SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAli Raza Aseer(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"puraane jitne bache the bahaa diye aansu nae hain gham hain nae zakhm hain nae aansu jo dil pe zulm ki had ho nikal paDe aansu palak pe bojh jo baDh jaae tab gire aansu phir aa gae hain jo aankhon mein to kareinge hi tamaam zakhm mire dil ke phir hare aansu mire liye vo kam-az-gauhar-e-nashaat nahin mire liye ho to bekaar kyon bahe aansu na tere jaisi dulhan hogi phir ramaane mein jo teri palkon pe aa jaae aur saje aansu musaafiron ki thakan ke liye the khaana-e-chashm musaafiron ki tarah aae aur gae aansu nazar jamaae hue hai vo teri aankhon par tu apni aankh ke andar sameT le aansu hansi vo shai ki labon mein dabe to chhup jaae ubal ke aataa hai aankhon mein gar dabe aansu judaa ho khaar se gul yaa ho gul se khaar judaa nikaal pheinko agar aankh mein chubhe aansu"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"aankh mein aansu na izhaar-e-pashemaani ke saath maa'zarat vo kar rahaa hai kitni aasaani ke saath mashvara har saahab-e-'aql-o-khirad ko hai miraa 'ishq karnaa ho to karnaa dil ki naa-daani ke saath zor-e-baazu-e-ghulaamaan-e-hakam mahdud hai pesh-e-sultaan dil nahin jhuktaa hai peshaani ke saath tum chalo aage ki thoDi der mein aataa huun main dasht mein kuchh der baiThungaa main viraani ke saath khud bhi hairat mein huun jaise dost se miltaa huun main hai vahi bartaav meraa dushman-e-jaani ke saath saath hi jannat ke aa jaataa hai dozakh kaa khayaal aag bhi mashhur hoti jaati hai paani ke saath maut to aai magar ik baar mein aai nahin mushkilein aasaan huiin kitni pareshaani ke saath hai ye ik sangin 'alaamat bhuul jaane ki tujhe yaad kartaa hai tujhe dil jis faraavaani ke saath shaakh-e-chandan se lipaTte naag ki yaad aa gai misra'-e-ulaa jo mahkaa misra'-e-saani ke saath"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"masarraton kaa samaan barqaraar rakhnaa hai tire badan kaa gumaan barqaraar rakhnaa hai lahu ki surkhi ko aankhon mein qaid kar lenaa jale jo dil to dhuaan barqaraar khanaa hai dil-o-dimaagh mein an-ban hai shahr-e-jism mein phir mizaaj-e-amn-o-amaan barqaraar rakhnaa hai ai husn tujh ko sahar tak miri in aankhon par tilism-e-khvaab-e-butaan barqaraar rakhnaa hai hai be-qaraar miraa dil to kyaa khabar us ko qaraar us ko kahaan barqaraar rakhnaa hai zamaana vajh hai ham mil nahin sake to hamein bas ek rabt-e-nihaan barqaraar rakhnaa hai badan pe zoaf agar ho to siine mein mujh ko marun to qalb-e-javaan barqaraar rakhnaa hai 'asir' sher tumhaare garaan zamaane par tumhein ye tarz-e-bayaan barqaraar rakhnaa hai"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"to aap apni zabaani sunaaein bismillaah asiir apni kahaani sunaaein bismillaah 'asir' aap ki kis tarah ki javaani thi thi kaisi us ki javaani sunaaein bismillaah dahan se bu-e-chaman aati hai to aane dein gulon ki shola-bayaani sunaaein bismillaah rabaab nazm hai yaa phir maaani-e-ulfat vo nazm phir ba-ma'aani sunaaein bismillaah puraane zakhmon ko taaza karein ki ham ko ghazal nai ke baa'd puraani sunaaein bismillaah khayaal-e-hijr se jis ko thi be-panah taklif kyon us ne hijr ki Thaani sunaaein bismillaah savaal-e-ishq-o-junun par zabaan se aap apni javaab-e-husn-o-javaani sunaaein bismillaah tamaam umr jo naazil hue hain aap pe vo sahifa-haa-e-giraani sunaaein bismillaah labon ko pyaas ke kaanon pe rakh dein aur paDh kar kitaab-e-tishna-dahaani sunaaein bismillaah ruki hain misra-e-ulaa pe dhaDkanein sab ki 'asir' misra-e-saani saani sunaaein allaah"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"lahad se yaad ki ik roz phir uThi aao khudaa-na-khaasta tum lauT kar chali aao khudaa-na-khaasta main jaag uThun achaanak phir jo ek din kai raaton ki tum jagi aao khudaa-na-khaasta main bhuul jaaun phir tum ko main yaad kar hi na paaun jo yaad bhi aao khudaa-na-khaasta munh pherne lagun tum se jo mere saamne har din lagi bandhi aao khudaa-na-khaasta