Quote
"miraa ham-safar kabhi vahm thaa kabhi khvaab thaa kabhi kyaa rahaa main ajiib haal mein mast thaa so miraa mazaaq banaa rahaa miri mushkilon ne ayaan kiyaa miraa yaar dost koi nahin so qabil-e-hirs-o-havaas mein main akelaa DaT ke khaDaa rahaa mire aashiyaan ko jalaa gaiin mire khaam soch ki hiddatein miraa sar hayaa se na uTh sakaa main nadaamaton mein paDaa rahaa tujhe fakhr thaa tire husn par mujhe zoam thaa mire ishq kaa tu paDi rahi kisi sej par main bhi gard-e-raah banaa rahaa tire lams lams se ji uThaa mire sard jism kaa rome rome tu miri gali se chali gai main tiri gali mein paDaa rahaa mire baagh-e-dil pe khizaan rahi miri shaakh shaakh ujaD gai mire paanv khuun se tar-ba-tar miraa zakhm yuun bhi haraa rahaa"







