Quote
"qayaam-o-naql ajaaib ke tarjumaan to nahin amal har ek musalsal hai naa-gahaan to nahin ye markaze ki haraarat kashish kaa baais hai jo ho vo sard to phir ye zamin bhi maan to nahin muhit chaaron-taraf se hai ik khalaa-e-basit zamin ye apni faqat zer-e-aasmaan to nahin havaa uDaae unhein aur kahin bhi le jaae ye Tiile ret ke pakki nishaaniyaan to nahin havaa ke paas amaanat hain sab sadaa-o-aks abhi giraft se baahar hain par nihaan to nahin"
