SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAmeer Chand Bahar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"palTeinge rukh apnaa kab ye maah ye saal aakhir kab tak hamein rahnaa hai yuun gham se niDhaal aakhir kyaa had se guzarnaa ye ai mast-e-kamaal aakhir har chiiz ko duniyaa mein laazim hai zavaal aakhir vo satvat-e-qaisar ho yaa hashmat-e-iskandar mil jaataa hai miTTi mein sab jaah-o-jalaal aakhir main tujh ko bataataa huun kyaa ishq mein hotaa hai armaan-o-talab avval andoh-o-malaal aakhir ye ishq jise tu ne ik mashghala samjhaa hai kar degaa tiraa jiinaa khud tujh pa muhaal aakhir mahrumi-o-naakaami dil-sozi o jaan-kaahi hotaa hai mohabbat kaa aksar ye maaal aakhir mujh sokhta-saamaan ke pahlu-e-mohabbat mein aaya hai ghazal ban kar vo zohra-jamaal aakhir qismat ko jagaane mein ghaflat ko haTaane mein ban jaaeinge ik din ham aap apni misaal aakhir zeb-e-varaq-e-dil hai ye qaul 'bahaar' apnaa takmil-e-riyaaz avval tahsil-e-kamaal aakhir"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"vo be-khud-e-shabaab vo simin-badan kahaan main gham-nasib kushta-e-ranj-o-mehan kahaan dil mein kisi ki yaad ne phir li hain chuTkiyaan aankhon mein chhup gayaa hai vo ghuncha-dahan kahaan duniyaa-e-rang-o-bu mein usi kaa thaa ehtimaam vo gul-badan nahin to bahaar-e-chaman kahaan aaraam aa chukaa hai dil-e-be-qaraar ko agli si vo khalish vo kasak vo chubhan kahaan fikr-e-maaash ne hamein sab kuchh bhulaa diyaa ab vo bisaat-e-aish vo bazm-e-sukhan kahaan marte hain ab bhi baada-o-shaahid ke naam par ahl-e-vatan mein jazba-e-hubb-e-vatan kahaan saaraa jahaan apnaa vatan ab to hai 'bahaar' kyon mujh se puchhiye ki hai meraa vatan kahaan"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"gham-e-hayaat ki aakhir koi davaa bhi hai faraar kaa koi duniyaa mein raastaa bhi hai ham uTh to jaaein tiri bazm-e-naaz se lekin tire baghair koi apnaa aasraa bhi hai tiri nigaah mein ThanDak hai chaandni ki si ye dil-fareb bhi hai aur dilrubaa bhi hai bahut sataayaa huaa huun main jis sitamgar kaa usi kaa shaam-o-sahar lab pa tazkira bhi hai kisi gharib ki suntaa hai kab koi fariyaad gharib ko koi duniyaa mein puchhtaa bhi hai kisi ki madh-bhari nazron ke jaam piitaa hai 'bahaar' rind bhi hai aur paarsaa bhi hai"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"ye kaif-e-husn us pe ye masti shabaab ki ye aap hain ki mauj hai koi sharaab ki suuni hai bazm-e-aalam-e-imkaan tire baghair zulmat hai raushni bhi shab-e-maahtaab ki kyon meri laghzishon pa zamaana hai taana-zan sab laghzishein muaaf hain ahd-e-shabaab ki zauq-e-salim chaahiye shaair ke vaaste haajat hai mai-kashi ki na fan par kitaab ki vo sard sard aahein vo akhtar-shumaariyaan dilchaspiyaan thiin ye mire ahd-e-shabaab ki jazbaat-e-husn-o-ishq se labrez ye ghazal tasvir hai kisi dil-e-khaana-kharaab ki kaif-aafrin hai meraa gham-e-ishq ai 'bahaar' lazzat na mujh se puchh tu aise azaab ki"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"na hamdam hai na koi ham-zabaan hai dil-e-naashaad phir bhi naghma-khvaan hai miri qismat mein hi di hai khudaa ne musibat jo bhi zer-e-aasmaan hai chaman ke taairo ab khair maango bahut barham mizaaj-e-baaghbaan hai huaa rukhsat shabaab ai ham-safiro tabiat mein vo shokhi ab kahaan hai mujhe bakhshi hai jis ne gham ki daulat use kyunkar kahun naa-mehrbaan hai ghaDi bhar hi ki lazzat