Quote
"kaam kaa ek yahi kaam kiyaa ishq-dar-ishq subh-o-shaam kiyaa dil javaaban dhaDak rahaa thaa miraa tu ne aankhon se jab salaam kiyaa mujh ko tujh se baDi mohabbat hai le ye dil main ne tere naam kiyaa baiat-e-ishq toD di us ne jis ne duniyaa kaa ehtiraam kiyaa tab samajh aayaa khaal-o-khad kaa kalaam tujh se jab ru-ba-ru kalaam kiyaa meri bad-naamiyon se puchh tujhe kitni mushkil se nek-naam kiyaa ham payambar hain husn-e-jaanaan ke is shariat ko ham ne aam kiyaa dard ke ab vahaan khazaane hain main ne 'khaalid' jahaan qiyaam kiyaa"
