SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNomaan Shauque(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"din-ba-din ghaTti hui umr pe naazil ho jaae ik badan aur miri ruuh ko haasil ho jaae morche kholtaa rahtaa huun samundar ke khilaaf jis ko miTnaa hai vo aae miraa saahil ho jaae khel hi khel mein chhu luun main kinaaraa apnaa aise souun ki jagaanaa mujhe mushkil ho jaae lag ke bimaar ke siine se na ronaa aise zindagaani ki tarah maut bhi mushkil ho jaae rakh rahe hain tire patthar mire zakhmon kaa hisaab ab ye majmaa bhi mire kashf kaa qaael ho jaae is qadar der na karnaa ki ye aaseb-nagar raat kaa ruup le aur jism mein daakhil ho jaae jang apnon se hai to dil ko kinaare kar luun raaste mein yahi talvaar na haael ho jaae"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"aaThon pahar kaa ye tiraa mazdur aa gayaa jannat ke dvaar khol miri huur aa gayaa paighambari kaa daa'vaa nahin 'aashiqi kaa hai patthar na maariye jo sar-e-tur aa gayaa sab ne suni jo raat ki lalkaar Dar gae siina thaa jis kaa nuur se maa'mur aa gayaa aaghosh us ki aisi puraani sharaab thi nashshe mein khvaahishon ke bahut duur aa gayaa basta uThaaiye ki ye maktab nahin hai vo basti badal gai nayaa dastur aa gayaa kyaa chaahiye ghulaam ko bas ik nazar ki bhiik shartein tamaam aap ki manzur aa gayaa"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"zamin hasb-e-zarurat ugaai jaati hai phir ek saanche mein khilqat banaai jaati hai khabar mein hain jo kai zar-kharid qissa-go hamein unhin ki kahaani sunaai jaati hai hamaari bazm mein jalte nahin charaagh ke saath yahaan charaagh ki dahshat jalaai jaati hai tamaam raat kaa jaagaa huun maa'zarat mire dost buraa na maan agar niind aai jaati hai hamaare jaam mein ilzaam ke sivaa nahin kuchh hamein sharaab ki tohmat pilaai jaati hai main khud se jang kaa e'laan karne vaalaa huun jo haari jaati nahin hai haraai jaati hai hamaare 'ahd kaa sarmaaya hain ye taalib-e-‘ilm inhein kitaab se nafrat sikhaai jaati hai zamin par hai tamaam andhe 'aashiqon kaa hujum yahaan vafaa bhi nahin aazmaai jaati hai ye kaise khvaab ki takmil mein lagaa hai jahaan ki zahr de ke mohabbat sulaai jaati hai"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"nahin ki tab koi kaaghaz qalam na hotaa thaa vo husn hi thaa qayaamat raqam na hotaa thaa har aadmi ko vahaan milti us ke kaam ki daad khudaa kaa naam khudaa ki qasam na hotaa thaa to kyaa sunaataa farishton ko main kalaam-e-jahaan kisi ki baaton mein pahlu-e-zam na hotaa thaa zaraa si pi thi kabhi jaahilon ke saath sharaab nasha thaa 'ilm kaa aisaa ki kam na hotaa thaa do ek baar to jiite bhi khel khel mein ham magar malaal zaraa besh-o-kam na hotaa thaa hamein hi marnaa paDaa apnaa haal likhne ko kisi kaa dard kisi se raqam na hotaa thaa bahaae jaataa thaa sailaab aansuon kaa hamein kisi ki aankh kaa konaa bhi nam na hotaa thaa"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"tez aandhiyon ke saath guzaaraa huaa miraa pahnaa zamin ne jism utaaraa huaa miraa dekh aasmaan tere sitaare kahin nahin lekin chamak rahaa hai sanvaaraa huaa miraa tum bhi palaT ke aaoge vahshi sadaa ke saath ruktaa hai kitni der pukaaraa huaa miraa ik qatl se nimaT ke bahut khush huaa thaa main phir mujh mein ji uThaa vahi maaraa huaa miraa tere sivaa yaqin ke laaiq koi nahin is e'timaad mein bhi khasaaraa huaa miraa muddat ke baa'd khud pe huaa apnaa ikhtiyaar jo kuchh jahaan mein thaa tumhaaraa huaa miraa"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"saani nahin thaa us kaa koi baankpan mein raat angDaai le ke jaag uThi thi badan mein raat behuda raushni ki aziyyat thi shahr mein so ham ne tai kiyaa ki guzaareinge ban mein raat kal tum ne haal bhi nahin puchhaa gharib kaa kis tarh kaaTni paDi apne badan mein raat jis ne sabhi ko rang liyaa apne rang mein sach puchhiye to taaq hai bas ek fan mein raat auqaat mehr-o-maah ki maa'lum tab hui jab ham guzaar aae tiri anjuman mein raat chuntaa rahaa tamaam shab us ke badan se phuul aisaa lagaa ki tham si gai ho chaman mein raat"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"jab pher kar nigaah har apnaa paraayaa jaae mushkil ye hai ki aise mein kaun aazmaayaa jaae ham aag se Daraae hue log hain hamein ik mehrbaan nadi ke kinaare basaayaa jaae haan tum vafaa-parast ho bhukaa havas kaa main qasmein na khaai jaaein mujhe kuchh khilaayaa jaae bimaar se to puchhiye us ko hai kis kaa rog chaaragari ke vaaste kis ko bulaayaa jaae donon hi apni kashtiyaan zid mein jalaa chuke behtar hai aise 'ishq ko ab bhuul jaayaa jaae aanaa nahin hai jis ko nahin aaegaa kabhi aankhein bichaai jaaein ki ab dil jalaayaa