hai havas mein mohabbat ek kaif-e-jaavedaan hai dil-e-naadaan ko bahlaati rahi jo mire khvaabon ki vo duniyaa kahaan hai miTaaegaa koi urdu ko kyunkar ye 'iqbaal' aur 'ghaalib' ki zabaan hai 'bahaar' ahl-e-zamaana ko khushaamad hamaari tab-e-naazuk par giraan hai"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"ishq mein zabt-e-fughaan darkaar hai be-zabaani ki zabaan darkaar hai dair-o-kaaba se nahin koi gharaz mujh ko teraa aastaan darkaar hai vahshat-e-dil kaa ho koi to ilaaj sohbat-e-pir-e-mughaan darkaar hai mere dil ki samt vo nazrein uThin bijliyon ko aashiyaan darkaar hai shauq se aa kar mire dil mein rahein aap ko khaali makaan darkaar hai in ghani zulfon kaa saaya kijiye dhuup mein ik saaebaan darkaar hai main isi duniyaa ko kahtaa huun bahisht shaikh ko baagh-e-jinaan darkaar hai vaardaat-e-qalb hai mujh ko aziiz aap ko husn-e-bayaan darkaar hai raaz-e-dil kis par karun main aashkaar koi dil kaa raazdaan darkaar hai naa-shanaasaan-e-adab mere harif sohbat-e-daanish-varaan darkaar hai zindagi se ho gayaa hai dil uchaaT phir hadis-e-dil-baraan darkaar hai haasidon mein ghir gayaa huun ai 'bahaar' fikr-o-fan kaa qadr-daan darkaar hai"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"saamne se jab guzar jaate hain aap ham pe ik jaadu saa kar jaate hain aap barhami se to nikhar jaate hain aap aur bhi dil mein utar jaate hain aap ham pe jo guzre vo ginti mein nahin be-niyaazi se guzar jaate hain aap dekhiye suniye zaraa ruk jaaiye chhoD kar ham ko kidhar jaate hain aap dard-e-dil kaa kuchh to darmaan kijiye dard hai dil mein magar jaate hain aap dil-navaazi aap ki fitrat nahin kis liye dil toD kar jaate hain aap kis qadar viraan hai duniyaa-e-dil aah is se be-khabar jaate hain aap ham bhi hain chashm-e-karam ke muntazir kyon nigaahein pher kar jaate hain aap chalte chalte kis par aa jaataa hai rahm jaate jaate kyon Thahar jaate hain aap log jo kahte hain vo kahte rahein kyon kisi ki baat par jaate hain aap ishq to hai raunaq-e-bazm-e-hayaat ishq se kyon itnaa Dar jaate hain aap ye muqaddar kaa karam hai ai 'bahaar' chaah se pyaase agar jaate hain aap"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"hazaar ilm ki zau se dimaagh raushan ho jo dil mein aatish-e-pinhaan nahin to kuchh bhi nahin bahaar mein to hai naghma-saraa magar bulbul agar khizaan mein ghazal-khvaan nahin to kuchh bhi nahin hain yuun to ashraf-e-makhluq ham zamaane mein magar amal mein jo insaan nahin to kuchh bhi nahin miri navaa hai pareshaan to aib kyaa is mein nasim-e-baagh pareshaan nahin to kuchh bhi nahin sadaf hai aankh to aansu hai qatra-e-naisaan sadaf mein qatra-e-naisaan nahin to kuchh bhi nahin chaman se duur bhi ho andalib-e-baal-kushaa magar asir-e-gulistaan nahin to kuchh bhi nahin"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"ab qafas hai na aashiyaana hai aah apnaa kahaan Thikaana hai un ki har baat mein tarahdaari apnaa har taur shaairaana hai kyon vafaaon kaa main evaz maangun kyaa miraa ishq taajiraana hai sharh-e-gham par tumhaari chin-ba-jabin dil-e-naazuk pe taaziyaana hai is se baDh kar koi ibaadat kyaa meraa sar teraa aastaana hai ham ko aadat hai saaf-goi ki is liye dushman ik zamaana hai mere ashaar paDh rahe hain vo uns kuchh mujh se ghaaebaana hai ahl-e-fan jis ko sher kahte hain kuchh haqiqat hai kuchh fasaana hai 'daagh'-o-'chakbast' ki zabaan urdu