SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Ameer Pasha(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mizaan-e-vaaqiaat mein tolaa nahin gayaa itnaa vo naa-sipaas thaa likkhaa nahin gayaa khushbu ki aarzu mein sazaa qaid ki hui sahraa uThaa ke laae to puchhaa nahin gayaa yuun bhi main apne baare mein kuchh likh nahin sakaa lafzon kaa shor aisaa thaa sochaa nahin gayaa donon ko fart-e-shauq ne lab-basta kar diyaa vo chup rahaa to ham se bhi bolaa nahin gayaa qarz-e-firaaq main ne mukammal chukaa diyaa lekin mire hisaab se kaaTaa nahin gayaa kaise bhalaa fasaane mein sach ki talaash ho lafzon kaa her-pher hi pakDaa nahin gayaa aise safar-nasib hain pushton se ham 'amir' ab tak hamaare paanv kaa chhaalaa nahin gayaa"
Ahmad Ameer PashaAhmad Ameer Pasha
Quote
"khaamushi mein hi laa-javaab na thaa muskuraahaT kaa bhi hisaab na thaa main use harf harf paDhtaa gayaa vo agarche khuli kitaab na thaa ek muddat se so rahe hain log phir bhi aankhon mein koi khvaab na thaa jhiil mein raat bhar thaa kyaa raqsaan teraa paikar to zer-e-aab na thaa marne vaalon ki thi jazaa ki vaiid jiine vaalon kaa ehtisaab na thaa zarf ke imtihaan mein ab ki baar ek bhi shakhs kaamyaab na thaa yuun to behad sakhi thaa dil kaa 'amir' vo magar saahab-e-nisaab na thaa"
Ahmad Ameer PashaAhmad Ameer Pasha
Quote
"haalaat mire dil ko lagaane nahin dete aankhon mein tire khvaab sajaane nahin dete zulmat ke pujaari to bahut tang-nazar hain jashn-e-shab-e-taarik manaane nahin dete aankhon pe to bilkul hi koi bas nahin chaltaa ham khud ko tiri bazm mein jaane nahin dete jannat ki duaaein mujhe dete hain sabhi log is ahd mein jiine ke bahaane nahin dete nafrat ki rivaayaat ke paaband hain lahje ruThe hue logon ko manaane nahin dete kuchh khvaab miri zaat se baDh kar bhi to hain jo phir dil ko tiri aas lagaane nahin dete sukhe hue phuul aur tire lams ki khushbu sadma tire jaane kaa bhulaane nahin dete goyaai hai paaband-e-salaasil ki 'amir' ab sahraa mein bhi aavaaz lagaane nahin dete"
Ahmad Ameer PashaAhmad Ameer Pasha
Quote
"vaqt rakhtaa hai jo sambhaal ke log DhunD kar laa vahi kamaal ke log tu ne dekhaa junun ke mele mein kitne shaidaai the dhamaal ke log kaash mar jaae tu uruuj mein hi muntazir hain tire zavaal ke log mar gae aap ghup andhere mein chaand teri taraf uchhaal ke log yaad ki khushk jhiil mein aksar baiThe rahte hain paanv Daal ke log tere dukh mein sharik hone ko khud ko laae hain gham mein Dhaal ke log mubtalaa-e-hazaar-gham huun magar hans ke milte hain khaanevaal ke log"
Ahmad Ameer PashaAhmad Ameer Pasha
Quote
"mohabbat ko riyaa ki qaid se aazaad karnaa hai hamein phir aarzuon kaa nagar aabaad karnaa hai shikast-e-faash deni hai man-o-tu ke ravayyon ko maraasim ki bahaali kaa hunar ijaad karnaa hai ye kyaa jabr-e-taalluq hai ki phir tere havaale se kisi ko bhuul jaanaa hai kisi ko yaad rakhnaa hai guzishta 'ahd mein bhi jurm thaa ye kaar-e-haq-goi hamaari nasl ko bhi ye ba-sad uftaad karnaa hai kai digar havaale bhi surur-o-raahat-e-dil hain gae mausam ki nisbat se tumhein bhi yaad karnaa hai hamaare she'r agar jazbon ko khushbu de nahin sakte to phir to she'r kahnaa vaqt ko barbaad karnaa hai"
Ahmad Ameer PashaAhmad Ameer Pasha
Quote
"ek aalam pe baar hain ham log aadatan sogvaar hain ham log gardish-e-paa junun baDhaati hai sang-e-rah ki pukaar hain ham log pichhli sab ranjishon ko bhuul bhi jaa ab tire gham-gusaar hain ham log jaante hain hunar mohabbat kaa ahl-e-dil mein shumaar hain ham log ab hamein log hans ke milte hain ab bahut saazgaar hain ham log ham ne mafhum ko zabaan di hai harf kaa e'tibaar hain ham log koi chehra to raushni laae vaahimon kaa shikaar hain ham log ab tiri dosti ke qaabil hain dil-girafta-o-dil-figaar hain ham log dil churaane kaa kaam karte hain bar-sar-e-rozgaar hain ham log ek pal bhi sukun nahin miltaa kis qadar be-qaraar hain ham log shahryaari bhi ik nasha hai 'amir' tere hisse kaa pyaar hain ham log"
Ahmad Ameer PashaAhmad Ameer Pasha
Quote
"tumhaari tishna-nigaahi kaa ehtiraam karein furaat-e-dasht-e-tamannaa tumhaare naam karein ye hijr un ko milaa hai unhi ki khvaahish par ab ahl-e-dard ye jiine kaa ehtimaam karein tumhaari bazm mein kuchh bhi samajh nahin aataa kise ishaara karein aur kise salaam karein bahut zaruri hai ye dhuup Taalne ke liye shajar lagaa ke tire falsafe ko aam karein mukhaalifat bhi maza deti hai agar ham log mukhaalifat ke usulon kaa ehtiraam karein tumhaare vasl ki khushiyon mein dil ye kartaa hai tumhaare naam par aazaad ik ghulaam karein yahi to pahlaa sabaq hai zamaana-gardi kaa baghal mein le ke chhuri munh mein raam raam karein hisaar-e-jaan se bahut unchi ho gai hai 'amir' fasil-e-jabr giraane kaa intizaam karein"
Ahmad Ameer PashaAhmad Ameer Pasha
Quote
"nahin kuchh masala ham ko gharon kaa bahut dushvaar hai basnaa dilon kaa use kahnaa mujhe ijaad kar le mudaavaa huun main us ke sab dukhon kaa tumhaare jaal le kar uD rahaa huun karishma hai mire TuuTe paron kaa tumhaare baad bhi tanhaa nahin huun lagaa hai ek mela ratjagon kaa tumhaari aankh kaa moti hai naadir hamaaraa dil bhi taajir hai nagon kaa kai naslein apaahij kar gayaa hai ye jhagDaa thaa koi ghar ke baDon kaa baraah-e-raast hain suraj ki zad mein khudaa-haafiz ho in unche gharon kaa baDaa shaatir siyaasat-daan hai vo use maalum hai bhaav saron kaa"
Ahmad Ameer PashaAhmad Ameer Pasha