SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sunaa kisi ne na girya-e-mukhtasar hamaaraa huaa hai chhalni chhanan chhanan se jigar hamaaraa ye zard vahshat hamaare baatin mein ras gai hai tavil muddat se ham pe haavi hai Dar hamaaraa tire qabile se jang laD ke shahid honge kaTaa huaa hi milegaa tujh ko ye sar hamaaraa sabhi manaazil pe jaa ke vaapas palaT rahe hain ki raaegaan jaa rahaa hai har ik safar hamaaraa chahaar jaanib pahaaD masti se jhumte hon hasin shaadaab vaadiyon mein ho ghar hamaaraa hui nahin hai kisi taraf se bhi ajnabiyyat huaa thaa in jangalon se pahle guzar hamaaraa khabar mili hai vafaa ki sarhad pe mar gayaa hai vo ik sipaahi jo thaa bahut mo'atabar hamaaraa karein to kis tarah baat ashaar pe hamaare khulaa nahin hai kisi pe ab tak hunar hamaaraa"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"kiyaa hai hijr mein daaman ko taar aahista-aahista huaa huun ek se main be-shumaar aahista-aahista ham ahl-e-hijr vahshat mein kabhi maskan na badleinge uThaa leinge tamannaaon kaa baar aahista-aahista bhale jaisi bhi mushkil ho safon mein muntazir rahnaa vo karte hain ghulaamon ko shumaar aahista-aahista yahaan pe sabza-o-gul mustaqil bilkul nahin rahte mire gulshan mein aati hai bahaar aahista-aahista abhi in pe tasallut hai ajab duniyaa-e-vahshat kaa palaT aaeinge tere jaan-nisaar aahista-aahista hamaari zindagaani karb ke aalam mein guzri hai hamein hijrat ke lamhon se guzaar aahista-aahista miri is girya-o-zaari kaa 'jaami' khaas maqsad hai bichhaDte jaa rahe hain mere yaar aahista-aahista"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"khushbu hai agar yaar to khushbu pe fidaa main vo husn charaaghon kaa charaaghon ki ziyaa main kartaa huun safar guzre zamaanon kaa shab-o-roz rahtaa nahin ik lamha buzurgon se judaa main duniyaa ke jaziron mein tiraa bhed na paayaa haalaanki khalaaon mein bhi har samt gayaa main shaayad koi zarkhez bhanvar yaad kaa ubhraa kal raat kisi aankh se bahtaa hi rahaa main maare hain gham-e-zist ne pur-dard tamaanche lekin kisi manzil pe nahin thak ke giraa main hairat ki nigaahon se sabhi dekh rahe the jab kucha-e-jaanaan mein gayaa ban ke gadaa main 'jaami' miri guftaar kisi par na khuli thi sab log puraane the faqat ek nayaa main"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"jab peDon ki khidmat par maamur thaa main 'jaami' puure jangal mein mashhur thaa main mujhe khabar hai kyaa kuchh hai buniyaadon mein teri basti kaa pahlaa mazdur thaa main kuchh na kuchh to faasla thaa jo maapaa gayaa chaahe paas thaa chaahe tujh se duur thaa main ek sunahre nuur ne mujh mein rang bhare mujh mein koi rang na thaa be-nur thaa main soch rahaa huun kitnaa raushan manzar thaa tu zaakir thaa aur jahaan mazkur thaa main sar pe jab tak maan kaa dast-e-shafqat thaa rab shaahid hai har ik dukh se duur thaa main teri ek nazar se main tabdil huaa ishq se pahle had-darja maghrur thaa main"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"tu jaantaa nahin ki vo vaqt-e-zavaal thaa aankhon kaa rang karb se jis vaqt laal thaa duniyaa ke sab hasin yahi sochte rahe kis ki nazar kaa nuur thaa kis kaa jamaal thaa mujh se bichhaD ke hausle us ke bhi past the ye kaar-gaah-e-ishq mein pahlaa malaal thaa dekhaa tujhe to nuur ki kirnein umaD paDin is dasht mein azal se charaaghon kaa kaal thaa masrufiyat mein beTon se barsi na ho saki guzre abhi to baap ko pahlaa hi saal thaa us faaqa-kash ko faqr ki taalim dijiye chehre pe jis ke roab na jaah-o-jalaal thaa main ne kisi kaa hijr kamaayaa thaa raat-din ab kharch kar rahaa huun jo rizq-e-halaal thaa"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"qaafile se bhaTak chukaa huun main ab faqat raah dekhtaa huun main jis kaa hal hi nahin kisi ke paas yuun samajh