SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAsghar Nizami(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jise ham dil samajhte the vahi ab dilrubaa niklaa khudaa ki shaan hai jo muddai kaa muddaaa niklaa pas-e-murdan talaashi li farishton ne to kyaa niklaa chhupaa ik gosha-e-dil mein khayaal-e-dil-rubaa niklaa tah-e-shamshir bhi bhule na ham qaatil ke ehsaan ko chali talvaar ruk ruk kar zabaan se marhabaa niklaa mere ashaar sun ke khush hue par vaae re qismat zabaan se marhabaa kahne ko the mar be-hayaa niklaa fanaa fillaah jab 'asghar' hue to ye khulaa uqda jise ham but samajhte the vahi apnaa khudaa niklaa"
A
Asghar Nizami
Quote
"gar khudaa kaabe mein rahtaa hai to but-khaane mein kaun har hai gangaa jal mein to zamzam ke paimaane mein kaun qais ko jab le chale basti ki jaanib yuun kahaa lailaa aabaadi mein rahti hai to viraane mein kaun daar par us ko chaDhaayaa par na ye samjhaa koi thaa anal-haq kah rahaa mansur divaane mein kaun kis se baatein kar rahaa hai mujh ko bhi zaahid dikhaa chhup ke baiThaa hai teri tasbih ke daane mein kaun ho ke tum pir-e-mughaan masjid ko 'asghar' chal diye ye to batlaao ki ab jaaegaa maikhaane mein kaun"
A
Asghar Nizami
Quote
"kisi ke dard se vo aashnaa hotaa to kyaa hotaa kisi ke dil mein gar khauf-e-khudaa hotaa to kyaa hotaa khushi rah kar sadaa mujh se vo hukm-e-qatl detaa hai khudaa jaane agar vo but khafaa hotaa to kyaa hotaa abhi banda hai vo is par bhi itni zulm-raani hai khudaavandaa agar banda khudaa hotaa to kyaa hotaa mujhe kuchh maut ki parvaa nahin ai daavar-e-mahshar yatimon kaa bhi koi aasraa hotaa to kyaa hotaa abhi mehndi lagaai thi abhi khuun kar diyaa meraa agar rang-e-hinaa 'asghar' chaDhaa hotaa to kyaa hotaa"
A
Asghar Nizami
Quote
"na paayaa kuchh pata us kaa khudaa jaane kahaan hai vo zamaane bhar mein DhunD aaya khudaa jaane kahaan hai vo muazzin se jo puchhaa haath rakh kar us ne kaanon par kahaa mujh ko khabar hai kyaa khudaa jaane kahaan hai vo use mandir mein DhunD aaya use masjid mein dekh aaya nahin miltaa nishaan us kaa khudaa jaane kahaan hai vo use main ban ke aashiq saare maashuqon mein DhunD aaya nazar aaya na kuchh jalva khudaa jaane kahaan hai vo zamin-o-aasmaan kaun-o-makaan dair-o-haram dekhaa nahin miltaa pata us kaa khudaa jaane kahaan hai vo papihaa pi kahaan bolaa kahaa koyal ne tu hi tu samajh mein kuchh nahin aataa khudaa jaane kahaan hai tu kahaan se pi ke aae ho bahut bahke ho tum 'asghar' kahaan banda kahaan maulaa khudaa jaane kahaan hai tu"
A
Asghar Nizami
Quote
"krishn ko chaahtaa huun aashiq-e-subhaan huun main sab mujhe kahte hain hindu vo musalmaan huun main raam bhi krishn bhi ahmad bhi gurunaanak bhi dil se in chaaron buzurgon kaa sanaa-khvaan huun main lab pe har-har hai mire dil mein hai allaah allaah ved paDh letaa huun aur haafiz-e-quraan huun main meraa mazhab hai yahi sab ko samajhnaa apnaa sab se miltaa huaa rahtaa huun vo insaan huun main chaar din jiinaa hai mil-jul ke basar ho 'asghar' ab to is jag mein koi roz kaa mehmaan huun main"
A
Asghar Nizami
Quote
"tire rukh ko jab ai sanam dekhte hain khudaa ko khudaa ki qasam dekhte hain tumhein dekhte hon to diide hi phuTein buto shaan-e-maulaa ko ham dekhte hain gila ghair kaa kyaa azizon se apne na dushman bhi dekhe jo ham dekhte hain milaa karte hain sab se ham jhuk ke daaim kamaan ki tarah khud mein kham dekhte hain zamaane ne kaaba kalisaa mein dekhaa magar us ko is dil mein ham dekhte hain chaDhaa lete hain sab tabarruk samajh kar na whiskey na Tharraa na rum dekhte hain miTaa dete hain us ko chaaqu se 'asghar' miraa naam jis jaa raqam dekhte hain"
A
Asghar Nizami
Quote
"but ke parde mein khudaa thaa mujhe maalum na thaa laal patthar mein chhupaa thaa mujhe maalum na thaa DhunDhtaa main rahaa tasbih ke daanon mein use zarre zarre mein khudaa thaa mujhe maalum na thaa dil ne jaa jaa ke kiye laakhon tavaaf-e-kaaba aur vo dil mein chhupaa thaa mujhe maalum na thaa ism-e-ahmad mein ahad aap chhupaa baiThaa thaa miim kaa parda paDaa thaa mujhe maalum na thaa le ke dil ghair kaa vo dil mein mire aa baiThaa ghar mein ik chor chhupaa thaa mujhe maalum na thaa hosh aate hi ye muusaa ki zabaan se niklaa tuur pe nur-e-khudaa thaa mujhe maalum na thaa kis ne chaunkaa diyaa kyon hosh mein aaya 'asghar' be-khudi mein hi mazaa thaa mujhe maalum na thaa"
A
Asghar Nizami