SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAsad Bhopali(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ishq ko jab husn se nazrein milaanaa aa gayaa khud-ba-khud ghabraa ke qadmon mein zamaana aa gayaa jab khayaal-e-yaar dil mein vaalehaana aa gayaa lauT kar guzraa huaa kaafir zamaana aa gayaa khushk aankhein phiki phiki si hansi nazron mein yaas koi dekhe ab mujhe aansu bahaanaa aa gayaa ghuncha o gul maah o anjum sab ke sab bekaar the aap kyaa aae ki phir mausam suhaanaa aa gayaa main bhi dekhun ab tiraa zauq-e-junun-e-bandagi le jabin-e-shauq un kaa aastaana aa gayaa husn-e-kaafir ho gayaa aamaada-e-tark-e-jafaa phir 'asad' meri tabaahi kaa zamaana aa gayaa"
Asad BhopaliAsad Bhopali
Quote
"do-jahaan se maavaraa ho jaaegaa jo tire gham mein fanaa ho jaaegaa dard jab dil se judaa ho jaaegaa saaz-e-hasti be-sadaa ho jaaegaa dekhiye ahd-e-vafaa achchhaa nahin marnaa jiinaa saath kaa ho jaaegaa be-natija hai khayaal-e-tark-e-raah phir kisi din saamnaa ho jaaegaa ab Thahar jaa yaad-e-jaanaan ro to luun farz-e-tanhaai adaa ho jaaegaa lahza lahza rakh khayaal-e-husn-e-dost lamha lamha kaam kaa ho jaaegaa zauq-e-azm-e-baa-amal darkaar hai aag mein bhi raasta ho jaaegaa apni jaanib jab nazar uTh jaaegi zarra zarra aaina ho jaaegaa"
Asad BhopaliAsad Bhopali
Quote
"giraan guzarne lagaa daur-e-intizaar mujhe zaraa thapak ke sulaa de khayaal-e-yaar mujhe na aayaa gham bhi mohabbat mein saazgaar mujhe vo khud taDap gae dekhaa jo be-qaraar mujhe nigaah-e-sharmagin chupke se le uDi mujh ko pukaartaa hi rahaa koi baar baar mujhe nigaah-e-mast ye meyaar-e-be-khudi kyaa hai zamaane vaale samajhte hain hoshiyaar mujhe bajaa hai tark-e-taalluq kaa mashvara lekin na ikhtiyaar unhein hai na ikhtiyaar mujhe bahaar aur ba-qaid-e-khizaan hai nang mujhe agar mile to mile mustaqil bahaar mujhe"
Asad BhopaliAsad Bhopali
Quote
"gham-e-hayaat se jab vaasta paDaa hogaa mujhe bhi aap ne dil se bhulaa diyaa hogaa sunaa hai aaj vo ghamgin the malul se the koi kharaab-e-vafaa yaad aa gayaa hogaa navaazishein hon bahut ehtiyaat se varna miri tabaahi se tum par bhi tabsiraa hogaa kisi kaa aaj sahaaraa liyaa to hai dil ne magar vo dard bahut sabr-aazmaa hogaa judaai ishq ki taqdir hi sahi gham-khvaar magar na jaane vahaan un kaa haal kyaa hogaa bas aa bhi jaao badal dein hayaat ki taqdir hamaare saath zamaane kaa faisla hogaa khayaal-e-qurbat-e-mahbub chhoD daaman chhoD ki meraa farz miri raah dekhtaa hogaa bas ek naara-e-rindaana ek jura-e-talkh phir us ke baad jo aalam bhi ho nayaa hogaa mujhi se shikva-e-gustaakhi-e-nazar kyuun hai tumhein to saaraa zamaana hi dekhtaa hogaa 'asad' ko tum nahin pahchaante taajjub hai use to shahr kaa har shakhs jaantaa hogaa"
Asad BhopaliAsad Bhopali
Quote
"zindagi kaa har nafas mamnun hai tadbir kaa vaaizo dhokaa na do insaan ko taqdir kaa apni sannaai ki tujh ko laaj bhi hai yaa nahin ai musavvir dekh rang uDne lagaa tasvir kaa aap kyuun ghabraa gae ye aap ko kyaa ho gayaa meri aahon se koi rishta nahin taasir kaa dil se naazuk shai se kab tak ye harifaana suluk dekh shisha TuuTaa jaataa hai tiri tasvir kaa har nafas ki aamad-o-shud par ye hoti hai khushi ek halqa aur bhi kam ho gayaa zanjir kaa farq itnaa hai ki tu parde mein aur main be-hijaab varna main aks-e-mukammal huun tiri tasvir kaa"
Asad BhopaliAsad Bhopali