SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAasi Ramnagri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"di gai tartib-e-bazm-e-kun-fakaan mere liye ye zamin mere liye hai aasmaan mere liye didani hai khud hi apne dil ke zakhmon ki bahaar hech hai rangini-e-har-gulsitaan mere liye zauq-e-sajda chaahiye kaisaa haram kaisi kunisht aastaan-e-dost hai har aastaan mere liye jaada-e-mehr-o-vafaa mein mar ke zinda ho gayaa maut hai meri hayaat-e-jaavidaan mere liye azm-e-kaamil ko mire har-gaam par manzil mili ban gaiin dushvaariyaan aasaaniyaan mere liye ho mubaarak hazrat-e-zaahid ko firdaus-e-jinaan hai dayaar-e-dost khuld-e-jaavedaan mere liye ham-navaaon ko mubaarak halqa-e-zulf-e-butaan muztarib zindaan mein hongi beDiyaan mere liye"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"sar jhukaae sar-e-mahshar jo gunahgaar aae us ke andaaz pe rahmat ko na kyuun pyaar aae jaam-o-paimaana se mai-khaana se kyaa kaam use ho ke saaqi ki nigaahon se jo sarshaar aae di sadaa dil ne zaraa aur bhi dushvaar ho raah raaste jab bhi mire saamne hamvaar aae zindagi kyuun na mire maut pe un ki jo log muskuraate hue zindaan se sar-e-daar aae main ne tazin-e-chaman ke liye khuun apnaa diyaa paae phuul auron ne hisse mein mire khaar aae baankpan apni tabiat kaa kabhi kam na huaa saamne apne koi laakh tarah-daar aae aise jaan-baazon ki ban jaae na kyuun maut hayaat muskuraate hue 'aasi' jo sar-e-daar aae"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"sarshaar huun saaqi ki aankhon ke tasavvur se hai koi gharaz mujh ko baada se na saaghar se is daur mein maikhaane kaa nazm niraalaa hai pi kar koi bahke ham ik jura ko bhi tarse kitne hain jo ik qatra se pyaas bujhaate hain sairaab nahin hote kuchh log samundar se hushiyaar bahut rahnaa hai aaj ke raahi ko jitnaa nahin rahzan se Dar utnaa hai rahbar se jurat ke dhani jo hain mai-khaana hi un kaa hai jurat na ho jis mein vo ik jaam ko bhi tarse us dil ko samajhnaa kuchh aasaan nahin pyaare ye sakht hai patthar se naazuk hai gul-e-tar se sochaa thaa na paimaana ab munh se lagaaungaa kyaa khair ho tauba ki jab ghir ke ghaTaa barse un se koi kah de vo khud apnaa muqaddar hain jo log gila karte hain apne muqaddar se"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"hain ahl-e-chaman hairaan ye kaisi bahaar aai hain phuul khile lekin hai rang na raanaai un ke rukh-e-rangin se is saaad-e-simin se phulon ne phaban paai suraj ne ziyaa paai sab mai-kade viraan hain sunsaan gulistaan hain kahne ko ghaTaa chhaai kahne ko bahaar aai madhoshi-o-masti kaa andaaz niraalaa hai mai rindon ne pi kam hi paimaanon se chhalkaai tanhaai mein rah kar bhi tanhaa nahin hote ham tanhaai mein yaadon ki jab chalti hai purvaai is daur mein jiinaa bhi kuchh kam nahin marne se naa-karda gunaahon ki jaise ho sazaa paai hanste hue marne ko tayyaar jo rahte hain aise hi jiyaalon ne jiine ki adaa paai is daur ke insaan kaa andaaz niraalaa hai apne ko adu samjhein ghairon se shanaasaai"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"ajiib shahr kaa naqshaa dikhaai detaa hai jidhar bhi dekho andheraa dikhaai detaa hai nazar nazar ki hai aur apne apne zarf ki baat mujhe to qatre mein dariyaa dikhaai detaa hai buraa kahe jise duniyaa buraa nahin hotaa miri nazar mein vo achchhaa dikhaai detaa hai nahin fareb-e-nazar ye yahi haqiqat hai mujhe to shahr bhi sahraa dikhaai detaa hai hain sirf kahne ko bijli ke qumqume raushan har ek samt andheraa dikhaai detaa hai ajiib haal hai sailaab ban gae sahraa jise bhi dekhiye pyaasaa dikhaai detaa hai"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"dhuup haalaat ki ho tez to aur kyaa maango kisi daaman ki havaa zulf kaa saaya maango us se kyaa kam hai kisi ke rukh-e-zebaa ki ziyaa