kam-nigaahi kaa ab nishaana hai vo meri qadr khaak jaaneinge jin ki fitrat hi haasidaana hai bhuul jaao 'bahaar' qissa-e-shauq mashvara meraa mukhlisaana hai"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"shaaeri kaavish-e-paiham ke sivaa kuchh bhi nahin aur is kaavish-e-paiham kaa sila kuchh bhi nahin zar-paraston ko to ab khauf-e-khudaa kuchh bhi nahin paas-e-din paas-e-adab paas-e-vafaa kuchh bhi nahin roz-o-shab aatish-e-jazbaat mein jalte rahnaa aashiqi soz-e-musalsal ke sivaa kuchh bhi nahin kaun ye ruuh ko aavaaz diye jaataa hai hama-tan-gosh huun main aur sadaa kuchh bhi nahin aap bhi hon mire hamraah to kuchh baat bane varna in chaandni raaton kaa mazaa kuchh bhi nahin zindagi hi mein gunaahon ki sazaa milti hai hashr kuchh chiiz nahin roz-e-jazaa kuchh bhi nahin daur-e-haazir ki shariat mein ravaa hai sab kuchh naaravaa kuchh bhi nahin aur buraa kuchh bhi nahin kyaa kahaa vaqt-e-musibat koi kaam aaegaa aap ko fitrat-e-insaan kaa pataa kuchh bhi nahin aazmaayaa hai bahut apnon ko begaanon ko mujh ko ab ahl-e-zamaana se gilaa kuchh bhi nahin gham milaa ranj milaa tum ko mohabbat mein 'bahaar' phir bhi kahte ho mohabbat mein dharaa kuchh bhi nahin"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"daulat-e-duniyaa kahaan darkaar hai mujh ko teraa aastaan darkaar hai aap ko bhi ik sahaaraa chaahiye mujh ko bhi ik ham-zabaan darkaar hai zindagi ki is kaDakti dhuup mein saaya-e-sard-e-ravaan darkaar hai barq-o-baaraan kaa uDaae jo mazaaq aaj vo azm-e-javaan darkaar hai zindagi se hai ibaarat ik jihaad sher ki taab-o-tavaan darkaar hai tir-o-nashtar sher yuun bantaa nahin ik dil-e-aatishin-fashaan darkaar hai chaahiye iqbaal ki fikr-e-rasaa daagh ki tab-e-ravaan darkaar hai ho tahaarat 'haali'-o-'mahrum' ki 'mir'-o-'momin' ki zabaan darkaar hai sher se mahzuz hone ke liye lazzat-e-dard-e-nihaan darkaar hai ahl-e-mahfil ko tarannum chaahiye shaairi un ko kahaan darkaar hai murshid-e-kaamil ki mujh ko hai talaash majlis-e-ruhaaniyaan darkaar hai ruuh ko jis se mile baalidgi mujh ko vo pir-e-mughaan darkaar hai man kaa saaraa mail jis se duur ho vo sharaab-e-arghavaan darkaar hai ham pe jo guzri vo kahne ke liye husn-o-uslub-e-bayaan darkaar hai zindagi kaa raaz paane ke liye ham ko umr-e-jaavedaan darkaar hai mujh ko apne doston se ai 'bahaar' ik khulus-e-be-karaan darkaar hai"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"kab miltaa hai sukh-chain hamein kab gham se rihaai hoti hai har vaqt kaleja phunktaa hai lab par jaan aai hoti hai har vaqt hai dil mein yaad tiri nazron mein tere jalve hain man-mandir mein rahne vaale kab tujh se judaai hoti hai chupke se bazm-e-tasavvur mein raaton ko koi aa jaataa hai baDh jaati hai raunaq-e-bazm-e-dil jis dam tanhaai hoti hai tum kyaa samjho tum kyaa jaano chhalni dil kaise hote hain ye dard-e-mohabbat kyaa shai hai kyaa chiiz judaai hoti hai le de ke faqat ik dil hi thaa so vo bhi kisi ne luuT liyaa duniyaa mein nahin kuchh bhi apnaa har chiiz paraai hoti hai tap tap kar fikr ki bhaTTi mein ashaar jo dil se nikalte hain vo sehr-e-mujassam hote hain un mein raanaai hoti hai jis desh mein gangaa bahti hai us des ke baasi paapi hain hoti hai jang zabaanon par mazhab pe laDaai hoti hai duniyaa mein 'bahaar' sharaafat kaa koi bhi nahin pursaan hotaa hai makkaaron dhoka-baazon ki ab to shunavaai hoti