SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBekhud Dehlvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"har ek baat tiri be-sabaat kitni hai palaTnaa baat ko dam bhar mein baat kitni hai abhi to shaam hui hai abhi to aae ho abhi se puchh rahe ho ki raat kitni hai vo sunte sunte jo ghabraae haal-e-dil bole bayaan kitni hui vaardaat kitni hai tire shahid ko dulhaa banaa huaa dekhaa ravaan janaaze ke pichhe baraat kitni hai kisi tarah nahin kaTti nahin guzar chukti ilaahi sakht ye qaid-e-hayaat kitni hai hamaari jaan hai qimat to dil hai baiaana giraan-bahaa lab-e-naazuk ki baat kitni hai jo shab ko khilte hain ghunche vo din ko jhaDte hain bahaar-e-baagh-e-jahaan be-sabaat kitni hai mahinon ho gae dekhi nahin hai subh-e-ummid kise khabar ye musibat ki raat kitni hai udu ke saamne ye dekhnaa hai ham ko bhi kidhar ko hai nigah-e-iltifaat kitni hai ghazal likhein bhi to kyaa khaak ham likhein 'bekhud' zamin dekhiye ye vaahiyaat kitni hai"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"bevafaa kahne se kyaa vo bevafaa ho jaaegaa tere hote is sifat kaa dusraa ho jaaegaa shart kar lo phir mujhe barbaad honaa bhi qubul khaak mein mil kar to haasil muddaaa ho jaaegaa sar na hogaa dosh par to kyaa na hogi guftugu hichkiyon se shukr qaatil kaa adaa ho jaaegaa siina toDaa dil mein chuTki li jigar zakhmi kiyaa kyaa khabar thi tiir bhi teri adaa ho jaaegaa mere kahne mein hai dil jab tak mire pahlu mein hai aap le liije ise ye aap kaa ho jaaegaa saath un ke jaan bhi armaan bhi jaaeinge aaj subh se pahle ravaana qaafila ho jaaegaa main malun talvon se aankhein vo kahein samjhungaa main yaad rakh phikaa agar rang-e-hinaa ho jaaegaa phir vahi jhagDe kaa jhagDaa hai agar qum kah diyaa tegh kaa mansukh saaraa faislaa ho jaaegaa kis khushi mein haae kaisaa ranj phailaa kyaa karun kyaa khabar thi hanste hanste vo khafaa ho jaaegaa hashr tak kyuun baat jaae kyuun paDe ghairon ke munh ghar mein samjhautaa hamaaraa aap kaa ho jaaegaa aankh se hai vasl kaa iqraar dil dugdaa mein hai tum zabaan se apni kah doge to kyaa ho jaaegaa zulm se gar zabh bhi kar do mujhe parvaa nahin lutf se Dartaa huun ye meri qazaa ho jaaegaa us ne chheDaa thaa mujhe tum jaan doge kab hamein kah diyaa main ne bhi jab vaada vafaa ho jaaegaa yuun savaal-e-vasl par Taalaa kiyaa barson koi sabr kar muztar na ho teraa kahaa ho jaaegaa laakh duniyaa mein hasin hon laakh hurein khuld mein mujh ko jo tu hai vo koi dusraa ho jaaegaa tauba bhi kar li thi ye bhi nashsha ki thi ik tarang aap samjhe the ki 'bekhud' paarsaa ho jaaegaa"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"khudaa rakkhe tujhe meri buraai dekhne vaale vafaadaari mein tarz-e-bevafaai dekhne vaale sambhal ab naala-e-dil ki rasaai dekhne vaale qayaamat Dhaaeinge roz-e-judaai dekhne vaale tire khanjar ko bhi teri tarah hasrat se takte hain tiri naazuk kamar naazuk kalaai dekhne vaale jhijak kar aaine mein aks se apne vo kahte hain yahaan bhi aa gae surat paraai dekhne vaale palak jhapki ki dil ghaaeb baghal khaali nazar aai tiri nazron ki dekheinge safaai dekhne vaale inhin aankhon se tu ne nek-o-bad aalam kaa dekhaa hai idhar to dekh ai saari khudaai dekhne vaale gire ghash khaa ke jab muusaa kahaa barq-e-tajalli ne qayaamat tak na degaa vo dikhaai dekhne vaale miri mayyat pe ban aai hai un ki sab se kahte hain vafaadaaron ki dekhein bevafaai dekhne vaale nazar milti hai pichhe pahle