main DhunDne lagun tum ko nazar ke saamne jab tum kabhi kabhi aao khudaa-na-khaasta tum bhi vafaa ki baat karo jo apne aap ke meaar se giri aao khudaa-na-khaasta main tum se duur jaane lagun miri taraf ko jo be-saakhta khinchi aao khudaa-na-khaasta ho jaae phir bahaal vo rang qarib 'asir' ke jab ban ke shaaeri aao"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"laati hai subh nuur ke paighaam roz roz chhiDtaa hai saaz-e-gardish-e-ayyaam roz roz hoti hai roz roz yahaan subh jis tarah hoti isi tarah hai yahaan shaam roz roz paane ki bhulne ki tujhe vaqt-e-marg tak karte raheinge koshish-e-naakaam roz roz aaghaaz ikhtitaam mein apne vajud kaa dekheinge apni aankh se anjaam roz roz divaar mein sar apnaa jo maarun to gunjegaa aataa hai zehn mein jo tiraa naam roz roz har shab ko aansuon mein nahaai hui hai aankh dil le rahaa hai khuun mein hammaam roz roz"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"hanuz yaad hai vo lamha-e-khitaab tiraa mire hazaar savaalon pe ik javaab tiraa hai ab bhi yaad mire dil ko aag bakhshte vaqt machal rahaa thaa jo honTon kaa iltihaab tiraa shabon ko der se bedaar aashiqi thi yahaan badal rahaa thaa vahaan karvaTein shabaab tiraa libaas-e-shab ko kiyaa thaa sahar ne zeb-e-tan ki main ne dekhaa thaa bas jalva-e-hijaab tiraa nazar mile jo dobaara to tujh ko lauTaa duun jo khvaab palkon ne meri liyaa thaa daab tiraa tiri gali mein jo pahunchaa to main ne ye dekhaa miri nigaah se hairaan thaa husn-e-baab tiraa"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"khud gard the to gard ki poshaak ho gae apni tahon mein jaa ke tah-e-khaak ho gae ho kar rahe zamin pe ham haazir-e-zamaan aur jab gae to ghaaeb-e-aflaak ho gae aisaa bhi kyaa gunaah ki uThte hi hashr mein allaah-paak ham pe ghazabnaak ho gae kaj-fahmi-e-charaagh-e-'ufuq hai to kyaa karein didaar-e-sham'-e-subh thaa chaalaak ho gae jo khush the zindagi mein hue vo mazid khush jo khush nahin the aur alam-naak ho gae phir jangalon ki samt ho insaan ki vaapsi un jangalon se shahr khatarnaak ho gae"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"kis tarah sar pe baar-e-mazaamin uThaaiye ru-e-sukhan se parda-e-zarrin uThaaiye josh-e-siyaahi-e-qalam-e-khush-ravish se phir har har qadam pe chashma-e-rangin uThaaiye qaid-e-rasan ki dast-e-hunar par jo hai girah apni mizha ki nok se tazmin uThaaiye koi bhi kaam dahr mein aasaan hi nahin ab tohmat-e-jaraaem-e-sangin uThaaiye ham hain anaa-parast nahin khil'atein pasand kyon dosh par 'ataa-e-salaatin uThaaiye ye kaam bhi banegaa sabab khud pe naaz kaa jhukiye 'asir' laasha-e-khud-bin uThaaiye"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"tartib-e-vaaqi'aat kahaani na ho saki lafzon pe kuchh girift-e-ma'aani na ho saki tum se 'ilaaj-e-zakhm-e-nihaani na ho sakaa ham se numud-e-zakhm-e-nihaani na ho saki ghusse mein husn jhaaD rahaa thaa dahan se phuul ghusse mein us se sho'la-bayaani na ho saki tu ne diyaa thaa jo bhi vo ham ne jalaa diyaa koi bhi chiiz teri nishaani na ho saki tu vo 'ajib misra'-e-ulaa hai meri jaan jis par nishast-e-misra'-e-saani na ho saki vo aankh jis se khuun Tapaktaa hai aaj tak vo aankh jis se ashk-fishaani na ho saki us paar jaa ke pyaas bujhaataa magar 'asir' dariyaa ke paar tishna-dahaani na ho saki"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer
Quote
"khaak se khaak ki tasvir nikal aati hai paaon haTtaa hai to taqdir nikal aati hai kuchh zabaan se to kahaa jaataa nahin hai din mein raat tak aap ki tahrir nikal aati hai baat par baat nikalti hai koi hal to nahin baat baDhti hai to shamshir nikal aati hai dard maan-baap kaa sab baanTne aate hain magar dard ke naam pe jaagir nikal aati hai she'r kahtaa huun ki tanhaa huun magar she'ron se bazm mein jaane ki tadbir nikal aati hai gar pahunchnaa ho kahin jald to darvaaze se mujh se pahle miri taakhir nikal aati hai Hiddat-e-jism se gal jaataa hai ye halqa 'asir' aur phir paaon ki zanjir nikal aati hai"
Ali Raza AseerAli Raza Aseer