SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMubarak Azimabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"baghal mein ham ne raat ik ghairat-e-mahtaab dekhaa hai tumhin is khvaab ki taabir ho kyaa khvaab dekhaa hai taDap bijli ki bhi dekhi hai vo dil thaam lete hain tiri be-taabiyon ko bhi dil-e-betaab dekhaa hai vo ulfat dost hon naaseh duaa hi dil se nikli hai agar dushman ke ghar bhi majma-e-ahbaab dekhaa hai khudaa ke saamne ai mohtasib sach bolnaa hogaa mire saaghar mein mai dekhi hai yaa khun-naab dekhaa hai 'mubaarak' iztiraab-e-shauq kaa aalam nahin chhuptaa ki jab dekhaa hai ham ne aap ko betaab dekhaa hai"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"mohabbat mein Thani aksar yahaan tak ki pahunche maarke tiir o kamaan tak chale naavak khinchi zaalim kamaan tak kahaan tak imtihaan aakhir kahaan tak chale jaate hain aavaaz-e-jaras par pahunch jaaeinge bichhDe kaarvaan tak havaa-e-shauq ke jhonke salaamat rahoge tum pas-e-parda kahaan tak na vo ayyaar mujh se puchhtaa hai na dil ki baat aati hai zabaan tak usi sar ko sar-e-shorida kahiye jo pahunche us ke sang-e-aastaan tak niyaaz o naaz ke charche raheinge hamaari aur tumhaari daastaan tak 'mubaarak' ko koi din aur sun lo bayaan kaa lutf hai us khush-bayaan tak"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"ishq ki chausar kis ne kheli ye to khel hamaare hain dil ki baazi maat hui to jaan ki baazi haare hain kaise kaise lakht-e-jigar hain kyaa kyaa dil ke paare hain aise laal kahaan duniyaa mein jaise laal hamaare hain is ko maaraa us ko maaraa ye bismil vo TuuT gayaa nok palak vaalon se Dariye qaatil un ke ishaare hain chhalni chhalni dil bhi jigar bhi rauzan rauzan siina bhi ek nigaah-e-naaz ne teri tiir hazaaron maare hain phunk rahaa hai soz-e-nihaani kaun is aag pe Daale paani dil ki lagi ne aag lagaa di daagh nahin angaare hain laala-rukhon mein umr gizaari dekhi un ki fasl-e-bahaar aaj bhi gul se gaalon vaale mujh ko 'mubaarak' pyaare hain"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"parde parde mein bahut mujh pe tire vaar chale saaf ab halq pe khanjar chale talvaar chale duri-e-manzil-e-maqsad koi ham se puchhe baiThe sau baar ham us raah mein sau baar chale kaun paamaal huaa us ki balaa dekhti hai dekhtaa apni hi jo shokhi-e-raftaar chale be-piye chaltaa hai yuun jhuum ke vo mast-e-shabaab jis tarah pi ke koi rind-e-qadah-khvaar chale chashm o abru ki ye saazish jigar o dil ko naved ek kaa tiir chale ek ki talvaar chale kuchh is andaaz se sayyaad ne aazaad kiyaa jo chale chhuT ke qafas se vo giraftaar chale jis ko rahnaa ho rahe qaidi-e-zindaan ho kar ham to ai ham-nafaso phaand ke divaar chale phir 'mubaarak' vahi ghanghor ghaTaaein aaiin jaanib-e-mai-kada phir rind-e-qadah-khvaar chale"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"jabin par khaak hai ye kis ke dar ki balaaein le rahaa huun apne sar ki ubhar aai hain phir choTein jigar ki salaamat barchhiyaan tirchhi nazar ki qayaamat ki haqiqat jaantaa huun ye ik Thokar hai mere fitnagar ki kiyaa majbur aain-e-vafaa ne na karni thi vafaa tum se magar ki na maanoge na maanoge hamaari udhar ho jaaegi duniyaa idhar ki hui an-ban kisi se mujh pe barse balaaein mere sar dushman ke sar ki na tere husn-e-be-parvaa ki ghaayat na koi had mire zauq-e-nazar ki"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"ab kaun baat rah gai ye baat bhi gai yaani kabhi kabhi ki mulaaqaat bhi gai kahte hain vo ki jazba-e-dil