tanti hain bhanvein un ki kahaan tak dekhe jaaein kaj-adaai dekhne vaale miTaa inkaar to hujjat ye nikli munh dikhaane mein ki pahle jama kar dein ru-numaai dekhne vaale kahaan tak roein qismat ke likhe ko bas ulaT parda tujhe dekheinge ab teri khudaai dekhne vaale kabhi qadmon mein thaa ab un ke dil mein hai jagah meri mujhe dekhein muqaddar ki rasaai dekhne vaale koi itnaa nahin jo aa ke puchhe hijr mein 'bekhud' tiraa kyaa haal hai ranj-e-judaai dekhne vaale"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"jhuuT sach aap to ilzaam diye jaate hain baat sunte nahin dushnaam diye jaate hain tirchhi nazron se kiye us ne bahut dil zakhmi tiir TeDhe magar kaam diye jaate hain kah gayaa ye bhi koi ruuTh ke jaane vaalaa ham tujhe maut kaa paighaam diye jaate hain paasbaan jaag uThein vo to unhein de denaa likh ke kaaghaz pe ye ik naam diye jaate hain aap ke lutf-o-inaayat kaa yahi hai badla gham liye jaate hain aaraam diye jaate hain dil huaa jaan hui un ki bhalaa kyaa qimat aisi chizon ke kahin daam diye jaate hain tir-e-qaatil ko kaleje se lagaa rakkhaa hai ham to dushman ko bhi aaraam diye jaate hain kaam aa jaaegaa dushman ki mohabbat mein kabhi ehtiyaatan dil-e-naakaam diye jaate hain ab to khul khele vo 'bekhud' se khudaa khair kare ab to khud bhar ke use jaam diye jaate hain"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"vo dekhte jaate hain kanakhiyon se idhar bhi chaltaa huaa jaadu hai mohabbat ki nazar bhi uThne ki nahin dekhiye shamshir-e-nazar bhi pahle hi lachakti hai kalaai bhi kamar bhi phuTein miri aankhein jo kuchh aataa ho nazar bhi duniyaa se alag chiiz hai furqat ki sahar bhi saaqi kabhi mil jaae mohabbat kaa samar bhi in aankhon kaa sadqa koi saaghar to idhar bhi betaab huun kyaa chiiz churaa li hai nazar ne hone ko to dil bhi hai mire paas jigar bhi ghar samjhaa huun jis ko kahin turbat to nahin hai aati hai yahaan shaam ki surat mein sahar bhi khaamosh huun main aur vo kuchh puchh rahe hain maathe pe shikan bhi hai inaayat ki nazar bhi us ke lab-e-rangin ki nazaakat hai na rangat ghunche bhi bahut dekh liye hain gul-e-tar bhi aati hai nazar duur hi se husn ki khubi kuchh aur hi hoti hai javaani ki nazar bhi haTti hai jo aaina se paD jaati hai dil par kyaa shokh nazar hai ki udhar bhi hai idhar bhi bimaar-e-mohabbat kaa khudaa hai jo sambhal jaae hai shaam bhi makhdush judaai ki sahar bhi mai-khaana-e-ishrat na sahi kunj-e-garebaan aankhon ke chhalakte hue saaghar hain idhar bhi mil jaaein agar mujh ko to main khizr se puchhun dekhi hai kahin shaam-e-judaai ki sahar bhi ai shauq-e-shahaadat kahin qismat na palaT jaae baandhi to hai talvaar bhi qaatil ne kamar bhi ai dil tiri aahein to sunin kaanon se ham ne ab ye tu bataa us pe kareingi ye asar bhi ik rashk kaa pahlu to hai samjhun ki na samjhun gardan bhi hai kham aap ki nichi hai nazar bhi kuchh kaan mein kal aap ne irshaad kiyaa thaa mushtaaq usi baat kaa huun baar-e-digar bhi sofaar bhi rangin kiye haath bhi us ne aayaa hai baDe kaam meraa khun-e-jigar bhi chhupti hai koi baat chhupaae se sar-e-bazm uDte ho jo tum ham se to uDti hai khabar bhi yuun hijr mein barson kabhi lagti hi nahin aankh so jaataa huun jab aa ke vo kah deti hain mar bhi khultaa hi nahin bekhud-e-badnaam kaa kuchh haal kahte hain farishta bhi use log bashar bhi"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"bechne aae koi kyaa dil-e-shaidaa le kar daam dete