hai"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"bujh jaae dil bashar kaa to us ko shifaa se kyaa kis darja hogi kaargar us ko davaa se kyaa jhulsaa ke rakh diyaa jise baad-e-sumum ne ghunchon se kyaa gharaz use baad-e-sabaa se kyaa do vaqt jis gharib ko roTi na ho nasib mazhab kaa kyaa kare use zikr-e-khudaa se kyaa rahne ko jhonpaDaa bhi na jis shakhs ko mile us ko sazaa ki fikr kyaa us ko jazaa se kyaa jis ke badan pe gosht dikhaai na de kahin us aadmi ko ruuh ki nashv-o-numaa se kyaa tang aa chukaa ho kashmakash-e-zindagi se jo kyaa mah-vashon se kaam use dilrubaa se kyaa fikr-e-ma'aash hi se na fursat mile jise she'r-o-adab se kyaa use mehr-o-vafaa se kyaa suntaa ho jo zamir ki aavaaz dosto us ko kisi khizar se kisi rahnumaa se kyaa rahtaa ho apni zaat mein jo mast har ghaDi us ko saraa-e-dahr ki aab-o-havaa se kyaa kahnaa ho jo bhi aap use barmalaa kahein lafzon ke her-pher se tarz-e-adaa se kyaa"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"laazim hai laaein DhunD ke khud ko kahin se ham kyaa be-niyaaz ho gae duniyaa-o-din se ham mahsus ho rahaa hai hamein tum se mil ke aaj jaise pahunch gae hon falak pe zamin se ham duniyaa-e-pur-fareb ke andaaz dekh kar dil yuun bujhaa ki ho gae khalvat-nashin se ham us jaan-e-aarzu se mulaaqaat yuun hui muddat ke baad jaise mile hon hamin se ham is husn-e-e'tiqaad ki me'raaj dekhnaa ik but ko kah rahe hain khudaa kis yaqin se ham phir aa gae hain kucha-e-jaanaan mein lauT kar nikle the ik tavil safar par yahin se ham sikhe kahaan se tu ne ye andaaz-e-dilbari ji chaahtaa hai puchh lein us naaznin se ham ham ko qadam qadam pe jo dete rahe fareb rakhe hue hain aas abhi tak unhin se ham fikr-o-nazar ko ishq ne bakhshi hain vus'atein takte hain aasmaan ki jaanib zamin se ham ahl-e-nazar ke saamne rakheinge ye ghazal haasil kareinge daad kisi nukta-chin se ham jis arz-e-paak ne diyaa 'mahrum' ko janam aae hain ai 'bahaar' usi sarzamin se ham"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"hue aur bekal davaa ke asar se karein khaak ummid ham chaara-gar se kahin abr-e-rahmat lagaataar barse ghazab hai kahin buund ko koi tarse jabin jo na jhukti thi dair-o-haram par vo uThti nahin ab tire sang-e-dar se kai baar lab tak tiraa naam aayaa magar si liye honT duniyaa ke Dar se tiri yaad phir aaj taDpaa rahi hai Tapakne lage ashk phir chashm-e-tar se zamaane ki kuchh ham ko parvaa nahin hai magar gir na jaaein tumhaari nazar se ilaahi ye kaisi havaa chal paDi hai bashar khauf khaane lagaa hai bashar se 'bahaar' aaj koi nayaa gul khilegaa tabi'at bahut muztarib hai sahar se"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar
Quote
"zindagi dard se maa'mur hui jaati hai sarkhushi duur bahut duur hui jaati hai din ko pal bhar mein mayassar nahin sukh chain mujhe raat ki niind bhi kaafur hui jaati hai zindagi shaam-o-sahar Thokarein khaate khaate zahr-e-gham piine pe majbur hui jaati hai gham-o-aalaam ki zulmat hai kuchh is tarah muhit zindagi ik shab-e-dijur hui jaati hai apne ahbaab bhi ab milte hain begaana-sifat be-rukhi dahr kaa dastur hui jaati hai mujh ko duniyaa ke ravayye pe ta'ajjub hai bahut dil miraa toD ke maghrur hui jaati hai kis ke TuuTe hue dil ki ye sadaa hai yaaro anjuman be-khud-o-masrur hui jaati hai soz-e-pinhaan ki jhalak hai tire she'ron mein 'bahaar' khush-navaai tiri mashhur hui jaati hai"
Ameer Chand BaharAmeer Chand Bahar