SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAseem Amganvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ye sitam khud pe hi Dhaayaa ham ne dil jo patthar se lagaayaa ham ne us ki tasvir se baatein kar ke dil ki duuri ko miTaayaa ham ne khul gae raaz to ehsaas huaa saanp ko duudh pilaayaa ham ne ham se nazrein na milaa saktaa thaa us ko kaandhe pe biThaayaa ham ne qaid thaa chaand parindon jaisaa toD zanjir uDaayaa ham ne aaina dekh ke mahsus huaa khvaab be-vaqt sajaayaa ham ne ghar ki divaar sadaa deti hai aur duniyaa ko bulaayaa ham ne khuun kaa pyaasaa jo kal tak thaa 'asim' us ko siine se lagaayaa ham ne"
Aseem AmganviAseem Amganvi
Quote
"thoDi rusvaai bhi to 'ishq ke izhaar mein ho ho jo takraar to kuchh lutf bhi takraar mein ho jaanch lo nabz zaraa dafn se pahle kyon ki vo adaakaar hai shaayad kisi kirdaar mein ho is liye log dhuaan dekhne ko jaate hain hai yaqin aag kaa sach kal kisi akhbaar mein ho kaash ye shahr miri jeb kaa rakh letaa bharam jo mujhe chaahiye kam daam mein baazaar mein ho in sharifon pe lagaa lein kai ilzaam magar koi be-daagh magar aap ki sarkaar mein ho sakht gardan bhi kaTe aur na mahsus ho dard ye hunar bhi to kisi haath ki talvaar mein ho kaun aaegaa musibat mein hifaazat ke liye koi insaan to bharose kaa nigah-daar mein ho maang le jaan bhi ulfat mein to main de dungaa shart hai dil ko sukun yaar ke didaar mein ho 'aib duniyaa ke saliqe se bataae sab ko hausla itnaa 'asim' aaj ke fankaar mein ho"
Aseem AmganviAseem Amganvi
Quote
"ye tark khatm ho gayaa guzri sadi ke saath milte nahin hain dost kabhi dushmani ke saath farmaan sach ko jhuuT mujhe bolne kaa thaa lekin dikhaayaa aaina zinda-dili ke saath duniyaa badal rahi hai yahi sun rahe hain ham kyaa is liye hi rahte nahin saadgi ke saath bachchon ko Tokne kaa zamaana nahin rahaa maan-baap ji rahe hain baDi bebasi ke saath suraj ki raushni mein charaaghon ko rakh diyaa ye imtihaan khuub huaa muflisi ke saath bebaak bolne kaa ye in'aam mil gayaa guzri tamaam 'umr miri be-rukhi ke saath kahne ko kaan sab ke hain suntaa nahin koi aise mein sun rahe hain mujhe khaamushi ke saath"
Aseem AmganviAseem Amganvi
Quote
"ghair dushman bhi vafaadaar samajhte hain mujhe ye mire apne to divaar samajhte hain mujhe meraa kirdaar havaaon ne badal Daalaa hai main huun maa'sum gunahgaar samajhte hain mujhe jiit kar jang shahidon mein huaa naam apnaa phir bhi kuchh log to ghaddaar samajhte hain mujhe main vo insaan huun jo sajde mein jhukaataa huun sar aur vo khil'at kaa talabgaar samajhte hain mujhe itnaa bimaar huun main soch nahin saktaa huun kitne naadaan hain samajh-daar samajhte hain mujhe bikne vaale ki ye baazaar karein tai qimat kyon jahaan vaale kharidaar samajhte hain mujhe in andheron saa hi qaaem hai bharam un kaa bhi khud ke jaisaa hi jo makkaar samajhte hain mujhe ab to taklif hi mahsus nahin hoti hai is liye aap adaakaar samajhte hain mujhe jab se badle hain ye haalaat ke manzar main ne tab se ahbaab asar-daar samajhte hain mujhe"
Aseem AmganviAseem Amganvi
Quote
"yuun faisla na kar abhi sikka uchhaal ke pahle javaab de mire har ik savaal ke shishe kharidne lage basti ke sang-dil karni hai aainon ki hifaazat sanbhaal ke apnaayaa jis ko ham ne vo apnaa nahin huaa rishta banaanaa yaar bahut dekh-bhaal ke badnaam ek raaz bataane se ho gae hote nahin hain dost bhi yaksaan khayaal ke sapne dikhaa ke us ne miri niind chhin li khud so gayaa hai mujh ko vo mushkil mein Daal ke jo aasmaan ki chaah mein uDnaa na siikh paae qissa gaDhe hai un ke hi behad kamaal ke marnaa to tai thaa saanp kaa insaan ko kaaT kar rakkhaa hai zahr munh mein mohabbat kaa paal ke"
