Quote
"hasb-e-maqsud ho gayaa huun main raakh kaa duud ho gayaa huun main ek kamre talak basirat hai kitnaa mahdud ho gayaa huun main naam pahle baraae-naam to thaa ab to mafqud ho gayaa huun main yuun khinche muflisi mein sab rishte jaise mardud ho gayaa huun main manfaat baanTtaa rahaa kal tak aaj be-sud ho gayaa huun main shahr radd-o-qubul mein aa kar bud-o-naabud ho gayaa huun main umr ki naa-rasaa masaafat mein gard-aalud ho gayaa huun main huzn ki yaas ki vadiat par ain masud ho gayaa huun main baab-e-shahr-e-sukhan huaa thaa 'ali' nutq-e-masdud ho gayaa huun main"







