Quote
"shaam ki dhund se ik husn ne jhaankaa to koi nazm hoi bas-ki phir gham vahi ik gham jo khush aayaa to koi nazm hoi dil-e-be-taab mohabbat ki malaamat kaa amiin Dar saa gayaa rah badalnaa kabhi us shakhs ne chaahaa to koi nazm hoi kis kaa saaya thaa kaDi dhuup mein ik aur alaav kaa bayaan kaun thaa zakhm miraa mujh ko dikhaayaa to koi nazm hui vaqt ke dida-e-be-rahm ko maalum thaa kyaa chhinaa hai khaali haathon ko bhari aankh se dekhaa to koi nazm hoi khvaab ki titli ke TuuTe hue par aur bikharte hue rang is kamaai kaa kabhi sadqa utaaraa to koi nazm hoi"
A
Aila Tahir