ab fareb hai jab dil gayaa to dil ki karaamaat bhi gai jo kuchh kiyaa vo tu ne kiyaa iztiraab-e-shauq sau aafatein bhi aaiin miri baat bhi gai dastaar aap ki jo hui rehn-e-mai-kada tauba hamaari qibla-e-haajaat bhi gai vaade ki kaun raat qayaamat kaa din nahin aasaar-e-subh kahte hain ye raat bhi gai maanaa ki din sidhaare 'mubaarak' shabaab ke rangin tabiaton se mulaaqaat bhi gai"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"tamaashaai to hain tamaashaa nahin hai giraa hai vo parda ki uThtaa nahin hai ye kis ki nazar de gai rog yaa-rab sanbhaale se ab dil sanbhaltaa nahin hai taDap jaaiyegaa taDap jaaiyegaa taDapnaa hamaaraa tamaashaa nahin hai bahut phaans nikli bahut khaar nikle magar dil kaa kaanTaa nikaltaa nahin hai ye har shakhs ki lan-taraani hai kaisi ki har aankh to chashm-e-musaa nahin hai salaamat miri vahshat-e-dil salaamat kahaan meri vahshat kaa charchaa nahin hai miri jaan bhi hai ‘inaayat tumhaari ye dil bhi tumhaaraa hai meraa nahin hai bulaai gai un ki mahfil mein duniyaa magar ek meraa bulaavaa nahin hai zaraa aap samjhaaiye dil ko naaseh main samjhaa rahaa huun samajhtaa nahin hai tumhein dekhne ko tarasti hain aankhein bahut din hue tum ko dekhaa nahin hai"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"phir mile ham un se phir yaari baDhi aur uljhaa dil giraftaari baDhi mehrbaani chaarasaazon ki baDhi jab baDhaa darmaan to bimaari baDhi hijr ki ghaDiyaan kaThin hoti gaiin din ke naale raat ki zaari baDhi phir tasavvur mein kisi ke niind uDi phir vahi raaton ki bedaari baDhi sakhtiyaan raah-e-mohabbat ki na puchh har qadam ik taaza dushvaari baDhi khair saaqi ki salaamat mai-kada jis qadar pi utni hushyaari baDhi daur-daure hain 'mubaarak' jaam ke intihaa ki apni mai-khvaari baDhi"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"dard-e-dil yaar rahaa dard se yaari na gai zindagi ham se to be-lutf gizaari na gai din ke naale na gae raat ki zaari na gai na gai dil se kabhi yaad tumhaari na gai ham to khun-gashta tamannaaon ke maatam mein rahe sina-kubi na gai sina-figaari na gai intizaar aap kaa kab lutf se khaali niklaa raaegaan raat kisi roz hamaari na gai bakhshvaayaa mujhe tum ne to khudaa ne bakhshaa na gai roz-e-jazaa baat tumhaari na gai log kahte hain badaltaa hai zamaana lekin din hamaaraa na gayaa raat hamaari na gai"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"bad-zan hain ahl-e-kaaba mujh dair-aashnaa se kahte hain mujh ko kaafir fariyaad hai khudaa se bedaad mohtasib ki fariyaad hai khudaa se barse sharaab ghar ghar mai-khvaar ki duaa se chitvan badal rahi hai naam aa gayaa vafaa kaa tevar bigaD rahe hain afsaana-e-vafaa se ham kyuun tumhein bataaein ham kyuun tumhein jataaein roz-e-jazaa na jaane maangeinge kyaa khudaa se vo puchhte hain mujh se kaise ho tum 'mubaarak' main kah rahaa huun achchhaa sarkaar ki duaa se"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi
Quote
"begaana-e-vafaa tiraa sheva hi aur hai ahl-e-vafaa kaa taur-tariqa hi aur hai dair o haram ki raah mein rakhte nahin qadam ham rah-ravaan-e-shauq kaa rasta hi aur hai dil bevafaa ke haath na bechegaa baa-vafaa tum se nahin banegaa ye saudaa hi aur hai allaah dil na tum ko taDaptaa huaa dikhaae dekhaa na jaaegaa ye tamaashaa hi aur hai jalva-farosh aap hain main dil-farosh huun aison se kyaa banegaa ye saudaa hi aur hai TukDe hain dil jigar ke 'mubaarak' ki sher hain ghazlon kaa aap ki to safina hi aur hai"
Mubarak AzimabadiMubarak Azimabadi