jaae"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"jo tere saath zaraa der tak rukaa hotaa main ik khayaal se aage nahin gayaa hotaa faqir log rahe apne apne haal mein mast nahin to shahr kaa naqsha badal chukaa hotaa main apne dil se mukhaatib thaa taajiron se nahin ki naap tol ke sab kuchh kahaa sunaa hotaa vo baadshaah-e-mohabbat mein haar bhi jaate to saltanat kaa baDaa kaam ho gayaa hotaa koi to jaag gayaa hotaa baagh jalne tak miri sadaa se kisi kaa bhalaa huaa hotaa ham aise log to uktaa gae the 'ishq se bhi vo bevafaa nahin hotaa to jaane kyaa hotaa bhalaa huaa ki judaa ho gayaa vo jaadugar main band aankhein liye saath chal rahaa hotaa"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"jism-e-maslub kaa yak-lakht nayaa ho jaanaa saamne aanaa tiraa jashn bapaa ho jaanaa nisf imaan pe naachiz Tikaa hai kab se maan letaa nahin bande kaa khudaa ho jaanaa der tak us ne lagaae rakhaa siine se mujhe jis se sikhaa hai darakhton ne haraa ho jaanaa dushman-e-jaan ho agar aise khudaaon kaa hujum ham ne sikhaa nahin raazi-ba-razaa ho jaanaa aaj sar kaaT ke jannat nahin maangi tum ne hai buri baat namaazon kaa qazaa ho jaanaa aise mansube ko naakaam kareinge ham log is mein shaamil hai agar teraa khudaa ho jaanaa"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"apni aaghosh-e-faraaghat mein paDaa rahtaa huun vaqt itnaa hai ki hairat mein paDaa rahtaa huun aa bataataa huun tujhe kitni hasin hai duniyaa main jahaan teri mohabbat mein paDaa rahtaa huun tu mujhe jaantaa hai aur bahut jaantaa hai bas isi nashsha-e-shohrat mein paDaa rahtaa huun tujh se milne kaa bhi imkaan ziyaan lagtaa hai jaane kis 'aalam-e-vahshat mein paDaa rahtaa huun jaari-o-saari hai bas ek tamanna kaa tavaaf raat din hujra-e-hasrat mein paDaa rahtaa huun haath apne nahin baDhte kisi khvaahish ki taraf khaak uDti hai to khalvat mein paDaa rahtaa huun mujh ko baandhaa hai kisi shaam ki raqqaasa ne surmai husn ki chaahat mein paDaa rahtaa huun jism ki jaagti duniyaa mein andheraa kar ke main ki bas ruuh ki dahshat mein paDaa rahtaa huun"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"ik aan mein hui ojhal zamin nigaahon se koi pukaarne vaalaa nahin nigaahon se khudaa gunaah ki lazzat ko barqaraar rakhe na dekh aise mujhe khashmagin nigaahon se ghazal ke husn ko darkaar naazirin nahin ziyaada kaam na lein saama’in nigaahon se tamaam phuul mujhe rang se lubhaate the tamaam raushniyaan yaad thiin nigaahon se shuru’-e-‘ishq mein kam paD gae the jab alfaaz kai zabaanein taraashi gaiin nigaahon se main aasmaan pe thaa tum ko yaad to hogaa mujhe utaaraa gayaa baa’d-azin nigaahon se mire vo she'r bhi aae pasand us ko vaah chhupaa rakhaa thaa jinhein nukta-bin nigaahon se"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"biphar uTThaa zabaan se juun hi nikli baat bose ki idhar qillat mohabbat ki udhar ifraat bose ki main jis ki saltanat mein kaasa-bardaari pe raazi thaa usi shahzaadi ne ji bhar ke di khairaat bose ki mu'aafi kaa tasavvur hi nahin us ki shari'at mein kal us ne intiqaaman mujh pe ki barsaat bose ki zabaan kaa garm bosa sair jannat ki karaa laayaa zamin vaalo tumhein maa'lum kyaa auqaat bose ki labon ke donon misre lab se mauzun kar ke dekhe hain samajh mein yuun nahin aai hain maa’ruzaat bose ki to ai husn-e-azal tujh se ijaazat chaahtaa huun main ijaazat chaahte hain ab mire jazbaat bose ki labon par aakhiri ik mohr lag jaae to so jaaun vagarna khatm hogi hi nahin ye baat bose ki"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"is baar intizaam to sardi kaa ho gayaa kyaa haal peD kaTte hi basti kaa ho gayaa is baar sangsaar hue be-gunaah log ik raasta badan ki bahaali kaa ho gayaa jizya vasul kijiye yaa shahr ujaaDiye ab to khudaa bhi aap ki marzi kaa ho gayaa miTTi ke ik diye ki mujhe bad-duaa lagi lau de ke ek baar main miTTi kaa ho gayaa jalte makaan dekh ke log itne khush hue pal mein samaan hi jaise divaali kaa ho gayaa niklaa na main bhi ghar se suni main ne bhi vo chikh kitnaa baDaa ilaaqa sipaahi kaa ho gayaa"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque
Quote
"ham tashaddud ke isti'aare nahin kyaa koi saanp ko bhi maare nahin minnatein ki to thiin yazidon se main nadi huun mire kinaare nahin haath mein haath de to aauun main Dubnaa hai to phir pukaare nahin us se khud faasle baDhaae hain haar jiiti hai ham ne haare nahin tum bane ho baDi mohabbat se rang ne khud hi ruup dhaare nahin ab ye sailaab roko qattaalo ye mire aansuon ke dhaare nahin kashtiyaan main jalaa chukaa huun magar us ko samjhaao yuun pukaare nahin ye hi saabit karo ki so jaaein ho kisi aur ke hamaare nahin"
Nomaan ShauqueNomaan Shauque