hi nahin aap to saudaa le kar chaar din bhi to na rakkhaa dil-e-shaidaa le kar aap ne ham se bhi kam-bakht ko khoyaa le kar qatl ke baad nazaakat se jo thak jaate hain baiTh jaate hain vo kushte kaa sahaaraa le kar ghair kaa qatl kuchh aisaa to nahin hai mushkil chhoD do haath koi naam hamaaraa le kar saans ke saath jo hoti hai khaTak siine mein zoaf se dard bhi uThtaa hai sahaaraa le kar aa gayaa mujh ko nazar apni vafaa kaa anjaam main ne talvaar ko qaatil se jo dekhaa le kar ab to 'bekhud' ko ye daavaa hai ba-qaul-e-ustaad aadmi ishq kare naam hamaaraa le kar"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"donon hi ki jaanib se ho gar ahd-e-vafaa ho chaahat kaa mazaa jab hai ki tum bhi mujhe chaaho ye ham nahin kahte hain ki dushman ko na chaaho is chaah kaa anjaam magar dekhiye kyaa ho shamshir se baDh kar hain hasinon ki adaaein be-maut kiyaa qatl un achchhon kaa buraa ho maashuq tarah-daar ho andaaz ho achchhaa dil aae na aise pe to phir dil kaa buraa ho puuraa koi hotaa nazar aataa nahin armaan un ko to ye zid hai ki hamaaraa hi kahaa ho tum mujh ko pilaate to ho mai siina pe chaDh kar us vaqt agar koi chalaa aae to kyaa ho vaada vo tumhaaraa hai ki lab tak nahin aataa matlab ye hamaaraa hai ki baaton mein adaa ho khanjar ki zarurat hai na shamshir ki haajat tirchhi si nazar ho koi baanki si adaa ho khaali to na jaaein dam-e-rukhsat mire naale fitna koi uTThe jo qayaamat na bapaa ho chori ki to kuchh baat nahin mujh ko bataa do meraa dil-e-betaab agar tum ne liyaa ho un se dam-e-raftaar ye kahti hai qayaamat fitne se na khaali koi naqsh-e-kaf-e-paa ho bad-zan hain vo is tarah ki surma use samjhein bimaar ki aankhon mein agar niil Dhalaa ho khat khol ke paDhte hue Dartaa huun kisi kaa lipTi hui khat mein na kahin meri qazaa ho marnaa hai usi kaa jo tujhe dekh ke mar jaae jiinaa hai usi kaa jo mohabbat mein jiyaa ho hai dil ki jagah siine mein kaavish abhi baaqi paikaan koi pahlu mein mire rah na gayaa ho mujh ko bhi kahin aur se aayaa hai bulaavaa achchhaa hai chalo aaj bhi vaada na vafaa ho 'bekhud' kaa fasaana to hai mashhur-e-zamaana ye zikr to shaayad kabhi tum ne bhi sunaa ho"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"vo sun kar huur ki taarif parde se nikal aae kahaa phir muskuraa kar husn-e-zebaa is ko kahte hain ajal kaa naam dushman dusre maani mein letaa hai tumhaare chaahne vaale tamannaa is ko kahte hain mire madfan pe kyuun rote ho aashiq mar nahin saktaa ye mar jaanaa nahin hai sabr aanaa is ko kahte hain namak bhar kar mire zakhmon mein tum kyaa muskuraate ho mire zakhmon ko dekho muskuraanaa is ko kahte hain zamaane se adaavat kaa sabab thi dosti jin ki ab un ko dushmani hai ham se duniyaa is ko kahte hain dikhaate ham na aaina to ye kyuun kar nazar aataa bashar huron se achchhaa tum ne dekhaa is ko kahte hain"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"na kyun-kar nazr dil hotaa na kyun-kar dam miraa jaataa akelaa bhejtaa us ko vo khaali haath kyaa jaataa janaaze par bhi vo aate to munh ko Dhaank kar aate hamaari jaan le kar bhi na andaaz-e-hayaa jaataa tumhaari yaad meraa dil ye donon chalte purze hain jo in mein se koi miTtaa mujhe pahle miTaa jaataa teri chitvan ke bal ko ham ne qaatil taak rakhaa thaa kidhar maqtal mein bach kar ham se ye tir-e-qazaa jaataa mazaa jab thaa qayaamat tak na aataa hosh 'bekhud' ko pilaai thi jo mai saaqi ne itni to pilaa