SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byParveen Shakir(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab kabhi khubi-e-qismat se tujhe dekhte hain aaina-khaane ki hairat se tujhe dekhte hain vo jo paamaal-e-zamaana hain mire takht-nashin dekh to kaisi mohabbat se tujhe dekhte hain kaasa-e-did mein bas ek jhalak kaa sikka ham faqiron ki qanaa'at se tujhe dekhte hain tere jaane kaa khayaal aataa hai ghar se jis dam dar-o-divaar ki hasrat se tujhe dekhte hain tere kuche mein chale jaate hain qaasid ban kar aur aksar usi surat se tujhe dekhte hain kah gai baad-e-sabaa aaj tire kaan mein kyaa phuul kis darja sharaarat se tujhe dekhte hain tujh ko kyaa 'ilm tujhe haarne vaale kuchh log kis qadar sakht nadaamat se tujhe dekhte hain"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"charaagh-e-raah bujhaa kyaa ki rahnumaa bhi gayaa havaa ke saath musaafir kaa naqsh-e-paa bhi gayaa main phuul chunti rahi aur mujhe khabar na hui vo shakhs aa ke mire shahr se chalaa bhi gayaa bahut aziiz sahi us ko meri dildaari magar ye hai ki kabhi dil miraa dukhaa bhi gayaa ab un darichon pe gahre dabiz parde hain vo taank-jhaank kaa maasum silsila bhi gayaa sab aae meri ayaadat ko vo bhi aayaa thaa jo sab gae to miraa dard-aashnaa bhi gayaa ye ghurbatein miri aankhon mein kaisi utri hain ki khvaab bhi mire rukhsat hain ratjagaa bhi gayaa"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"sabhi gunaah dhul gae sazaa hi aur ho gai mire vajud par tiri gavaahi aur ho gai rafu-garaan-e-shahr bhi kamaal log the magar sitaara-saaz haath mein qabaa hi aur ho gai bahut se log shaam tak kivaaD khol kar rahe faqir-e-shahr ki magar sadaa hi aur ho gai andhere mein the jab talak zamaana saaz-gaar thaa charaagh kyaa jalaa diyaa havaa hi aur ho gai bahut sambhal ke chalne vaali thi par ab ke baar to vo gul khile ki shokhi-e-sabaa hi aur ho gai na jaane dushmanon ki kaun baat yaad aa gai labon tak aate aate bad-duaa hi aur ho gai ye mere haath ki lakirein khul rahi thiin yaa ki khud shagun ki raat khushbu-e-hinaa hi aur ho gai zaraa si kargason ko aab-o-daana ki jo shah mili uqaab se khitaab ki adaa hi aur ho gai"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"isi mein khush huun miraa dukh koi to sahtaa hai chali chalungi jahaan tak ye saath rahtaa hai zamin-e-dil yunhi shaadaab to nahin ai dost qarib mein koi dariyaa zarur bahtaa hai ghane darakhton ke girne pe maa-sivaa-e-havaa azaab-e-dar-badri aur kaun sahtaa hai na jaane kaun saa fiqra kahaan raqam ho jaae dilon kaa haal bhi ab kaun kis se kahtaa hai maqaam-e-dil kahin aabaadiyon se hai baahar aur is makaan mein jaise ki koi rahtaa hai mire badan ko nami khaa gai hai ashkon ki bhari bahaar mein kaisaa makaan Dhahtaa hai"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"apni hi sadaa sunun kahaan tak jangal ki havaa rahun kahaan tak har baar havaa na hogi dar par har baar magar uThun kahaan tak dam ghaTtaa hai ghar mein habs vo hai khushbu ke liye rukun kahaan tak phir aa ke havaaein khol deingi zakhm apne rafu karun kahaan tak saahil pe samundaron se bach kar main naam tiraa likhun kahaan tak tanhaai kaa ek ek lamha hangaamon se qarz luun kahaan tak gar lams nahin to lafz hi bhej main tujh se judaa rahun kahaan tak sukh se bhi to dosti kabhi ho dukh se hi gale milun kahaan tak mansub ho har kiran kisi se apne hi liye jalun kahaan tak aanchal mire bhar ke phaT rahe hain phuul us ke liye chunun kahaan tak"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"sundar komal sapnon ki baaraat guzar gai jaanaan dhuup aankhon tak aa pahunchi hai raat guzar gai jaanaan bhor samay tak jis ne hamein baaham uljhaae rakkhaa vo albeli resham aisi baat guzar gai jaanaan sadaa ki dekhi raat hamein is baar mili to chupke se khaali baat pe rakh ke kyaa