le vo masala huun main tere dil mein qiyaam thaa meraa kaise ashkon mein bah gayaa huun main meraa maskan to ye azal se na thaa jis jazire pe rah rahaa huun main aalam-e-vasl bhi hai yaad mujhe furqaton se bhi aashnaa huun main saaraa lashkar hi ro rahaa hai mujhe kaisaa dil-soz maarka huun main naav tufaan ki zad mein hai 'jaami' aur akelaa hi bach gayaa huun main"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"girtaa rahaa ik yaad kaa malba mire aage bichhtaa hi gayaa hijr mein rasta mire aage vo jin ko faulun ke sivaa ilm nahin hai karte hain bahut shor-sharaaba mire aage main vahshat-e-baatin se use kartaa musakhkhar rakkhaa hi nahin qais ne naqsha mire aage ik umr sukhan karte hue guzri hai lekin aaya hi nahin sher achhutaa mire aage har gaam mayassar rahe bas ijz ki siDhi kuchh maani nahin rakhtaa hai rutba mire aage main sar-taa-qadam oDh ke rakhtaa tujhe 'jaami' ik baar kabhi tu jo mahaktaa mire aage"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"miri samt lutf ki ik nazar nahin kar sakaa koi moajiza miraa jaadugar nahin kar sakaa mire khaal-o-khad na badal sakaa tiraa aaina mujhe khub-ru koi naqsh-gar nahin kar sakaa mire saamne mire sab sipaahi kaTe magar main qabile vaalon ko kuchh khabar nahin kar sakaa mujhe manzilon ki talaash thi so main chal paDaa tiraa intizaar main umr-bhar nahin kar sakaa tire qurb kaa jo khumaar hai use main to kyaa use aaj tak koi mukhtasar nahin kar sakaa miri umr-bhar ki riyaazatein huiin raaegaan mujhe aashkaar tu vaqt par nahin kar sakaa koi falsafi nahin boltaa tire saamne tiraa saamnaa koi naamvar nahin kar sakaa mujhe khaamushi ki ataa huiin kai neamatein isi vaaste bhi main shor shar nahin kar sakaa mire paaon baandhe hain silsila-e-khayaal ne tiri samt jaan-e-sukhan safar nahin kar sakaa main adu se koi gila karun bhi to kis liye ki main doston ke bhi dil mein ghar nahin kar sakaa"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"mujh aise andhe pe kis nazar ne asar kiyaa hai ki ek naa-binaa shakhs ko baa-basar kiyaa hai main us se milne nikal paDaa thaa chahaar jaanib zamin kyaa aasmaan ki jaanib safar kiyaa hai hamein bahaaron ke sabz patte na raas aae kisi ki chaahat ke mausamon ko basar kiyaa hai udaas lamhon mein chain kaa ye sabab banegi sameT kar teri khaamushi ko amar kiyaa hai use bhulaane mein har kisi se hi dilbari ki ye khair kaa kaam thaa to mushkil magar kiyaa hai kise huaa hai nasib duniyaa mein vasl 'jaami' koi bataao ye maarka jis ne sar kiyaa hai"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"aise maahaul mein mat puchh ki kyaa hotaa hai sar pe jis vaqt tiraa dast-e-ataa hotaa hai mil ke ho jaati hai uljhan kai logon se mujhe jaise ik sher bahut baar sunaa hotaa hai baanTte phirte hain har lahza duaaon ke gulaab ham faqiron ko bhalaa kis se gila hotaa hai masala ye hai sameTe koi chhaanv kaise apni fitrat mein to har peD ghanaa hotaa hai jis ko darkaar rihaaish ho mujhe batlaae hujra-e-chashm hama-vaqt khulaa hotaa hai main vo faanus havaa jis ki azal se dushman main vo maqtal huun jo har vaqt sajaa hotaa hai us ghaDi shauq se main raqs kiyaa kartaa huun jab koi misra tire lab se adaa hotaa hai koi jitni bhi bachaao ki tag-o-dau kar le vaqt kaa tiir kahaan dost khataa hotaa hai"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"lahu mein lithDe hue parinde talaash karte hain aashiyaana vo shakhs chaahe to lauT aaegaa khushbuon kaa hasin zamaana ghamon ki chakki mein pis ke meri to saari buniyaad hil gai hai ukhaDne vaalaa hai rafta-rafta miri tamanna kaa shaamiyaana azal se qismat mein ham faqiron ki hijraton ke ghubaar aae hamaare jaison kaa teri duniyaa mein thaa nahin daaimi Thikaana hamaari haalat pe dasht vaalon ne girya karte sajaai mahfil hamaari vahshat pe