jaataa"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"na armaan ban ke aate hain na hasrat ban ke aate hain shab-e-vaada vo dil mein dard-e-furqat ban ke aate hain pareshaan zulf munh utraa huaa mahjub si aankhein vo bazm-e-ghair se aashiq ki surat ban ke aate hain bane hain shaikh-saahib naql-e-majlis bazm-e-rindaan mein jahaan tashrif le jaate hain hazrat ban ke aate hain na rakhnaa ham se kuchh matlab ye pahli shart hai un ki vo jis ke paas aate hain amaanat ban ke aate hain sitam ki khvaahishein 'bekhud' ghazab ki aarzuein hain javaani ke ye din shaayad musibat ban ke aate hain"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"dil churaa le gai duzdida-nazar dekh liyaa ham na kahte the ki us chor ne ghar dekh liyaa banda-parvar gham-e-furqat kaa asar dekh liyaa daagh-e-dil dekh liyaa daagh-e-jigar dekh liyaa qad bhi kam umr bhi kam mashq-e-sitam aur bhi kam kar chuke qatl mujhe jaaiye ghar dekh liyaa shikve ke saath lagaavaT bhi chali jaati hai jab kiyaa kuchh to kanakhiyon se idhar dekh liyaa daad-khvaahon pe nai hashr mein aafat aai saf ki saf loT gai us ne jidhar dekh liyaa qatl-e-ushshaaq pe lo aur uThaao khanjar jhuk gai baar-e-nazaakat se kamar dekh liyaa na chhuTaa tum se ye mai-khaane kaa rasta 'bekhud' munh chhupaae hue jaate ho kidhar dekh liyaa"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"dil mein phir vasl ke armaan chale aate hain mere ruThe hue mehmaan chale aate hain un ke aate hi huaa hasrat-o-armaan kaa hujum aaj mehmaan pe mehmaan chale aate hain aap hon ham hon mai-e-naab ho tanhaai ho dil mein rah rah ke ye armaan chale aate hain us ne ye kah ke mujhe duur hi se rok diyaa aap se jaan na pahchaan chale aate hain ruuTh baiThe hain magar chheD chali jaati hai kabhi paighaam kabhi paan chale aate hain ye rahaa hazrat-e-'bekhud' kaa makaan aao chalein abhi dam bhar mein miri jaan chale aate hain"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi
Quote
"maashuq hamein baat kaa puuraa nahin miltaa dil jis se milaaein koi aisaa nahin miltaa duniyaa mein agar DhunDiye to kyaa nahin miltaa sab milte hain ik chaahne vaalaa nahin miltaa ushshaaq se yuun aankh tumhaari nahin milti aghyaar se dil jaise hamaaraa nahin miltaa rahti hai kasar ek na ik baat ki sab mein ham ko to in achchhon mein bhi achchhaa nahin miltaa kuchh haal sune kuchh hamein tadbir bataae gham-khvaar to kaisaa koi itnaa nahin miltaa kyaa muft mein tum dil ke kharidaar bane ho be-kharch kiye daam ye saudaa nahin miltaa jab dekhiye hamraah hai dushman kaa tasavvur ham se to vo khalvat mein bhi tanhaa nahin miltaa dil koi milaataa nahin TuuTe hue dil se duniyaa mein hamein joD hamaaraa nahin miltaa barbaad kiyaa yaas ne yuun khaana-e-dil ko DhunDe se bhi ab daagh-e-tamannaa nahin miltaa jo baat hai duniyaa se niraali hai nai hai andaaz kisi mein bhi tumhaaraa nahin miltaa aankhein kahe deti hain ki dil saaf nahin hai miltaa hai vo is rang se goyaa nahin miltaa kahte hain jalaane ko ham aghyaar ke munh par aison se to vo rashk-e-masihaa nahin miltaa zaahir hai mulaaqaat hai baatin mein judaai tum milte ho dil ham se tumhaaraa nahin miltaa afsos to ye hai ki tumhein qadr nahin hai aashiq to zamaane mein bhi DhunDaa nahin miltaa kahnaa vo sharaarat se tiraa dil ko churaa kar kyaa DhunDte ho ham se kaho kyaa nahin miltaa 'bekhud' nigah-e-lutf pe de Daaliye dil ko jo miltaa hai sarkaar se thoDaa nahin miltaa"
Bekhud DehlviBekhud Dehlvi