saughaat guzar gai jaanaan kis konpal ki aas mein ab tak vaise hi sarsabz ho tum ab to dhuup kaa mausam hai barsaat guzar gai jaanaan log na jaane kin raaton ki muraadein maangaa karte hain apni raat to vo jo tere saat guzar gai jaanaan ab to faqat sayyaad ki dildaari kaa bahaana hai varna ham ko daam mein laane vaali ghaat guzar gai jaanaan"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"dhanak dhanak miri poron ke khvaab kar degaa vo lams mere badan ko gulaab kar degaa qabaa-e-jism ke har taar se guzartaa huaa kiran kaa pyaar mujhe aaftaab kar degaa junun-pasand hai dil aur tujh tak aane mein badan ko naav lahu ko chanaab kar degaa main sach kahungi magar phir bhi haar jaaungi vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa anaa-parast hai itnaa ki baat se pahle vo uTh ke band miri har kitaab kar degaa sukut-e-shahr-e-sukhan mein vo phuul saa lahja samaaaton ki fazaa khvaab khvaab kar degaa isi tarah se agar chaahtaa rahaa paiham sukhan-vari mein mujhe intikhaab kar degaa miri tarah se koi hai jo zindagi apni tumhaari yaad ke naam intisaab kar degaa"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"dukh navishta hai to aandhi ko likhaa aahista ai khudaa ab ke chale zard havaa aahista aahista khvaab jal jaaein miri chashm-e-tamannaa bujh jaae bas hatheli se uDe rang-e-hinaa aahista zakhm hi kholne aai hai to ujlat kaisi chhu mire jism ko ai baad-e-sabaa aahista TuTne aur bikharne kaa koi mausam ho phuul ki ek duaa mauj-e-havaa aahista jaanti huun ki bichhaDnaa tiri majburi hai par miri jaan mile mujh ko sazaa aahista miri chaahat mein bhi ab soch kaa rang aane lagaa aur tiraa pyaar bhi shiddat mein huaa aahista niind par jaal se paDne lage aavaazon ke aur phir hone lagi teri sadaa aahista raat jab phuul ke rukhsaar pe dhire se jhuki chaand ne jhuk ke kahaa aur zaraa aahista"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"jagaa sake na tire lab lakir aisi thi hamaare bakht ki rekhaa bhi 'mir' aisi thi ye haath chume gae phir bhi be-gulaab rahe jo rut bhi aai khizaan ki safir aisi thi vo mere paanv ko chhune jhukaa thaa jis lamhe jo maangtaa use deti amiir aisi thi shahaadatein mire haq mein tamaam jaati thiin magar khamosh the munsif nazir aisi thi katar ke jaal bhi sayyaad ki razaa ke baghair tamaam umr na uDti asiir aisi thi phir us ke baad na dekhe visaal ke mausam judaaiyon ki ghaDi chashm-gir aisi thi bas ik nigaah mujhe dekhtaa chalaa jaataa us aadmi ki mohabbat faqir aisi thi ridaa ke saath luTere ko zaad-e-rah bhi diyaa tiri faraakh-dili mere viir aisi thi kabhi na chaahne vaalon kaa khun-bahaa maangaa nigaar-e-shahr-e-sukhan be-zamir aisi thi"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"TuuTi hai meri niind magar tum ko is se kyaa bajte rahein havaaon se dar tum ko is se kyaa tum mauj mauj misl-e-sabaa ghumte raho kaT jaaein meri soch ke par tum ko is se kyaa auron kaa haath thaamo unhein raasta dikhaao main bhuul jaaun apnaa hi ghar tum ko is se kyaa abr-e-gurez-paa ko barasne se kyaa gharaz siipi mein ban na paae guhar tum ko is se kyaa le jaaein mujh ko maal-e-ghanimat ke saath adu tum ne to Daal di hai sipar tum ko is se kyaa tum ne to thak ke dasht mein kheme lagaa liye tanhaa kaTe kisi kaa safar tum ko is se kyaa"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"kuchh faisla to ho ki kidhar jaanaa chaahiye paani ko ab to sar se guzar jaanaa chaahiye nashtar-ba-dast shahr se chaaragari ki lau ai zakhm-e-be-kasi tujhe bhar jaanaa chaahiye har baar eDiyon pe giraa hai miraa lahu maqtal mein ab ba-tarz-e-digar jaanaa chaahiye kyaa chal sakeinge jin kaa faqat masala ye hai jaane se pahle rakht-e-safar jaanaa chaahiye saaraa jvaar-bhaaTaa mire dil mein hai magar ilzaam ye bhi chaand ke sar jaanaa chaahiye jab bhi gae azaab-e-dar-o-baam thaa