SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAlamdar Adam(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"koi bhi rasm ho kuchh ho bahaanaa hotaa thaa na jaane kyaa thaa ki milnaa milaanaa hotaa thaa kisi se milte agar dil se ho ke milte the ajiib log the kaisaa zamaana hotaa thaa vo laD-jhagaD ke bhi ik dusre pe marte the ye sab to thaa hi magar aanaa-jaanaa hotaa thaa koi bhi toD nahin ahd-e-yaad-e-maazi kaa hazaar gham the magar muskuraanaa hotaa thaa ye tarbiyat thi gharon mein har ek beTi ko kisi bhi haal mein ho ghar bachaanaa hotaa thaa varaq varaq the kitaabon ke mo'atabar itne har ek lafz ko dil mein basaanaa hotaa thaa agar thaa ishq to is mein bhi aisi shiddat thi bhanvar mein aise hi bas kuud jaanaa hotaa thaa"
Alamdar AdamAlamdar Adam
Quote
"aise raste pe aa gayaa huun main jaise patthar koi hai yaa huun main us ne puchhaa hayaat kaa qissa kyaa bataaungaa sochtaa huun main vaqt ghaDiyon ke darmiyaan hai kahin saare mehvar pe ghumtaa huun main mujh se puchho na maajraa dil kaa reza-reza judaa judaa huun main mujh se kahti hai meri khaamoshi shor kartaa huun chikhtaa huun main ab to ik naam hai zamaane mein ab to naqshe pe aa gayaa huun main mere andar hazaar-haa chehre kitnaa marbut aaina huun mein ishq kartaa hai apni man-maani tum samajhte ho sar-phiraa huun main kis ne mujh ko 'adam' pukaaraa hai kis kaa lahja hai dekhtaa huun main"
Alamdar AdamAlamdar Adam
Quote
"hamein pataa bhi nahin kis ki vo kahaani thi vo is qadar thi nai ki bahut puraani thi kabhi jo dekh liyaa us ko dekhte hi rahe vo apne aap mein Thahri hui ravaani thi tumhaari yaad kaa rakkhaa hai canvas varna hamaare khvaab ne surat nai banaani thi tumhaare paas to qisse kahaaniyaan hain bahut kabhi jo ham ne kahi bhi nahin sunaani thi ye rishte naate faqat bojh thaa ki Dhone the vafaa bhi sochiye aise hi bas nibhaani thi vahin pe khaak se milnaa thaa khaak honaa thaa usi ke shahr mein shohrat agar kamaani thi vo roz roz kaa marnaa kamaal thaa lekin ye zindagi to miri jaan aazmaani thi"
Alamdar AdamAlamdar Adam