dard naache the karb likhte rahe fasaana main apne bachpan se sun rahaa huun kalaam baahu sakhi kaa 'jaami' faqir baahu ki sab ataa hai miraa sukhan bhi hai aarifaana"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"takmil hone vaalaa hai aivaan-e-shaaeri mujh par huaa ajiib hi baaraan-e-shaaeri tere khayaal-o-khvaab ki duniyaa sajaai hai kamre mein bas yahi to hai saamaan-e-shaaeri shahvat-parast logon kaa qabza hai har taraf yuun ho rahaa hai chaak garebaan-e-shaaeri mahbub tere shauq mein likkhaa hai sab kalaam guzre tiri nazar se bhi divaan-e-shaaeri 'jaami' 'naziri' 'rumi'-o-'bedil' ko paDh ke dekh labrez khushbuon se hai gul-daan-e-shaaeri saif-ul-muluk 'rumi'-e-kashmir ne likhi chambe ki buuTi likh gayaa sultaan-e-shaaeri sab ko sukhan kaa rizq mayassar nahin 'razaa' har shakhs ke liye nahin maidaan-e-shaaeri"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"apne baatin mein sameTe hue Dar aataa hai ik parinda jo mire sar pe utar aataa hai baat kartaa hai mohabbat mein junun ki koi aur ik daagh saa siine pe ubhar aataa hai kashtiyaan biich samundar mein ulaT jaati hain phir madad karne ko khuddaar bhanvar aataa hai mujh pe aalaam ki kasrat se taajjub kaisaa kuchh darakhton pe kai baar samar aataa hai sainkaDon zard kharaashein bhi pas-e-parda hain ye jo ab chehra miraa saaf nazar aataa hai phir kisi dil mein utarnaa nahin mushkil 'jaami' sher-goi kaa agar tujh ko hunar aataa hai"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"us kaa rutba har ik shakhs se baalaa hai jis ke lab par tere naam ki maalaa hai dastak dene vaale tujh ko 'ilm nahin darvaaze ki donon jaanib taalaa hai kis ke gham mein phuul jhulasne lagte hain kaun yahaan pe kaliyaan toDne vaalaa hai kis ki aamad par khushbuein phuuT paDin meri basti mein har samt ujaalaa hai hamdardi kis shakhs ko meri zaat se hai kaun miri tanhaai baanTne vaalaa hai tum ne mujh ko chhoD diyaa hai tan-e-tanhaa niili chhat vaalaa meraa rakhvaalaa hai mujh ko gar pahchaan nahin paae ho tum main ne apnaa sab kuchh she'r mein Dhaalaa hai baiThaa hai munDer pe aa kar muddat se tu ne jis panchhi ko daana Daalaa hai us buDhi kaa haal nahin batlaa saktaa jis ne khuun jigar kaa de kar paalaa hai kis ko main miraas 'ataa kar saktaa huun kaun mire dukh-dard sanbhaalne vaalaa hai"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"jahaan-e-khaak se kis ko gila nahin hotaa faqir huun so mujhe masala nahin hotaa sabhi pe lafz ki girhein khulaa nahin kartin sukhan kaa fahm sabhi ko ataa nahin hotaa khudaa tumhaare muqaddar mein bakht likh Daale kulaah-o-takht azizam buraa nahin hotaa kabhi kabhaar vahi kaaTnaa bhi paDtaa hai muqaddaron mein jo likkhaa huaa nahin hotaa tamaam mausam-e-saavan guzar gae lekin mire khayaal kaa gulshan haraa nahin hotaa main intizaar ki lazzat se lutf letaa huun ye farz vo hai jo sab se adaa nahin hotaa havaa-e-tund yaqinan uDaa ke le jaati tumhaare dar kaa agar main gadaa nahin hotaa gunaah-gaar-o-siyahkaar huun magar phir bhi khudaa ki shaan ki mujh se khafaa nahin hotaa agar vo vaqt pe meri sanbhaal kar letaa to itne TukDon mein 'jaami' baTaa nahin hotaa"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami
Quote
"is kaifiyat ki koi nahin hai khabar mujhe ye kaun kar rahaa hai musalsal basar mujhe raas aa gayaa hai dasht kaa paiham safar mujhe rahnaa hai is dayaar mein ab umr-bhar mujhe bikhraao apni zaat kaa mujh ko pasand hai jitnaa bhi TuuT jaaun sameTaa na kar mujhe apni to koi samt nahin raasta nahin jaanaa hai tere saath tu le jaa jidhar mujhe haalat ko meri dekh pareshaan yuun na ho hairaan khaDe hain dekh ke sab naqsh-gar mujhe is ke sivaa koi bhi Thikaana nahin miraa baahu sakhi kaa yaad hai har pal nagar mujhe"
Mohammad Mustahsan JamiMohammad Mustahsan Jami