vahi aakhir ko kitni der se ghar jaanaa chaahiye tohmat lagaa ke maan pe jo dushman se daad le aise sukhan-farosh ko mar jaanaa chaahiye"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"paa-ba-gil sab hain rihaai ki kare tadbir kaun dast-basta shahr mein khole miri zanjir kaun meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le kar rahaa hai meri fard-e-jurm ko tahrir kaun aaj darvaazon pe dastak jaani pahchaani si hai aaj mere naam laataa hai miri taazir kaun koi maqtal ko gayaa thaa muddaton pahle magar hai dar-e-khema pe ab tak surat-e-tasvir kaun meri chaadar to chhini thi shaam ki tanhaai mein be-ridaai ko miri phir de gayaa tashhir kaun sach jahaan paa-basta mulzim ke kaTahre mein mile us adaalat mein sunegaa adl ki tafsir kaun niind jab khvaabon se pyaari ho to aise ahd mein khvaab dekhe kaun aur khvaabon ko de taabir kaun ret abhi pichhle makaanon ki na vaapas aai thi phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamir kaun saare rishte hijraton mein saath dete hain to phir shahr se jaate hue hotaa hai daaman-gir kaun dushmanon ke saath mere dost bhi aazaad hain dekhnaa hai khinchtaa hai mujh pe pahlaa tiir kaun"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"kuchh khabar laai to hai baad-e-bahaari us ki shaayad is raah se guzregi savaari us ki meraa chehra hai faqat us ki nazar se raushan aur baaqi jo hai mazmun-nigaari us ki aankh uThaa kar jo ravaadaar na thaa dekhne kaa vahi dil kartaa hai ab minnat o zaari us ki raat ki aankh mein hain halke gulaabi Dore niind se palkein hui jaati hain bhaari us ki us ke darbaar mein haazir huaa ye dil aur phir dekhne vaali thi kuchh kaar-guzaari us ki aaj to us pe Thaharti hi na thi aankh zaraa us ke jaate hi nazar main ne utaari us ki arsa-e-khvaab mein rahnaa hai ki lauT aanaa hai faisla karne ki is baar hai baari us ki"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"khayaal-o-khvaab huaa barg-o-baar kaa mausam bichhaD gayaa tiri surat bahaar kaa mausam kai ruton se mire nim-vaa darichon mein Thahar gayaa hai tire intizaar kaa mausam vo narm lahje mein kuchh to kahe ki lauT aae samaa'aton ki zamin par phuvaar kaa mausam payaam aayaa hai phir ek sarv-qaamat kaa mire vujud ko khinche hai daar kaa mausam vo aag hai ki miri por por jalti hai mire badan ko milaa hai chinaar kaa mausam rafaaqaton ke nae khvaab khushnumaa hain magar guzar chukaa hai tire e’tibaar kaa mausam havaa chali to nai baarishein bhi saath aaiin zamin ke chehre pe aayaa nikhaar kaa mausam vo meraa naam liye jaae aur main us kaa naam lahu mein guunj rahaa hai pukaar kaa mausam qadam rakhe miri khushbu ki ghar ko lauT aae koi bataae mujhe ku-e-yaar kaa mausam vo roz aa ke mujhe apnaa pyaar pahnaae miraa ghurur hai bele ke haar kaa mausam tire tariq-e-mohabbat pe baarhaa sochaa ye jabr thaa ki tire ikhtiyaar kaa mausam"
Parveen ShakirParveen Shakir
Quote
"rasta bhi kaThin dhuup mein shiddat bhi bahut thi saae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi kheme na koi mere musaafir ke jalaae zakhmi thaa bahut paanv masaafat bhi bahut thi sab dost mire muntazir-e-parda-e-shab the din mein to safar karne mein diqqat bhi bahut thi baarish ki duaaon mein nami aankh ki mil jaae jazbe ki kabhi itni rifaaqat bhi bahut thi kuchh to tire mausam hi mujhe raas kam aae aur kuchh miri miTTi mein baghaavat bhi bahut thi phulon kaa bikharnaa to muqaddar hi thaa lekin kuchh is mein havaaon ki siyaasat bhi bahut thi vo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis kaa thaa shaahid aur vaaqif-e-ahvaal-e-adaalat bhi bahut thi is tark-e-rifaaqat pe pareshaan to huun lekin ab tak ke tire saath pe hairat bhi bahut thi khush aae tujhe shahr-e-munaafiq ki amiri ham logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi"
Parveen ShakirParveen Shakir