Aseem AmganviAseem Amganvi
Quote
"'ishq kaa lafzon se izhaar nahin ho saktaa dil kaa saudaa sar-e-baazaar nahin ho saktaa mulk ki shaan mein sar apnaa jhukaataa hai jo meraa daa'vaa hai vo ghaddaar nahin ho saktaa 'ishq ke zakhm se mahsus huaa hai mujh ko ek hi tiir kaa ye vaar nahin ho saktaa aaj insaan jo lafzon mein ugal detaa hai saanp us zahr kaa haqdaar nahin ho saktaa baadshaahon kaa koi jhuuT jo zaahir kar de is zamaane kaa vo akhbaar nahin ho saktaa maang le jaan bhi ulfat mein to main de dungaa is se baDh kar main vafaadaar nahin ho saktaa jaantaa kaun hai chehre se haqiqat aakhir bhiiD kahti hai gunahgaar nahin ho saktaa ye yaqin hai ki karishma to kabhi hogaa hi manzilon par koi har baar nahin ho saktaa jism jo dafn hai maqtul kaa is malbe mein faisla kaise mire yaar nahin ho saktaa"
Aseem AmganviAseem Amganvi
Quote
"agar khaamosh huun to phir miraa kirdaar bolegaa yaqinan aaj kaa sach kal kaa har akhbaar bolegaa jinhein hai shauq talve chaaTne kaa chaaT lein be-shak magar duniyaa ki nazron mein hunar har baar bolegaa jise taa'lim haasil jhuuT ko sach maanne ki ho vahi to khuun ko paani gulon ko khaar bolegaa na aankhon par yaqin jis kaa na sachchaai se vaaqif ho fareb-e-'aql kaa bimaar bas jaykaar bolegaa jahaan sach bolne par qatl kaa farmaan ho jaari zabaan se aaina kab tak vahaan inkaar bolegaa sitam itne na Dhaao log saDkon par utar aaein agar aisaa huaa to be-zabaan yalghaar bolegaa miraa khaamosh lahja hai miri tahzib kaa haami 'asim' ash'aar mein mere miraa me'yaar bolegaa"
Aseem AmganviAseem Amganvi
Quote
"unhein bhi meri ulfat ki agar pahchaan ho jaae to ye rishta nibhaanaa vaaqa'i aasaan ho jaae zamaane ke na lag jaaun kahin main haath aise mein ijaazat ho to banda 'ishq kaa darbaan ho jaae samajhnaa hai bahut mushkil mohabbat ki ye betaabi kise maa'lum kab Thahri havaa tufaan ho jaae tujhe phir dekhne ki koi jurat kar nahin saktaa agar tu mere dil mein ek pal mehmaan ho jaae use phir aur khushbu ki zarurat hi nahin rahti agar koi bhi insaan 'ishq mein guldaan ho jaae yahaan har shakhs mein ham ne kai kirdaar dekhe hain zaruri hai ki ab har aadmi insaan ho jaae janaaze mein mire shaamil agar hon chaar kaandhe to safar ye aakhiri meraa zaraa aasaan ho jaae guzaarun yaad mein teri 'asim' ek ek lamha main qasam rab ki jo tu bhi dil se meri jaan ho jaae"
Aseem AmganviAseem Amganvi
Quote
"kisi se ab koi milne kisi ke ghar nahin jaataa miri aankhon se guzre vaqt kaa manzar nahin jaataa bahut maghrur thaa insaan khud apni taraqqi par qayaamat aai ye kaisi koi baahar nahin jaataa havaa kaa rukh jidhar bhi hai charaaghon ko udhar rakh lo ho jin mein hausla un ko koi chhu kar nahin jaataa zamaana vaaqa'i badlaa huaa lagtaa hai ab mujh ko yahaan insaan ab to chaar kaandhon par nahin jaataa tire darbaar mein hotaa hai har ik faisla maulaa 'adaalat mein tabhi to masala le kar nahin jaataa bahut mushkil hai dahshat aur nafrat ko baDhaa denaa siyaasat ki zabaan se jab talak nashtar nahin jaataa ho jab dil aazmaa lenaa mire sabr-o-tahammul ko tumhaare zulm ke khanjar se ab main Dar nahin jaataa hukumat apni aankhon par pahanti haq kaa chashma jo tumhaari baat bhi rahti hamaaraa sar nahin jaataa"
Aseem AmganviAseem Amganvi