SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAshk Almas(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mu-e-safed sar pe dubaara nikal gayaa Dhalne lagaa jo 'aql ke saanche mein Dhal gayaa jalte hue hasin patangon ko dekh kar aisaa huaa ki aap hi parvaana jal gayaa rakhtaa thaa khaar-e-zist ko juute ki nok par andar kaa aabla so bahut phul-phal gayaa muTThi mein meri ret thi aur vo phisal gai duuje mein ek barf kaa TukDaa thaa gal gayaa ji mein kabhi-kabhaar to aataa hai bol duun uTh us ke aasare se nikal chal bahal gayaa aankhein nikaal kar ke sajaa di hain taaq mein kyaa aankh le ke ghumtaa manzar badal gayaa sab ko lagaa mu'aaf kiyaa hai use magar ghusse se mere haath kaa patthar pighal gayaa"
Ashk AlmasAshk Almas
Quote
"har koi hai madaari aur apne madaar kaa hattaa ki raqs dekhiye lail-o-nahaar kaa is vajh se zamin pe gaDhti hai meri aankh gaD jaae koi kaanTaa na mizhgaan-e-yaar kaa pahle se hai hi haath mein tasbih ki laDi kartaa huun kyaa main dekhiye baanhon ke haar kaa ruktaa huun is liye ki mire raftagaan ruke rasta hai varna saamne mere faraar kaa is baar ek do nahin saare gunaahgaar is baar kyaa upaae hai kashti ke bhaar kaa aisaa na ho ki rind ye kah kar chhuDaaein jaan dahqaan ki thi sharaab piyaala kumhaar kaa us ko uDaa liyaa hai koi aur jauhari mahngaa paDaa hai aaj kaa sonaa sunaar kaa saamaan khuub ho to jagah se hai kyaa gharaz biktaa hai kanpur mein chamDaa bihaar kaa"
Ashk AlmasAshk Almas
Quote
"hamaare dil mein vo rahtaa hai jo makin ki tarah gumaan hotaa hai bilkul kisi yaqin ki tarah khaDe hue the yahin raat jab yahaan utri hazaar chaand sitaare tamaash-bin ki tarah agar qubul nahin hai to chiir do miraa khat na rakkho dil mein koi khat khat-e-jabin ki tarah tumhaare vaa'da-o-paimaan pe kaan kyaa dharte na'am na'am ki sadaa thi nahin nahin ki tarah hamaaraa ghar bhi filistin mein agar hotaa to ham zamin pe hote falak-nashin ki tarah vo puchhte hain bataao ki is mein hai ki nahin balaa kaa jaah-o-hasham chashm-e-surmagin ki tarah kinaare aur na jaao ki saatvein din hi uThi hai lahr samundar mein chaudhvin ki tarah yahi tariq rahaa to hamaare baa'd ke log paDheinge ham ko asaatir-ul-avvalin ki tarah lage hue hain surangon ko toDne mein vahi pale hain jo yahaan af'i-e-aastin ki tarah"
Ashk AlmasAshk Almas
Quote
"jaane kab kis ke chhalakne se ho duniyaa gharq-e-aab meri muTThi mein hai dariyaa saaghar-o-josh-e-shabaab dida-o-dil kaa piyaala bhi ganvaa aae mazid dida-e-khammaar ki khvaahish mein ham khaana-kharaab raqs-e-vahshat ke liye koi to mehvar chaahiye paanv be-zanjir hain aur khema be-chob-o-tanaab ab se in jang-o-jadal mein daana-paani ke sivaa saath mein tabl-o-alam ho aur taaus-o-rabaab meri baaton mein bhi raaz-e-aagahi aa hi gayaa jaise ramz-e-ru-e-jaanaan jaise asraar-e-kitaab"
Ashk AlmasAshk Almas
Quote
"Thiik hai ki ye jahaan muddat se uryaani pe thaa par kise yuun naaz kal tak chaak-daamaani pe thaa tirgi-e-aab-o-gil ne dhyaan toDaa yak-ba-yak varna kal shab chaand apni puuri taabaani pe thaa Duub kar aise takhayyul mein khulaa vo maah-ru gaahe-gaahe ik shikan us khanda-peshaani pe thaa sab zuhur-e-ibn-e-mariyam ki duaa karte rahe dhyaan un sab kaa magar takht-e-sulaimaani pe thaa ham hujum-e-dahr mein hote hain aise aaj-kal jaise yusuf bhaaiyon mein chaah-e-kanaani pe thaa"
Ashk AlmasAshk Almas
Quote
"dil miraa raqsaan hai jab se aql is shorish mein hai larzish-e-paa aasmaan yaa ye jahaan larzish mein hai aaj se pahle zamin ki chaal to aisi na thi tum zaraa raftaar dekho kis qadar gardish mein hai Thiik hai tujh ko milaa hai mujh ko bhaTkaane kaa kaam ye magar kyaa tu to har dam daavat-e-laghzish mein hai kis qadar phir ek ho jaavein zamin-o-aasmaan ham zamin-o-aasmaan vaale isi saazish mein hain muntazir hain tishna-lab ye kausar-o-tasnim kaa ek zanjir-e-kashish bhi saaqi-e-mehvash mein hai"
Ashk AlmasAshk Almas