SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAli Akbar Abbas(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ham apne kheton mein hosh boeinge fasl-aavar havaas deinge zamin ke nange badan ko aakhir pahaaD kab tak libaas deinge farosh-gaahon se jins-e-taaza kabhi ki naayaab ho chuki hai ye kaar baa-iztiraab chamke ham apni jaanon ki raas deinge ham aab-bardosh Daainon ke gale mein kaanTe utaar deinge ki un ke honTon se khuun barse kuchh aisi shiddat ki pyaas deinge haraarat-o-baardat ki khoji havaaein mahv-e-safar raheingi badalti rut ki khabar hamesha tuyur-e-mausam-shanaas deinge har aae mausam mein konpalon ko sipaas-baar-aavari milegaa to shaakh-e-naa-varda-e-samar ko sazaa-e-radd-e-sipaas deinge"
Ali Akbar AbbasAli Akbar Abbas
Quote
"kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi paanv aan gire dariyaa kabhi mujhe bahaa kar le jaae kabhi mujh mein aan bahe dariyaa gaataa huun mere sur mein sur mil jaae us ki lahron kaa meri aankh mein aansu dekhe to phir apni aankh bhare dariyaa main apni use sunaataa huun vo apni mujhe sunaataa hai main chup to vo bhi chup hai aur main kahun to baat kahe dariyaa kahin barf lapeTe baiThaa hai kahin ret bichhaa kar leTaa hai kabhi jangal mein Deraa Daale kabhi basti aan base dariyaa ai dariyaa! teraa paaT baDaa, ai dariyaa! teraa zor baDaa ai dariyaa! gum ho kar tujh mein qatre kaa naam paDe dariyaa ai shaaer! teraa dard baDaa ai shaaer! teri soch baDi ai shaaer! tere siine mein is jaisaa laakh bahe dariyaa"
Ali Akbar AbbasAli Akbar Abbas
Quote
"main lauh-e-arz pe naazil huaa sahifa huun dilon pe sabt huun peshaaniyon pe likkhaa huun puraani rut miraa muzhda sunaa ke jaati hai nai ruton ke jilau mein sadaa utartaa huun main kaun huun mujhe sab puchhne se Darte hain main roz ek nae karb se guzartaa huun main ek zinda haqiqat huun kaun jhuTlaae jo honT band rahein aankh se chhalaktaa huun khuli havaa mein jo aauun to raakh ban jaaun abhi main zer-e-zamin huun magar ubaltaa huun kisi tarah to saveron ki aankh khul jaae main shahr shahr mein suraj uThaae chaltaa huun"
Ali Akbar AbbasAli Akbar Abbas
Quote
"bosida khadshaat kaa malba duur kahin dafnaao jismon ki is shahr-e-panah mein taaza shahr basaao saare jism kaa resha resha soch ki quvvat paae phir har saans kaa haasil chaahe sadiyon par phailaao apnaa aap nahin hai sab kuchh apne aap se niklo badbuein phailaa detaa hai paani kaa Thahraao muddat se kyuun chaaT rahe ho lafzon ki divaarein siine mein makhfi khaakon ki vaazeh shakl banaao apnaa apnaa kafan utaarein laashein uDti jaaein pyaasi zabaan nikaale dharti chaaTe apne ghaao"
Ali Akbar AbbasAli Akbar Abbas
Quote
"zabaan chup hai magar zehn ro rahaa hai lahu ki jite-jaagte logon kaa so rahaa hai lahu tamaam umr milaa zahr is tasalsul se ki apne-aap mein tiryaak ho rahaa hai lahu ragon mein utri hai jo shai vo naa-muvaafiq hai ki saare jism mein kaanTe se bo rahaa hai lahu bas ek daaere mein raqs kar rahe hain havaas khayaal hai ki bagula bilo rahaa hai lahu har ek lahza utarti kasaafatein mujh mein aur ek gardish-e-paiham mein dho rahaa hai lahu koi kumak to mile ab mudaafaat ke liye vagarna rang ki taaqat bhi kho rahaa hai lahu"
Ali Akbar AbbasAli Akbar Abbas
Quote
"shuaaein aise mire jism se guzarti gaiin lahu mein jaise mire kirchiyaan utarti gaiin na jaane chehre huun aainda nasl ke kaise bas ek khauf se meri ragein sikuDti gaiin mujhe to lagte hain naakhun bhi apne zahr bujhe mere liye to miri ungliyaan bhi marti gaiin jazire kitne garaan paaniyon ki god mein hain panaah ke liye sochein miri bikharti gaiin ye gardishon kaa tavaazun bigaD na jaae kahin isi tarah jo zamin ki tahein udhaDti gaiin khalaa hayaat ke imkaan se to nahin aari pa justujuein kuchh apni hi maand paDti gaiin"
Ali Akbar AbbasAli Akbar Abbas
Quote
"andheri bastiyaan raushan manaare Duub jaaeinge zamin roti rahi to shahr saare Duub jaaeinge jhulas deingi jo sahraai havaaein reshmi saae dhuein ke zahr mein rangin nazaare Duub jaaeinge abhi se kashtiyaan sab saahilon ki samt rukh moDein ki jab tufaan aayaa phir ishaare Duub jaaeinge baDhegi un ki lau koi agar sinche haraarat se barasti barf mein saare sharaare Duub jaaeinge yunhi palte rahe gar hasht-paa is jhiil ki tah mein kisi din sath par hanste shikaare Duub jaaeinge fareb-e-maah-o-anjum se nikal jaaein to achchhaa hai zaraa suraj ne karvaT li ye taare Duub jaaeinge chaTaanon par karein kanda nishaani apne hone ki sunahre kaaghazon ke goshvaare Duub jaaeinge"
Ali Akbar AbbasAli Akbar Abbas