maah-o-khurshid se kyuun un kaa ujaalaa maango jis ke baad aur na rah jaae tamannaa koi maangnaa ho jo khudaa se vo tamannaa maango khuub hai dard ki lazzat ye baDi daulat hai zakhm-e-dil ke liye marham na mudaavaa maango jis se chhaai hui haalaat ki zulmat chhaT jaae tum to khurshid ho khud se vo ujaalaa maango gar shab-e-gham ko sahar chaaho banaanaa 'aasi' kisi salmaa se ziyaa-e-rukh-e-zebaa maango"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"khvaab mein aao mire rangin khvaabon ki tarah paDh sakun tum ko main rumaani kitaabon ki tarah dijiye tashbih kyaa un ko mah-o-khurshid se ek chehra un kaa hai sau aaftaabon ki tarah chaahe gar insaan to ban sakti hai laa-faani hayaat zindagi insaan ki go hai habaabon ki tarah jaise mahfum-o-maaani se hon aari saare hi paDhtaa huun ik ek chehre ko kitaabon ki tarah tishnagi sab ki bujhaaein bahr-e-be-paayaan banein ban ke duniyaa mein rahein ham kyuun saraabon ki tarah"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"maanus ho gae hain gham-e-zindagi se ham ham ko khushi mile to na leinge khushi se ham phulon ki aarzu na kareinge kisi se ham kaanTe sameT laae hain un ki gali se ham ham shaam-e-gham ko subh-e-masarrat kaa naam dein suraj karein tulua na kyuun tirgi se ham sach ke liye ham aaj ke suqraat ban gae piite hain jaam zahr kaa apni khushi se ham ham mil ke khud se khud ko bhi pahchaante nahin apne liye bhi ban gae hain ajnabi se ham gham khaate khaate ho gayaa maanus-e-gham mizaaj ho jaate hain fasurda-o-mahvar khushi se ham ham ko vatan mein ab koi pahchaantaa nahin apne vatan mein phirte hain ab ajnabi se ham ban jaaein kyuun na khud hi numud-e-sahar ki zau 'aasi' ziyaa talab na karein tirgi se ham"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"qafas-nasibon kaa uf haal-e-zaar kyaa hogaa phir aa rahi hai chaman mein bahaar kyaa hogaa dil-o-jigar pe liye honge zakhm kitnon ne koi hamaari tarah dil-e-figaar kyaa hogaa isi khayaal se main arz-e-shauq kar na sakaa hayaa se rang-e-rukh-e-taab-daar kyaa hogaa bahaar de na saki ek phuul ko bhi nikhaar khizaan ke saath hai rang-e-bahaar kyaa hogaa fasurda laala-o-gul hain ravish ravish hai udaas chaman mein aise mein jashn-e-bahaar kyaa hogaa khadang-e-naaz ne kuchh is tarah kiyaa zakhmi jo dil ke zakhm hain un kaa shumaar kyaa hogaa kabhi ki TuuT gai aas raat bhiig gai kisi ke aane kaa ab intizaar kyaa hogaa"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"asiraan-e-qafas aisaa to ho tarz-e-fughaan apnaa ki ho sayyaad khud bhi rafta rafta ham-zabaan apnaa kiye jaa kaam haan ai gardish-e-daur-e-zamaan apnaa hamein bhi dekhnaa hai kaise miTtaa hai nishaan apnaa adu hain bijliyaan apni na dushman aasmaan apnaa hamein khud apne haathon phunkte hain aashiyaan apnaa na kho de sust-gaami ham ko baazi-gaah-e-hasti mein na gard-e-kaarvaan rah jaae ban kar kaarvaan apnaa chaman ke patte patte par hain yaarab bijliyaan qaabiz kahaan le jaaein murghaan-e-chaman ab aashiyaan apnaa urus-e-manzil-e-maqsud mil hi jaaegi ik din yunhi chande rahaa garjaa vo paimaa kaarvaan apnaa jalaa dein ham qafas ki titliyaan shoala-navaai se har ik murgh-e-chaman 'aasi' agar ho ham-zabaan apnaa"
A
Aasi Ramnagri
Quote
"manzil pe le ke pahunchegaa azm-e-javaan mujhe kah do na saath le ke chale kaarvaan mujhe suntaa huun phir chaman mein hui khema-zan bahaar aae na kyuun qafas mein bhi yaad aashiyaan mujhe khoyaa huaa huun un ke tasavvur mein is tarah jaise sunaae un ki koi daastaan mujhe ye jab bhi aai laai naved-e-bahaar bhi phir kyuun bahaar se na ho pyaari khizaan mujhe main ho gayaa huun kab se nasheman se be-niyaaz kah de koi Daraae na barq-e-tapaan mujhe ik vaqt thaa chaman ke liye mar miTe the ham rahne usi chaman mein na de baaghbaan mujhe"
A
Aasi Ramnagri