrat Afreen
"ye nahin gham ki main paaband-e-gham-e-dauraan thi ranj ye hai ki miri zaat miraa zindaan thi subh se aaina chhute hue Dar lagtaa hai raat hi khvaab mein dekhaa thaa ki maang afshaan thi sukhti jaati hai ab Dhalti hui umr ke saath baaDh mehndi ki jo darvaaze pe apne haan thi shamein aur saae se dekhe gae tufaan ki raat us haveli mein jo muddat se bahut viraan thi khaak mein khel ke sab nashv-o-numaa paai hai bint-e-iflaas huun main bhuuk to meri maan thi paDh rahaa thaa vo kisi aur ke aanchal pe namaaz main bas aaina-o-quraan liye hairaan thi"
یہ نہیں غم کہ میں پابند غم دوراں تھی رنج یہ ہے کہ مری ذات مرا زنداں تھی صبح سے آئنہ چھوتے ہوئے ڈر لگتا ہے رات ہی خواب میں دیکھا تھا کہ مانگ افشاں تھی سوکھتی جاتی ہے اب ڈھلتی ہوئی عمر کے ساتھ باڑھ مہندی کی جو دروازے پہ اپنے ہاں تھی شمعیں اور سائے سے دیکھے گئے طوفان کی رات اس حویلی میں جو مدت سے بہت ویراں تھی خاک میں کھیل کے سب نشوونما پائی ہے بنت افلاس ہوں میں بھوک تو میری ماں تھی پڑھ رہا تھا وہ کسی اور کے آنچل پہ نماز میں بس آئینہ و قرآن لیے حیراں تھی
ये नहीं ग़म कि मैं पाबंद-ए-ग़म-ए-दौराँ थी रंज ये है कि मिरी ज़ात मिरा ज़िंदाँ थी सुब्ह से आइना छूते हुए डर लगता है रात ही ख़्वाब में देखा था कि माँग अफ़्शाँ थी सूखती जाती है अब ढलती हुई उम्र के साथ बाढ़ मेहंदी की जो दरवाज़े पे अपने हाँ थी शमएँ और साए से देखे गए तूफ़ान की रात उस हवेली में जो मुद्दत से बहुत वीराँ थी ख़ाक में खेल के सब नश्व-ओ-नुमा पाई है बिन्त-ए-इफ़्लास हूँ मैं भूक तो मेरी माँ थी पढ़ रहा था वो किसी और के आँचल पे नमाज़ मैं बस आईना-ओ-क़ुरआन लिए हैराँ थी

More by Ishrat Afreen
View all →"kapaas chunte hue haath kitne pyaare lage mujhe zamin se mohabbat ke isti'aare lage tamaam raat jo laDte rahe the tufaan se 'ajib log the thak haar kar kinaare lage mujhe to baagh bhi mahkaa huaa alaav lagaa mujhe to phuul bhi Thahre hue sharaare lage vo ham na the jise aankhein nichoD kar di thiin vo tum na the jise ham apni jaan se pyaare lage us ek raat qayaamat ki baarishein TuTin miri shikasta haveli pe jab puchaare lage"
"laDkiyaan maaon jaise muqaddar kyon rakhti hain tan sahraa aur aankh samundar kyon rakhti hain aurtein apne dukh ki viraasat kis ko deingi sanduqon mein band ye zevar kyon rakhti hain vo jo aap hi puuji jaane ke laaeq thiin champaa si poron mein patthar kyon rakhti hain vo jo rahi hain khaali peT aur nange paanv bachaa bachaa kar sar ki chaadar kyon rakhti hain band haveli mein jo saanahe ho jaate hain un ki khabar divaarein aksar kyon rakhti hain subh-e-visaal ki kirnein ham se puchh rahi hain raatein apne haath mein khanjar kyon rakhti hain"
"miThi narm sajili dhuup saahil ki chamkili dhuup kab tak maayon baiThegi saavan ki sharmili dhuup ghuTnon ghuTnon dariyaa khet Daali Daali giili dhuup shokh pahaaDi doshiza chanchal tez nukili dhuup phulon phulon utregi uudi niili piili dhuup konpal konpal phuTegi komal surkh rasili dhuup basti ki viraan fazaa aur sailaab ki siili dhuup paani laash vabaa insaan bhuki aur zahrili dhuup"
"dil ne ik jashn manaayaa kal raat yaad koi bahut aaya kal raat duur tak chaand ki surat hamraah tu thaa yaa vo tiraa saaya kal raat chashm-e-giryaan ne to had hi kar di kis qadar hashr uThaayaa kal raat teri khushbu ki paziraai mein chaand ne giit sunaayaa kal raat niind ne niind ki saughaatein diin khvaab ne khvaab dikhaayaa kal raat"
"paani mein chhap-chhayyaa karti shor machaati shaam jaise mujh mein Thahar gai hai jal barsaati shaam giili lakDi jaisaa jivan dhuaan-dhuaan se khvaab saavan jaise dhuup chhaanv din aag jalaati shaam tanhaai ki shaal mein lipTe unche unche ghar aur gali mein nange paaon udham machaati shaam nange pairon kaajal Tiika tan par phaTi qamis tez havaa se laDte-bhiDte jashn manaati shaam ummidein TuTe-phuTe taaqon mein hanste phuul khvaahish suuni dargaahon mein diye jalaati shaam rail ki paTri jaisi yaadein uljhe-suljhe raste aadhi khuli hui khiDki se haath hilaati shaam"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"