SHAWORDS

zarur chashm-e-tamaashaa chaman pe naaz kare — Ashraf Rafi

HomeAshraf RafiGhazal
"zarur chashm-e-tamaashaa chaman pe naaz kare magar bahaar-o-khizaan mein to imtiyaaz kare miri hayaat kaa maqsad hai sirf lazzat-e-gham koi ye silsila-e-gham zaraa daraaz kare junun ke daur mein ho jis ko shauq-e-gul-chini chaman mein kaise vo kaanTon se ehtiraaz kare yahi hai khaaliq-e-jazbaat kaa karam shaayad tumhein khushi se hamein gham se sarfaraaz kare na kijiye kisi gustaakhi-e-junun kaa malaal kise hai hosh ki farq-e-niyaaz-o-naaz kare rah-e-vafaa mein tamannaa-e-iltifaat hai kufr jo ji mein aae vo husn-e-karishma-saaz kare jabin-e-shauq to rakh di hai main ne dar pe tire ye teraa kaam hai baab-e-karam bhi baaz kare sunaa hai raaz-e-haqiqat usi hijaab mein hai jo dida-var ho vahi azmat-e-majaaz kare vo koi dil nahin patthar hai asl mein 'ashraf' jo aadmi ko mohabbat se be-niyaaz kare"
Urdu

ضرور چشم تماشا چمن پہ ناز کرے مگر بہار و خزاں میں تو امتیاز کرے مری حیات کا مقصد ہے صرف لذت غم کوئی یہ سلسلۂ غم ذرا دراز کرے جنوں کے دور میں ہو جس کو شوق گل چینی چمن میں کیسے وہ کانٹوں سے احتراز کرے یہی ہے خالق جذبات کا کرم شاید تمہیں خوشی سے ہمیں غم سے سرفراز کرے نہ کیجئے کسی گستاخیٔ جنوں کا ملال کسے ہے ہوش کہ فرق نیاز و ناز کرے رہ وفا میں تمنائے التفات ہے کفر جو جی میں آئے وہ حسن کرشمہ ساز کرے جبین شوق تو رکھ دی ہے میں نے در پہ ترے یہ تیرا کام ہے باب کرم بھی باز کرے سنا ہے راز حقیقت اسی حجاب میں ہے جو دیدہ ور ہو وہی عظمت مجاز کرے وہ کوئی دل نہیں پتھر ہے اصل میں اشرفؔ جو آدمی کو محبت سے بے نیاز کرے

Hindi

ज़रूर चश्म-ए-तमाशा चमन पे नाज़ करे मगर बहार-ओ-ख़िज़ाँ में तो इम्तियाज़ करे मिरी हयात का मक़्सद है सिर्फ़ लज़्ज़त-ए-ग़म कोई ये सिलसिला-ए-ग़म ज़रा दराज़ करे जुनूँ के दौर में हो जिस को शौक़-ए-गुल-चीनी चमन में कैसे वो काँटों से एहतिराज़ करे यही है ख़ालिक़-ए-जज़्बात का करम शायद तुम्हें ख़ुशी से हमें ग़म से सरफ़राज़ करे न कीजिए किसी गुस्ताख़ी-ए-जुनूँ का मलाल किसे है होश कि फ़र्क़-ए-नियाज़-ओ-नाज़ करे रह-ए-वफ़ा में तमन्ना-ए-इल्तिफ़ात है कुफ़्र जो जी में आए वो हुस्न-ए-करिश्मा-साज़ करे जबीन-ए-शौक़ तो रख दी है मैं ने दर पे तिरे ये तेरा काम है बाब-ए-करम भी बाज़ करे सुना है राज़-ए-हक़ीक़त उसी हिजाब में है जो दीदा-वर हो वही अज़्मत-ए-मजाज़ करे वो कोई दिल नहीं पत्थर है अस्ल में 'अशरफ़' जो आदमी को मोहब्बत से बे-नियाज़ करे

zarūr chashm-e-tamāshā chaman pe naaz kare
Ashraf Rafi
Ashraf Rafi
Ashraf Rafi
poet15 quotes

More by Ashraf Rafi

View all →
Quote
"har ek rukh se mujhe lutf-e-justuju aae zaraa vo aur qarib-e-rag-e-gulu aae maaal-e-naaz-e-khudi kyaa hai ye to samjhaa duun jise ho naaz-e-khudi mere ru-ba-ru aae baghair izn hi saaqi ne kar liyaa qabza hamaare vaaste jab saaghar-o-subu aae qadam qadam pe hai khuddaari-e-hayaat kaa Dar miri zabaan pe kyaa harf-e-aarzu aae tiri fazaa-e-mohabbat ho khush-gavaar itni nafas nafas se khulus-o-vafaa ki bu aae hamaare dil mein adaavat rahegi kyaa 'ashraf' nazar jhukaae hue jab koi adu aae"
Ashraf RafiAshraf Rafi
Quote
"nahin shuur-e-nazar kisi mein hazaaron gham hain miri hansi mein nahin hai meaar koi baaqi na dushmani mein na dosti mein na chheD un ko ai jazba-e-dil vo ro paDeinge hansi hansi mein payambar-e-tirgi bhi ik din zarur aaeinge raushni mein zaraa koi raahbar se kah de ki raaz-e-manzil hai gumrahi mein mazaaq-e-mahfil giraa huaa hai na TuuTe dil koi dil-lagi mein bujhi hui shama saath le kar bhaTak rahe hain vo tirgi mein khudaa kaa irfaan yahi hai 'ashraf' ki lutf aa jaae bandagi mein"
Ashraf RafiAshraf Rafi
Quote
"ahd-e-vafaa na yaad dilaaein to kyaa karein ham un ko haal-e-dil na sunaain to kyaa karein jin se nahin hai aap ki manzil ko vaasta un raaston se lauT na jaaein to kyaa karein vo har taraf hain samt ki jab qaid hi nahin dair-o-haram mein sar na jhukaaein to kyaa karein mohkam hai rabt-e-ishq to nazdik-o-dur kyaa aaein to kyaa karein vo na aaein to kyaa karein maanaa ki ham ko taab-e-nazar hai na shauq-e-did rukh se vo khud hi parda uThaaein to kyaa karein 'ashraf' ko thaa amal se ziyaada karam pe naaz kaam aa gai hain us ki khataaein to kyaa karein"
Ashraf RafiAshraf Rafi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari